YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 15

15
1Tab Músá aur baní Isráíl ne Ḳhudáwand ke liye yih gít gáyá, aur yúṉ kahne lage,
Maiṉ Ḳhudáwand kí saná gáúṉgá
Kyúṉki wuh jalál ke sáth fathmand húá.
Us ne ghoṛe ko sawár samet samundar meṉ ḍál diyá.
2 Ḳhudáwand merá zor aur rág hai, wuhí merí naját bhí ṭhahrá.
Wuh merá Ḳhudá hai, maiṉ us kí baṛáí karúngá;
Wuh mere báp ká Ḳhudá hai, maiṉ us kí buzurgí karúṉgá.
3 Ḳhudáwand sáhib i jang hai: Yahowáh us ká nám hai.
4Fir‘aun ke rathoṉ aur lashkar ko us ne samundar meṉ ḍál diyá,
Aur us ke chída sardár Bahr i Qulzum meṉ g̣arq húe.
5Gahre pání ne un ko chhipá liyá:
Wuh patthar kí mánind tah meṉ chale gaye.
6Ai Ḳhudáwand, terá dahiná háth qudrat ke sabab se jalálí hai.
Ai Ḳhudáwand, terá dahiná háth dushman ko chaknáchúr kar detá hai.
7Tú apní ‘azmat ke zor se apne muḳhálifoṉ ko tah o bálá kartá hai:
Tú apná qahr bhejtá hai, aur wuh un ko khúṉṭí kí mánind bhasam kar ḍáltá hai.
8Tere nathnoṉ ke dam se pání ká ḍher lag gayá,
Sailáb túde kí tarah sídhe khaṛe ho gaye,
Aur gahrá pání samundar ke bích meṉ jam gayá.
9Dushman ne to yih kahá thá, Maiṉ píchhá karúṉgá: Maiṉ já pakṛúṉgá, maiṉ lúṭ ká mál taqsím karúṉgá:
Un kí tabáhí se merá kaleja ṭhanḍá hogá.
Maiṉ apní talwár kheṉchkar apne hí háth se un ko halák karúṉgá.
10Tú ne apní áṉdhí kí phúṉk márí, to samundar ne un ko chhipá liyá.
Wuh zor ke pání meṉ síse kí tarah ḍúb gaye.
11Ma‘búdoṉ meṉ, ai Ḳhudáwand, terí mánind kaun hai?
Kaun hai, jo terí mánind apne taqaddus ke bá‘is jalálí
Aur apní madh ke sabab se ru‘bwálá aur sáhib i karámát hai?
12Tú ne apná dahiná háth baṛháyá,
To zamín un ko nigal gayí.
13Apní rahmat se tú ne un logoṉ kí, jin ko tú ne ḳhalásí baḳhshí, rahnumáí kí:
Aur apne zor se tú un ko apne muqaddas makán ko le chalá hai.
14Qaumeṉ sunkar tharrá gayí haiṉ,
Aur Filistín ke báshindoṉ kí ján par á baní hai.
15Adom ke raís hairán haiṉ,
Moáb ke pahlawánoṉ ko kapkapí lag gayí hai:
Kan‘án ke sab báshindoṉ ke dil pighle játe haiṉ.
16Ḳhauf o hirás un par tárí hai;
Tere bázú kí ‘azmat ke sabab se wuh patthar kí tarah behiss o harakat haiṉ;
Jab tak, ai Ḳhudáwand, tere log nikal na jáeṉ,
Jab tak tere log jin ko tú ne ḳharidá hai pár na ho jáeṉ.
17Tú un ko waháṉ le jákar apní mírás ke paháṛ par daraḳht kí tarah lagáegá,
Tú un ko usí jagah le jáegá jise tú ne apní sukúnat ke liye banáyá hai.
Ai Ḳhudáwand! Wuh terí já e muqaddas hai, jise tere háthoṉ ne qáim kiyá hai.
18 Ḳhudáwand abadu’l ábád saltanat karegá.
19Is gít ká sabab yih thá, ki Fir‘aun ke sawár ghoṛoṉ aur rathoṉ samet samundar meṉ gaye, aur Ḳhudáwand samundar ke pání ko un par lauṭá láyá, lekin baní Isráíl samundar ke bích meṉ se ḳhushk zamín par chalkar nikal gaye. 20Tab Hárún kí bahin Maryam nabiya ne daf háth meṉ liyá; aur sab ‘aurateṉ daf liye náchtí húí us ke píchhe chalíṉ. 21Aur Maryam un ke gáne ke jawáb meṉ yih gátí thí,
Ḳhudáwand kí hamd o saná gáo,
Kyúṉki wuh jalál ke sáth fathmand húá hai.
Us ne ghoṛe ko us ke sawár samet samundar meṉ ḍál diyá hai.
22Phir Músá baní Isráíl ko Bahr i Qulzum se áge le gayá, aur wuh Shor ke biyábán meṉ áe, aur biyábán meṉ chalte húe tín din tak un ko koí pání ká chashma na milá. 23Aur jab wuh Márah meṉ áe, to Márah ká pání pí na sake, kyúṉki wuh kaṛwá thá. Isí liye us jagah ká nám Márah paṛ gayá. 24Tab wuh log Músá par buṛbuṛakar kahne lage, ki Ham kyá píeṉ? 25Us ne Ḳhudáwand se faryád kí: Ḳhudáwand ne use ek peṛ dikháyá, jise jab us ne pání meṉ ḍálá to pání míṭhá ho gayá; wahíṉ Ḳhudáwand ne un ke liye ek áín aur sharí‘at banáí, aur wahíṉ yih kahkar un kí ázmáish kí, 26ki Agar tú dil lagákar Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí bát sune, aur wuhí kám kare jo us kí nazar meṉ bhalá hai, aur us ke hukmoṉ ko máne, aur us ke áín par ‘amal kare, to maiṉ un bímáríoṉ meṉ se, jo maiṉ ne Misríoṉ par bhejíṉ, tujh par koí na bhejúṉgá; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand terá sháfí húṉ.
27Phir wuh Elím meṉ áe, jahaṉ pání ke bárah chashme aur khajúr ke sattar daraḳht the: aur wahíṉ pání ke qaríb unhoṉ ne apne ḍere lagáe.

Currently Selected:

Ḳhurúj 15: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in