YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 26

26
1Aur tú maskan ke liye das parde banáná. Yih baṭe húe bárík katán aur ásmání, qirmizí, aur surḳh rang ke kapṛoṉ ke hoṉ; aur in meṉ kisí máhir ustád se karúbíoṉ kí súrat kaṛhwáná. 2Har parde kí lambáí aṭháís háth, aur chauṛáí chár háth ho: aur sab parde ek hí náp ke hoṉ. 3Aur páṉch parde ek dúsre se joṛe jáeṉ, aur báqí páṉch parde bhí ek dúsre se joṛe jáeṉ. 4Aur tú ek baṛe parde ke háshiye meṉ baṭe húe kanáre kí taraf, jo joṛá jáegá, ásmání rang ke tukme banáná; aur aise hí dúsre baṛe parde ke háshiye meṉ, jo is ke sáth miláyá jáegá, tukme banáná. 5Pachás tukme ek baṛe parde meṉ banáná, aur pachás hí dúsre baṛe parde ke háshiye meṉ, jo is ke sáth miláyá jáegá, banáná; aur sab tukme ek dúsre ke ámne sámne hoṉ. 6Aur sone kí pachás ghunḍiyáṉ banákar in pardoṉ ko in hí ghunḍiyoṉ se ek dúsre ke sáth joṛ dená: tab wuh maskan ek ho jáegá. 7Aur tú bakrí ke bál ke parde banáná, táki maskan ke úpar ḳhaime ká kám deṉ: aise parde gyárah hoṉ. 8Aur har parde kí lambáí tís háth, aur chauṛáí chár háth ho: wuh gyárah hoṉ: parde ek hí náp ke hoṉ. 9Aur tú páṉch parde ek jagah, aur chha parde ek jagah, ápas meṉ joṛ dená, aur chhaṭe parde ko ḳhaime ke sámne moṛkar duhrá kar dená. 10Aur tú pachás tukme us parde ke háshiye meṉ, jo bahar se miláyá jáegá, aur pachás hí tukme dúsrí taraf ke parde ke háshiye meṉ, jo báhar se miláyá jáegá, banáná. 11Aur pítal kí pachás ghunḍiyáṉ banákar in ghunḍiyoṉ ko tukmoṉ meṉ pahiná dená, aur ḳhaime ko joṛ dená, táki wuh ek ho jáe. 12Aur ḳhaime ke pardoṉ ká laṭká húá hissa, ya‘ní ádhá parda, jo bach rahegá, wuh maskan kí pichhlí taraf laṭká rahe. 13Aur ḳhaime ke pardoṉ kí lambáí ke báqí hisse meṉ se ek háth parda idhar se aur ek háth parda udhar se maskan kí donoṉ taraf idhar aur udhar laṭká rahe, táki use ḍháṉk le. 14Aur tú is ḳhaime ke liye meṉḍhoṉ kí surḳh rangí húí kháloṉ ká g̣iláf, aur us ke úpar tuḳhsoṉ kí kháloṉ ká g̣iláf banáná.
15Aur maskan ke liye kíkar kí lakṛí ke taḳhte banáná, ki khaṛe kiye jáeṉ. 16Har taḳhte kí lambáí das háth, aur chauṛáí deṛh háth ho. 17Aur har taḳhte meṉ do do chúleṉ hoṉ, ek dúsrí se milí húí hoṉ. Maskan ke sab taḳhte isí tarah ke banáná. 18Aur maskan ke liye jo taḳhte tú banáegá, un meṉ se bís taḳhte junúbí simt ke liye hoṉ. 19Aur in bís taḳhtoṉ ke níche chándí ke chálís ḳháne banáná, ya‘ní har ek taḳhte ke níche us kí donoṉ chúloṉ ke liye do do ḳháne. 20Aur maskan kí dúsrí taraf, ya‘ní shimálí simt ke liye, bís taḳhte hoṉ. 21Aur un ke liye bhí chándí ke chálís hí ḳháne hoṉ, ya‘ní ek ek taḳhte ke níche do do ḳháne. 22Aur maskan ke pichhle hisse ke liye mag̣ribí simt meṉ chha taḳhte banáná. 23Aur usí pichhle hisse meṉ maskan ke konoṉ ke liye do taḳhte banáná. 24Yih níche se duhre hoṉ, aur isí tarah úpar ke sire tak ákar ek halqe meṉ miláe jáeṉ. Donoṉ taḳhte isí ḍhab ke hoṉ. Yih taḳhte donoṉ konoṉ ke liye hoṉge. 25Pas áṭh taḳhte, aur chándí ke solah ḳháne hoṉge; ya‘ní ek ek taḳhte ke liye do do ḳháne. 26Aur tú kíkar kí lakṛí ke beṉḍe banáná; páṉch beṉḍe maskan ke ek pahlú ke taḳhtoṉ ke liye, 27aur páṉch beṉḍe maskan ke dúsre pahlú ke taḳhtoṉ ke liye, aur páṉch beṉḍe maskan ke pichhle hisse, ya‘ní mag̣ribí simt ke taḳhtoṉ ke liye; 28aur wasatí beṉḍá, jo taḳhtoṉ ke bích meṉ ho, wuh ḳhaime kí ek hadd se dúsrí hadd tak pahuṉche. 29Aur tú taḳhtoṉ ko sone se manḍhná, aur beṉḍoṉ ke gharoṉ ke liye sone ke kaṛe banáná; aur benḍoṉ ko bhí sone se manḍhná. 30Aur tú maskan ko usí namúne ke mutábiq banáná jo paháṛ par tujhe dikháyá gayá hai.
31Aur ásmání, arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛoṉ, aur bárík baṭe húe katán ká ek parda banáná, aur us meṉ kisí máhir ustád se karúbíoṉ kí súrat kaṛhwáná: 32aur use sone se manḍhe húe kíkar ke chár sutúnoṉ par laṭkáná. In ke kunḍe sone ke hoṉ, aur chándí ke chár ḳhánoṉ par khaṛe kiye jáeṉ. 33Aur parde ko ghunḍiyoṉ ke níche se laṭkáná aur shahádat ke sandúq ko wahíṉ parde ke andar le jáná; aur yih parda tumháre liye pák maqám ko páktarín maqám se alag karegá. 34Aur tú sarposh ko páktarín maqám meṉ shahádat ke sandúq par rakhná. 35Aur mez parde ke báhar dharkar sham‘adán ko us ke muqábil maskan kí junúbí simt meṉ rakhná, ya‘ní mez shimálí simt meṉ rakhná. 36Aur tú ek parda ḳhaime ke darwáze ke liye ásmání, arg̣awání, aur suṛkh rang ke kapṛoṉ aur bárík baṭe húe katán ká banáná, aur us par bel búṭe kaṛhe húe hoṉ. 37Aur is parde ke liye kíkar kí lakṛí ke páṉch sutún banáná, aur un ko sone se manḍhná aur un ke kunḍe sone ke hoṉ, jin ke liye tú pítal ke páṉch ḳháne ḍhálkar banáná.

Currently Selected:

Ḳhurúj 26: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in