1
Yūhannā 6:35
Kitab-i Muqaddas
Jawāb meṅ Īsā ne kahā, “Maiṅ hī zindagī kī roṭī hūṅ. Jo mere pās āe use phir kabhī bhūk nahīṅ lagegī. Aur jo mujh par īmān lāe use phir kabhī pyās nahīṅ lagegī.
Karşılaştır
Yūhannā 6:35 keşfedin
2
Yūhannā 6:63
Allāh kā Rūh hī zindā kartā hai jabki jismānī tāqat kā koī fāydā nahīṅ hotā. Jo bāteṅ maiṅ ne tum ko batāī haiṅ wuh Rūh aur zindagī haiṅ.
Yūhannā 6:63 keşfedin
3
Yūhannā 6:27
Aisī ḳhurāk ke lie jidd-o-jahd na karo jo gal saṛ jātī hai, balki aisī ke lie jo abadī zindagī tak qāym rahtī hai aur jo Ibn-e-Ādam tum ko degā, kyoṅki Ḳhudā Bāp ne us par apnī tasdīq kī muhr lagāī hai.”
Yūhannā 6:27 keşfedin
4
Yūhannā 6:40
Kyoṅki mere Bāp kī marzī yihī hai ki jo bhī Farzand ko dekh kar us par īmān lāe use abadī zindagī hāsil ho. Aise shaḳhs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅga.”
Yūhannā 6:40 keşfedin
5
Yūhannā 6:29
Īsā ne jawāb diyā, “Allāh kā kām yih hai ki tum us par īmān lāo jise us ne bhejā hai.”
Yūhannā 6:29 keşfedin
6
Yūhannā 6:37
Jitne bhī Bāp ne mujhe die haiṅ wuh mere pās āeṅge aur jo bhī mere pās āegā use maiṅ hargiz nikāl na dūṅgā.
Yūhannā 6:37 keşfedin
7
Yūhannā 6:68
Shamāūn Patras ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, ham kis ke pās jāeṅ? Abadī zindagī kī bāteṅ to āp hī ke pās haiṅ.
Yūhannā 6:68 keşfedin
8
Yūhannā 6:51
Maiṅ hī zindagī kī wuh roṭī hūṅ jo āsmān se utar āī hai. Jo is roṭī se khāe wuh abad tak zindā rahegā. Aur yih roṭī merā gosht hai jo maiṅ duniyā ko zindagī muhaiyā karne kī ḳhātir pesh karūṅga.”
Yūhannā 6:51 keşfedin
9
Yūhannā 6:44
Sirf wuh shaḳhs mere pās ā saktā hai jise Bāp jis ne mujhe bhejā hai mere pās khīṅch lāyā hai. Aise shaḳhs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅga.
Yūhannā 6:44 keşfedin
10
Yūhannā 6:33
Kyoṅki Allāh kī roṭī wuh shaḳhs hai jo āsmān par se utar kar duniyā ko zindagī baḳhshtā hai.”
Yūhannā 6:33 keşfedin
11
Yūhannā 6:48
Zindagī kī roṭī maiṅ hūṅ.
Yūhannā 6:48 keşfedin
12
Yūhannā 6:11-12
Īsā ne roṭiyāṅ le kar shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ baiṭhe hue logoṅ meṅ taqsīm karwāyā. Yihī kuchh us ne machhliyoṅ ke sāth bhī kiyā. Aur sab ne jī bhar kar roṭī khāī. Jab sab ser ho gae to Īsā ne shāgirdoṅ ko batāyā, “Ab bache hue ṭukṛe jamā karo tāki kuchh zāe na ho jāe.”
Yūhannā 6:11-12 keşfedin
13
Yūhannā 6:19-20
Kashtī ko khete khete shāgird chār yā pāṅch kilomīṭar kā safr tay kar chuke the ki achānak Īsā nazar āyā. Wuh pānī par chaltā huā kashtī kī taraf baṛh rahā thā. Shāgird dahshatzadā ho gae. Lekin us ne un se kahā, “Maiṅ hī hūṅ. Ḳhauf na karo.”
Yūhannā 6:19-20 keşfedin
Ana Sayfa
Kutsal Kitap
Okuma Planları
Videolar