YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 14

14
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se farmáyá, ki 2Baní Isráíl ko hukm de ki wuh lauṭkar Mijdál aur samundar ke bích Fí Haḳhírot ke muqábil Ba‘l Safon ke áge ḍere lagáeṉ, usí ke áge samundar ke kanáre kanáre ḍere lagáná. 3Fir‘aun baní Isráíl ke haqq meṉ kahegá, ki Wuh zamín kí uljhanoṉ meṉ ákar biyábán meṉ ghir gaye haiṉ. 4Aur maiṉ Fir‘aun ke dil ko saḳht karúṉgá, aur wuh un ká píchhá karegá; aur maiṉ Fir‘aun aur us ke sáre lashkar par mumtáz húṉgá; aur Misrí ján leṉge ki Ḳhudáwand maiṉ húṉ. Aur unhoṉ ne aisá hí kiyá. 5Jab Misr ke bádsháh ko ḳhabar milí ki wuh log chal diye, to Fir‘aun aur us ke ḳhádimoṉ ká dil un logoṉ kí taraf se phir gayá, aur wuh kahne lage, ki Ham ne yih kyá kiyá, ki Isráílíoṉ ko apní ḳhidmat se chhuṭṭí dekar un ko jáne diyá? 6Tab us ne apná rath taiyár karwáyá aur apní qaum ke logoṉ ko sáth liyá: 7aur us ne chha sau chune húe rath, balki Misr ke sab rath liye, aur un sabhoṉ meṉ sardároṉ ko biṭháyá. 8Aur Ḳhudáwand ne Misr ke bádsháh Fir‘aun ke dil ko saḳht kar diyá, aur us ne baní Isráíl ká píchhá kiyá; kyúṉki baní Isráíl baṛe faḳhr se nikle the. 9Aur Misrí fauj ne Fir‘aun ke sab ghoṛoṉ, aur rathoṉ, aur sawároṉ samet un ká píchhá kiyá, aur un ko jab wuh samundar ke kanáre Fí Haḳhírot ke pás Ba‘l Safon ke sámne ḍerá lagá rahe the já liyá. 10Aur jab Fir‘aun nazdík á gayá, tab baní Isráíl ne áṉkh uṭhákar dekhá, ki Misrí un ká píchhá kiye chale áte haiṉ, aur wuh niháyat ḳhaufzada ho gaye. Tab baní Isráíl ne Ḳhudáwand se faryád kí: 11aur Músá se kahne lage, Kyá Misr meṉ qabreṉ na thíṉ, jo tú ham ko waháṉ se marne ke liye biyábán meṉ le áyá hai? Tú ne ham se yih kyá kiyá, ki ham ko Misr se nikál láyá? 12Kyá ham tujh se Misr meṉ yih bát na kahte the, ki Ham ko rahne de, ki ham Misríoṉ kí ḳhidmat kareṉ? kyúṉki hamáre liye Misríoṉ kí ḳhidmat karná biyábán meṉ marne se bihtar hotá. 13Tab Músá ne logoṉ se kahá, Ḍaro mat; chup cháp khaṛe hokar Ḳhudáwand kí naját ke kám ko dekho, jo wuh áj tumháre liye karegá. Kyúṉki jin Misríoṉ ko tum áj dekhte ho, un ko phir kabhí abad tak na dekhoge. 14Ḳhudáwand tumhárí taraf se jang karegá, aur tum ḳhámosh rahoge.
15Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Tú kyúṉ mujh se faryád kar rahá hai? Baní Isráíl se kah, ki wuh áge baṛheṉ. 16Aur tú apní láṭhí uṭhákar apná háth samundar ke úpar baṛhá, aur use do hisse kar: aur baní Isráíl samundar ke bích meṉ se ḳhushk zamín par chalkar nikal jáeṉge. 17Aur dekh, maiṉ Misríoṉ ke dil saḳht kar dúṉgá, aur wuh un ká píchhá kareṉge: aur maiṉ Fir‘aun, aur us kí sipáh, aur us ke rathoṉ, aur sawároṉ par mumtáz húṉgá. 18Aur jab maiṉ Fir‘aun, aur us ke rathoṉ, aur sawároṉ par mumtáz ho jáúṉgá, to Misrí ján leṉge, ki maiṉ hí Ḳhudáwand húṉ. 19Aur Ḳhudá ká firishta, jo Isráílí lashkar ke áge áge chalá kartá thá, jákar un ke píchhe ho gayá, aur bádal ká wuh sutún un ke sámne se haṭkar un ke píchhe já ṭhahrá. 20Yúṉ wuh Misríoṉ ke lashkar aur Isráílí lashkar ke bích meṉ ho gayá; so waháṉ bádal bhí thá aur andherá bhí; taubhí rát ko us se raushní rahí. Pas wuh rát bhar ek dúsre ke pás nahíṉ áe. 21Phir Músá ne apná háth samundar ke úpar baṛháyá: aur Ḳhudáwand ne rát bhar tund púrabí áṉdhí chalákar aur samundar ko píchhe haṭákar use ḳhushk zamín baná diyá, aur pání do hisse ho gayá. 22Aur baní Isráíl samundar ke bích meṉ se ḳhushk zamín par chalkar nikal gaye: aur un ke dahine aur báeṉ háth pání díwár kí tarah thá. 23Aur Misríoṉ ne ta‘áqqub kiyá, aur Fir‘aun ke sab ghoṛe, aur rath, aur sawár un ke píchhe píchhe samundar ke bích meṉ chale gaye. 24Aur rát ke pichhle pahar Ḳhudáwand ne ág aur bádal ke sutún meṉ se Misríoṉ ke lashkar par nazar kí, aur un ke lashkar ko ghabrá diyá. 25Aur us ne un ke rathoṉ ke pahiyoṉ ko nikál ḍálá, so un ká chaláná mushkil ho gayá: tab Misrí kahne lage, Áo, ham Isráílíoṉ ke sámne se bhágeṉ; kyúṉki Ḳhudáwand un kí taraf se Misríoṉ ke sáth jang kartá hai.
26Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Apná háth samundar ke úpar baṛhá, táki pání Misríoṉ, aur un ke rathoṉ aur sawároṉ par phir bahne lage. 27Aur Músá ne apná háth samundar ke úpar baṛháyá, aur subh hote hote samundar phir apní aslí quwwat par á gayá, aur Misrí ulṭe bhágne lage: aur Ḳhudáwand ne samundar ke bích hí meṉ Misríoṉ ko tah o bálá kar diyá. 28Aur pání palaṭkar áyá, aur us ne rathoṉ aur sawároṉ, aur Fir‘aun ke sáre lashkar ko, jo Isráílíoṉ ká píchhá kartá húá samundar meṉ gayá thá, g̣arq kar diyá, aur ek bhí un meṉ se báqí na chhúṭá. 29Par baní Isráíl samundar ke bích meṉ se ḳhushk zamín par chalkar nikal gaye, aur pání un ke dahine aur báeṉ háth díwár kí tarah rahá. 30So Ḳhudáwand ne us din Isráílíoṉ ko Misríoṉ ke háth se is tarah bacháyá, aur Isráílíoṉ ne Misríoṉ ko samundar ke kanáre mare húe paṛe dekhá. 31Aur Isráílíoṉ ne wuh baṛí qudrat, jo Ḳhudáwand ne Misríoṉ par záhir kí, dekhí, aur wuh log Ḳhudáwand se ḍare, aur Ḳhudáwand par, aur us ke bande Músá par ímán láe.

Currently Selected:

Ḳhurúj 14: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in