YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 27

27
1Aur tú kíkar kí lakṛí kí qurbángáh páṉch háth lambí aur páṉch háth chauṛí banáná; wuh qurbángáh chaukhúṉṭí aur us kí úṉcháí tín háth ho. 2Aur tú us ke liye us ke chároṉ konoṉ par síṉg banáná; aur wuh síṉg aur qurbángáh sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ; aur tú un ko pítal se manḍhná. 3Aur tú us kí rákh uṭháne ke liye degeṉ, aur belche, aur kaṭore, aur síḳheṉ, aur angṭhiyáṉ banáná. Us ke sab zurúf pítal ke banáná. 4Aur us ke liye pítal kí jálí kí jhanjarí banáná; aur us jálí ke chároṉ konoṉ par pítal ke chár kaṛe lagáná. 5Aur us jhanjarí ko qurbángáh kí chároṉ taraf ke kanáre ke níche is tarah lagáná, ki wuh úṉcháí meṉ qurbángáh kí ádhí dúr tak pahuṉche. 6Aur tú qurbángáh ke liye kíkar kí lakṛí kí chobeṉ banákar un ko pítal se manḍhná. 7Aur tú un choboṉ ko kaṛoṉ meṉ pahiná dená, ki jab kabhí qurbángáh uṭháí jáe, wuh chobeṉ us kí donoṉ taraf raheṉ. 8Taḳhtoṉ se wuh qurbángáh banáná aur wuh khokhlí ho. Wuh use aisí banáeṉ jaisí tujhe paháṛ par dikháí gayí hai.
9Phir maskan ke liye sahn banáná. Us sahn kí junúbí simt ke liye bárík baṭe húe katán ke parde hoṉ, jo milákar sau háth lambe hoṉ. Yih sab ek hí simt meṉ hoṉ. 10Aur un ke liye bís sutún baneṉ; aur sutúnoṉ ke liye pítal ke bís hí ḳháne baneṉ; aur in sutúnoṉ ke kunḍe aur paṭṭiyáṉ chándí kí hoṉ. 11Isí tarah shimálí simt ke liye parde sab milákar lambáí meṉ sau háth hoṉ. Un ke liye bhí bís hí sutún, aur sutúnoṉ ke liye bís hí pítal ke ḳháne baneṉ, aur sutúnoṉ ke kunḍe aur paṭṭiyáṉ chándí kí hoṉ. 12Aur sahn kí mag̣ribí simt kí chauṛáí meṉ pachás háth ke parde hoṉ. Un ke liye das sutún aur sutúnoṉ ke liye das hí ḳháne baneṉ. 13Aur mashriqí simt meṉ sahn ho. 14Aur sahn ke darwáze ke ek pahlú ke liye pandrah háth ke parde hoṉ, jin ke liye tín sutún aur sutúnoṉ ke liye tín hí ḳháne baneṉ. 15Aur dúsre pahlú ke liye bhí pandrah háth ke parde aur tín sutúṉ aur tín hí ḳháne baneṉ. 16Aur sahn ke darwáze ke liye bís háth ká ek parda ho, jo ásmání, arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛoṉ aur bárík baṭe húe katán ká buná húá ho, aur us par bel búṭe kaṛhe hoṉ. Us ke sutún chár aur sutúnoṉ ke ḳháne bhí chár hí hoṉ. 17Aur sahn ke áspás sab sutún chándí kí paṭṭiyoṉ se jaṛe húe hoṉ, aur un ke kunḍe chándí ke, aur un ke ḳháne pítal ke hoṉ. 18Sahn kí lambáí sau háth aur chauṛáí har jagah pachás háth: aur qanát kí úṉcháí páṉch háth ho, parde bárík baṭe húe katán ke, aur sutúnoṉ ke ḳháne pítal ke hoṉ. 19Maskan ke qism qism ke kám ke sab sámán, aur waháṉ kí meḳheṉ, aur sahn kí meḳheṉ, yih sab pítal ke hoṉ.
20Aur tú baní Isráíl ko hukm dená, ki wuh tere pás kúṭkar nikálá húá zaitún ká ḳhális tel raushní ke liye láeṉ, táki chirág̣ hamesha jaltá rahe. 21Ḳhaima e ijtimá‘ meṉ us parde ke báhar, jo shahádat ke sandúq ke sámne hogá, Hárún aur us ke beṭe shám se subh tak sham‘adán ko Ḳhudáwand ke rúbarú árásta rakkheṉ: yih dastúru’l ‘amal baní Isráíl ke liye nasl dar nasl sadá qáim rahegá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 27: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in