YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 23

23
1Tú jhúṭhí bát na phailáná, aur nárást gawáh hone ke liye sharíroṉ ká sáth na dená. 2Buráí karne ke liye kisí bhíṛ kí pairawí na karná, aur na kisí muqaddame meṉ insáf ká ḳhún karáne ke liye bhíṛ ká muṉh dekhkar kuchh kahná. 3Aur na muqaddame meṉ kangál kí tarafdárí karná.
4Agar tere dushman ká bail yá gadhá tujhe bhaṭaktá húá mile, to tú zarúr use us ke pás pherkar le áná. 5Agar tú apne dushman ke gadhe ko bojh ke níche dabá húá dekhe, aur us kí madad karne ko jí bhí na cháhtá ho, taubhí zarúr use madad dená.
6Tú apne kangál logoṉ ke muqaddame meṉ insáf ká ḳhún na karná. 7Jhúṭhe mu‘ámale se dúr rahná, aur begunáhoṉ aur sádiqoṉ ko qatl na karná; kyúṉki maiṉ sharír ko rást nahíṉ ṭhahráúṉgá. 8Tú rishwat na lená, kyúṉki rishwat bínáoṉ ko andhá kar detí hai, aur sádiqoṉ kí bátoṉ ko palaṭ detí hai. 9Aur pardesí par zulm na karná, kyúṉki tum pardesí ke dil ko jánte ho; is liye ki tum ḳhud bhí mulk i Misr meṉ pardesí the.
10Aur chha baras tak tú apní zamín meṉ boná, aur us ká g̣alla jama‘ karná. 11Par sátweṉ baras use yúṉ hí chhoṛ dená, ki paṛtí rahe; táki terí qaum ke miskín use kháeṉ, aur jo un se bache use jangal ke jánwar char leṉ. Apne angúr aur zaitún ke bág̣ se bhí aisá hí karná. 12Chha din tak apná kám káj karná, aur sátweṉ din árám karná, táki tere bail, aur gadhe ko árám mile, aur terí lauṉḍí ká beṭá aur pardesí tázadam ho jáeṉ. 13Aur sab bátoṉ meṉ, jo maiṉ ne tujh se kahí haiṉ, hoshyár rahná, aur dúsre ma‘búdoṉ ká nám tak na lená, balki wuh tere muṉh se sunáí bhí na de.
14Tú sál bhar meṉ tín bár mere liye ‘íd mánná. 15‘Íd i Fatír ko mánná. Us meṉ mere hukm ke mutábiq Abíb mahíne ke muqarrara waqt par sát din tak beḳhamírí roṭiyáṉ kháná, kyúṉki usí mahíne meṉ tú Misr se niklá thá; aur koí mere áge ḳhálí háth na áe: 16aur jab tere khet meṉ, jise tú ne mihnat se boyá, pahlá phal áe, to fasl káṭne kí ‘íd mánná, aur sál ke áḳhir meṉ, jab tú apní mihnat ká phal khet se jama‘ kare, to jama‘ karne kí ‘íd mánná. 17Aur sál meṉ tínoṉ martaba tumháre háṉ ke sab mard Ḳhudáwand Ḳhudá ke áge házir húá kareṉ.
18Tú ḳhamírí roṭí ke sáth mere zabíhe ká ḳhún na chaṛháná, aur merí ‘íd kí charbí subh tak báqí na rahne dená. 19Tú apní zamín ke pahle phaloṉ ká pahlá hissa Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke ghar meṉ láná. Tú halwán ko us kí máṉ ke dúdh meṉ na pakáná.
20Dekh, maiṉ ek firishta tere áge áge bhejtá húṉ, ki ráste meṉ terá nigahbán ho, aur tujhe us jagah pahuṉchá de jise maiṉ ne taiyár kiyá hai. 21Us ke áge hoshyár rahná aur us kí bát mánná; use náráz na karná; kyúṉki wuh terí ḳhatá nahíṉ baḳhshegá; is liye ki merá nám us meṉ rahtá hai. 22Par agar tú sach much us kí bát máne, aur jo maiṉ kahtá húṉ, wuh sab kare; to maiṉ tere dushmanoṉ ká dushman, aur tere muḳhálifoṉ ká muḳhálif banúṉgá. 23Is liye ki merá firishta tere áge áge chalegá, aur tujhe Amoríoṉ, aur Hittíoṉ, aur Farizzíoṉ, aur Kan‘áníoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ meṉ pahuṉchá degá, aur maiṉ un ko halák kar ḍálúṉgá. 24Tú un ke ma‘búdoṉ ko sijda na karná, na un kí ‘ibádat karná, na un ke se kám karná: balki tú un ko bi’lkull ulaṭ dená aur un ke sutúnoṉ ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍálná. 25Aur tum Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí ‘ibádat karná, tab wuh tumhárí roṭí aur pání par barakat degá; aur maiṉ tumháre bích se bímárí ko dúr kar dúṉgá. 26Aur tere mulk meṉ na to kisí ke isqát hogá, aur na koí báṉjh rahegí: aur maiṉ terí ‘umr púrí karúṉgá. 27Maiṉ apní haibat ko tere áge áge bhejúṉgá; aur maiṉ un sab logoṉ ko, jin ke pás tú jáegá, shikast dúṉgá; aur maiṉ aisá karúṉgá, ki tere sab dushman tere áge apní pusht pher deṉge. 28Maiṉ tere áge zambúroṉ ko bhejúṉgá, jo Hawwí, aur Kan‘ání, aur Hittí ko tere sámne se bhagá deṉge. 29Maiṉ un ko ek hí sál meṉ tere áge se dúr nahíṉ karúṉgá, tá na ho ki zamín wírán ho jáe, aur janglí darande ziyáda hokar tujhe satáne lageṉ. 30Balki maiṉ thoṛá thoṛá karke un ko tere sámne se dúr kartá rahúṉgá, jab tak tú shumár meṉ baṛhkar mulk ká wáris na ho jáe. 31Maiṉ daryá e Qulzum se lekar Filistíoṉ ke samundar tak aur biyábán se lekar nahr i Furát tak, terí haddeṉ báṉdhúṉgá; kyúṉki maiṉ us mulk ke báshindoṉ ko tere háth meṉ kar dúṉgá, aur tú un ko apne áge se nikál degá. 32Tú un se yá un ke ma‘búdoṉ se koí ‘ahd na báṉdhná. 33Wuh tere mulk meṉ rahne na páeṉ, tá na ho ki wuh tujh se mere ḳhiláf gunáh karáeṉ; kyúṉki agar tú un ke ma‘búdoṉ kí ‘ibádat kare, to yih tere liye zarúr phandá ho jáegá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 23: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in