YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 16

16
1Phir wuh Elím se rawána húe, aur baní Isráíl kí sárí jamá‘at mulk i Misr se nikalne ke ba‘d dúsre mahíne ke pandrahwíṉ táríḳh ko Sín ke biyábán meṉ, jo Elím aur Síná ke darmiyán hai, pahuṉchí. 2Aur us biyábán meṉ baní Isráíl kí sárí jamá‘at, Músá aur Hárún par buṛbuṛáne lagí; 3aur baní Isráíl kahne lage, Kásh ki ham Ḳhudáwand ke háth se mulk i Misr meṉ jab hí már diye játe, jab ham gosht kí háṉḍiyoṉ ke pás baiṭhkar dil bharkar roṭí kháte the; kyúṉki tum to ham ko is biyábán meṉ isí liye le áe ho ki sáre majma‘ ko bhúká máro. 4Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Maiṉ ásmán se tum logoṉ ke liye roṭiyáṉ barsáúṉgá; so yih log nikal nikalkar faqat ek ek din ká hissa har roz baṭor liyá kareṉ, ki is se maiṉ in kí ázmáish karúṉgá, ki wuh merí sharí‘at par chaleṉge yá nahíṉ. 5Aur chhaṭe din aisá hogá, ki jitná wuh lákar pakáeṉge, wuh us se, jitná roz jama‘ karte haiṉ, dúná hogá. 6Tab Músá aur Hárún ne sab baní Isráíl se kahá, ki Shám ko tum ján loge ki jo tum ko mulk i Misr se nikálkar láyá hai wuh Ḳhudáwand hai. 7Aur subh ko tum Ḳhudáwand ká jalál dekhoge: kyúṉki tum jo Ḳhudáwand par buṛbuṛáne lagte ho, use wuh suntá hai: aur ham kaun haiṉ, jo tum ham par buṛbuṛáte ho? 8Aur Músá ne yih bhí kahá, ki Shám ko Ḳhudáwand tum ko kháne ko gosht, aur subh ko roṭí peṭ bharke degá; kyúṉki tum jo Ḳhudáwand par buṛbuṛáte ho use wuh suntá hai, aur hamárí kyá haqíqat hai? Tumhárá buṛbuṛáná ham par nahíṉ, balki Ḳhudáwand par hai. 9Phir Músá ne Hárún se kahá, ki Baní Isráíl kí sárí jamá‘at se kah, ki tum Ḳhudáwand ke nazdík áo, kyúṉki us ne tumhárá buṛbuṛáná sun liyá hai. 10Aur jab Hárún baní Isráíl kí jamá‘at se yih báteṉ kah rahá thá, to unhoṉ ne biyábán kí taraf nazar kí, aur un ko Ḳhudáwand ká jalál bádal meṉ dikháí diyá. 11Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 12Maiṉ ne baní Isráíl ká buṛbuṛáná sun liyá hai: so tú un se kah de, ki Shám ko tum gosht kháoge, aur subh ko tum roṭí se ser hoge; aur tum ján loge, ki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 13Aur yúṉ húá, ki shám ko itní baṭereṉ áíṉ, ki un kí ḳhaimagáh ko ḍháṉk liyá: aur subh ko ḳhaimagáh ke ás pás os paṛí húí thí. 14Aur jab wuh os jo paṛí thí súkh gayí, to kyá dekhte haiṉ, ki biyábán meṉ ek chhoṭí chhoṭí gol gol chíz, aisí chhoṭí jaise pále ke dáne hote haiṉ, zamín par paṛí hai. 15Baní Isráíl use dekhkar ápas meṉ kahne lage, Mann? kyúṉki wuh nahíṉ jánte the, ki wuh kyá hai. Tab Músá ne un se kahá, Yih wuhí roṭí hai, jo Ḳhudáwand ne kháne ko tum ko dí hai. 16So Ḳhudáwand ká hukm yih hai, ki tum use apne apne kháne kí miqdár ke muwáfiq, ya‘ní apne apne ádmíoṉ ke shumár ke mutábiq fí kas ek omar jama‘ karná, aur har shaḳhs itne hí ádmíoṉ ke liye jama‘ kare jitne us ke ḍere meṉ hoṉ. 17Chunáṉchi baní Isráíl ne aisá hí kiyá, aur kisí ne ziyáda, aur kisí ne kam jama‘ kiyá. 18Aur jab unhoṉ ne use omar se nápá, to jis ne ziyáda jama‘ kiyá thá, kuchh ziyáda na páyá; aur us ká, jis ne kam jama‘ kiyá thá, kam na húá. Un meṉ se har ek ne apne kháne kí miqdár ke mutábiq jama‘ kiyá thá. 19Aur Músá ne un se kah diyá thá, ki Koí us meṉ se kuchh subh tak báqí na chhoṛe. 20Taubhí unhoṉ ne Músá kí bát na mání; balki ba‘zoṉ ne subh tak kuchh rahne diyá, so us meṉ kíṛe paṛ gaye, aur wuh saṛ gayá; so Músá un se náráz húá. 21Aur wuh har subh ko apne apne kháne kí miqdár ke mutábiq jama‘ kar lete the, aur dhúp tez hote hí wuh pighal játá thá. 22Aur chhaṭe din aisá húá ki jitní roṭí wuh roz jama‘ karte the us se dúní jama‘ kí, ya‘ní fí kas do omar. Aur jamá‘at ke sab sardároṉ ne ákar yih Músá ko batáyá. 23Us ne un ko kahá, ki Ḳhudáwand ká hukm yih hai, ki Kal ḳháss árám ká din, ya‘ní Ḳhudáwand ká muqaddas sabt hai. Jo tum ko pakáná ho paká lo, aur jo ubálná ho ubál lo, aur wuh jo bach rahe use apne liye subh tak mahfúz rakkho. 24Chunáṉchi unhoṉ ne, jaisá Músá ne kahá thá, use subh tak rahne diyá, aur wuh na to saṛá, aur na us meṉ kíṛe paṛe. 25Aur Músá ne kahá, ki Áj usí ko kháo, kyúṉki áj Ḳhudáwand ká sabt hai, is liye wuh áj tum ko maidán meṉ nahíṉ milegá. 26Chha din tak tum use jama‘ karná; par sátweṉ din sabt hai, us meṉ wuh nahíṉ milegá. 27Aur sátweṉ din aisá húá ki un meṉ se ba‘z ádmí mann baṭorne gaye, par un ko kuchh nahíṉ milá. 28Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Tum log kab tak mere hukmoṉ aur sharí‘atoṉ ke mánne se inkár karte rahoge? 29Dekho, chúṉki Ḳhudáwand ne tum ko sabt ká din diyá hai, isí liye wuh tum ko chhaṭe din do din ká kháná detá hai. So tum apní apní jagah raho, aur sátweṉ din koí apní jagah se báhar na jáe. 30Chunáṉchi logoṉ ne sátweṉ din árám kiyá. 31Aur baní Isráíl ne us ká nám Mann rakkhá: aur wuh dhaniye ke bíj kí tarah safed, aur us ká maza shahd ke bane húe púe kí tarah thá. 32Aur Músá ne kahá, Ḳhudáwand yih hukm detá hai, ki Is ká ek omar bharkar apní nasl ke liye rakh lo; táki wuh us roṭí ko dekhe, jo maiṉ ne tum ko biyábán meṉ khiláí, jab maiṉ tum ko mulk i Misr se nikálkar láyá. 33Aur Músá ne Hárún se kahá, Ek martabán le, aur ek omar mann us meṉ bharkar use Ḳhudáwand ke áge rakh de, táki wuh tumhárí nasl ke liye rakkhá rahe. 34Aur jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm diyá thá, usí ke mutábiq Hárún ne use shahádat ke sandúq ke áge rakh diyá, táki wuh rakkhá rahe. 35Aur baní Isráíl, jab tak ábád mulk meṉ na áe, ya‘ní chálís baras tak mann kháte rahe; alg̣araz jab tak wuh mulk i Kan‘án kí hudúd tak na áe, mann kháte rahe. 36Aur ek omar ek aifah ká daswáṉ hissa hai.

Currently Selected:

Ḳhurúj 16: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in