YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 25

25
1Aur Ḳhudáwand ne Músá ko farmáyá: 2Baní Isráíl se yih kahná, ki mere liye nazr láeṉ, aur tum un hí se merí nazr lená jo apne dil kí ḳhushí se deṉ. 3Aur jin chízoṉ kí nazr tum ko un se lení hai, wuh yih haiṉ: soná, aur chándí, aur pítal, 4aur ásmání, aur arg̣awání, aur surḳh rang ká kapṛá aur bárík katán aur bakrí kí pashm, 5aur meṉḍhoṉ kí surḳh rangí húí kháleṉ, aur tuḳhas kí kháleṉ, aur kíkar kí lakṛí, 6aur chirág̣ ke liye tel, aur masah karne ke tel ke liye, aur ḳhushbúdár baḳhúr ke liye masálih, 7aur sang i sulaimání, aur afod, aur sínaband meṉ jaṛne ke nagíne. 8Aur wuh mere liye ek maqdis banáeṉ, táki maiṉ un ke darmiyán sukúnat karúṉ. 9Aur maskan aur us ke sáre sámán ká, jo namúna maiṉ tujhe dikháúṉ, ṭhík usí ke mutábiq tum use banáná.
10Aur wuh kíkar kí lakṛí ká ek sandúq banáeṉ, jis kí lambáí ḍháí háth, aur chauṛáí ḍeṛh háth, aur úṉcháí ḍeṛh háth ho. 11Aur us ke andar aur báhar ḳhális soná manḍhná, aur us ke úpar girdágird ek zarrín táj banáná. 12Aur us ke liye sone ke chár kaṛe ḍhálkar us ke chároṉ páyoṉ meṉ lagáná. Do kaṛe ek taraf hoṉ aur do hí dúsrí taraf. 13Aur kíkar kí lakṛí kí chobeṉ banákar un par soná manḍhná. 14Aur in choboṉ ko sandúq kí atráf ke kaṛoṉ meṉ ḍálná, ki un ke saháre sandúq uṭh jáe. 15Chobeṉ sandúq ke kaṛoṉ ke andar lagí raheṉ, aur us se alag na kí jáeṉ. 16Aur tú us shahádatnáme ko, jo maiṉ tujhe dúṉgá, usí sandúq meṉ rakhná. 17Aur tú kaffáre ká sarposh ḳhális sone ká banáná, jis ká túl ḍháí háth, aur ‘arz ḍeṛh háth ho. 18Aur sone ke do karúbí sarposh ke donoṉ siroṉ par ghaṛkar banáná. 19Ek karúbí ko ek sire par, aur dúsre karúbí ko dúsre sire par lagáná; aur sarposh ko aur donoṉ siroṉ ke karúbíoṉ ko ek hí ṭukṛe se banáná. 20Aur wuh karúbí is tarah úpar ko apne par phailáe húe hoṉ, ki sarposh ko apne paroṉ se ḍháṉk leṉ; aur un ke muṉh ámne sámne sarposh kí taraf hoṉ. 21Aur tú us sarposh ko us sandúq ke úpar lagáná, aur wuh ‘ahdnáma jo maiṉ tujhe dúṉgá, use us sandúq ke andar rakhná. 22Waháṉ maiṉ tujh se milá karúṉgá, aur us sarposh ke úpar se aur karúbíoṉ ke bích meṉ se, jo ‘ahdnáme ke sandúq ke úpar hoṉge, un sab ahkám ke báre meṉ, jo maiṉ baní Isráíl ke liye tujhe dúṉgá, tujh se bátchít kiyá karúṉgá.
23Aur tú do háth lambí, aur ek háth chauṛí, aur ḍeṛh háth úṉchí, kíkar kí lakṛí kí ek mez bhí banáná. 24Aur us ko ḳhális sone se manḍhná, aur us ke girdágird ek zarrín táj banáná. 25Aur us ke chaugird chár ungal chauṛí ek kangní lagáná, aur us kangní ke girdágird ek zarrín táj banáná. 26Aur sone ke chár kaṛe us ke liye banákar un kaṛoṉ ko un chároṉ konoṉ meṉ lagáná jo chároṉ páyoṉ ke muqábil hoṉge. 27Wuh kaṛe kangní ke pás hí hoṉ, táki choboṉ ke wáste jin ke saháre mez uṭháí jáe, gharoṉ ká kám deṉ. 28Aur kíkar kí lakṛí kí chobeṉ banákar un ko sone se manḍhná, táki mez un hí se uṭháí jáe. 29Aur tú us ke tabáq, aur chamche, aur áftábe, aur unḍelne ke baṛe baṛe kaṭore sab ḳhális sone ke banáná. 30Aur tú us mez par nazr kí roṭiyáṉ hamesha mere rúbarú rakhná.
31Aur ḳhális sone ká ek sham‘adán banáná. Wuh sham‘adán aur us ká páya aur ḍanḍí sab ghaṛkar banáe jáeṉ, aur us kí piyáliyáṉ aur laṭṭú aur us ke phúl sab ek hí ṭukṛe ke bane hoṉ. 32Aur us ke donoṉ pahlúoṉ se chha sháḳheṉ báhar ko nikaltí hoṉ. Tín sháḳheṉ sham‘adán ke ek pahlú se nikleṉ aur tín dúsre pahlú se. 33Ek sháḳh meṉ bádám ke phúl kí súrat kí tín piyáliyáṉ, ek laṭṭú aur ek phúl ho, aur dúsrí sháḳh meṉ bhí bádám ke phúl kí súrat kí tín piyáliyáṉ, ek laṭṭú aur ek phúl ho. Isí tarah sham‘adán kí chhaoṉ sháḳhoṉ meṉ yih sab lagá húá ho. 34Aur ḳhud sham‘adán meṉ bádám ke phúl kí súrat kí chár piyáliyáṉ apne apne laṭṭú aur phúl samet hoṉ. 35Aur do sháḳhoṉ ke níche ek laṭṭú, sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ, aur phir do sháḳhoṉ ke níche ek laṭṭú, sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ, aur phir do sháḳhoṉ ke níche ek laṭṭú; sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ. Sham‘adán kí chhaoṉ báhar ko niklí húí sháḳheṉ aisí hí hoṉ. 36Ya‘ní laṭṭú aur sháḳheṉ aur sham‘adán, sab ek hí ṭukṛe ke bane hoṉ. Yih sab ká sab ḳhális sone ke ek hí ṭukṛe se ghaṛkar banáyá jáe. 37Aur tú us ke liye sát chirág̣ banáná: yihí chirág̣ jaláí jáeṉ táki sham‘adán ke sámne raushní ho. 38Aur us ke gulgír aur guldán ḳhális sone ke hoṉ.
39Sham‘adán aur yih sab zurúf ek qintár ḳhális sone ke banáe húe hoṉ. 40Aur dekh, tú in ko ṭhík in ke namúne ke mutábiq, jo tujhe paháṛ par dikháyá gayá hai, banáná.

Currently Selected:

Ḳhurúj 25: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in