YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 9

9
1Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Fir‘aun ke pás jákar us se kah, ki Ḳhudáwand, ‘Ibráníoṉ ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Mere logoṉ ko jáne de, táki wuh merí ‘ibádat kareṉ. 2Kyúṉki agar tú inkár kare aur un ko jáne na de aur ab bhí un ko roke rakkhe, 3to dekh, Ḳhudáwand ká háth tere chaupáyon par, jo khetoṉ meṉ haiṉ, ya‘ní ghoṛoṉ, gadhoṉ, úṉṭoṉ, gáe bailoṉ aur bheṛ bakriyoṉ par aisá paṛegá, ki un meṉ baṛí bhárí marí phail jáegí. 4Aur Ḳhudáwand Isráíl ke chaupáyoṉ ko Misríoṉ ke chaupáyoṉ se judá karegá, aur jo baní Isráíl ke haiṉ, un meṉ se ek bhí nahíṉ maregá. 5Aur Ḳhudáwand ne ek waqt muqarrar kar diyá, aur batá diyá, ki Kal Ḳhudáwand is mulk meṉ yihí kám karegá. 6Aur Ḳhudáwand ne dúsre din aisá hí kiyá; aur Misríoṉ ke sab chaupáye mar gaye, lekin baní Isráíl ke chaupáyoṉ meṉ se ek bhí na mará. 7Chunáṉchi Fir‘aun ne ádmí bheje, to ma‘lúm húá, ki Isráílíoṉ ke chaupáyoṉ meṉ se ek bhí nahíṉ mará hai. Lekin Fir‘aun ká dil muta‘assib thá, aur us ne logoṉ ko jáne na diyá.
8Aur Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, ki Tum donoṉ bhaṭṭhí kí rákh apní muṭṭhiyoṉ meṉ le lo, aur Músá use Fir‘aun ke sámne ásmán kí taraf uṛá de. 9Aur wuh sáre mulk i Misr meṉ bárík gard hokar Misr ke ádmíoṉ aur jánwaroṉ ke jism par phoṛe aur phaphole ban jáegí. 10So wuh bhaṭṭhí kí rákh lekar Fir‘aun ke áge já khaṛe húe; aur Músá ne use ásmán kí taraf uṛá diyá; aur wuh ádmíoṉ aur jánwaroṉ ke jism par phoṛe aur phaphole ban gayí. 11Aur jádúgar phoṛoṉ ke sabab se Músá ke áge khaṛe na rah sake; kyúṉki jádúgaroṉ aur sab Misríon ke phoṛe nikle húe the. 12Aur Ḳhudáwand ne Fir‘aun ke dil ko saḳht kar diyá, aur us ne, jaisá Ḳhudáwand ne Músá se kah diyá thá, un kí na suní.
13Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Subh sawere uṭhkar Fir‘aun ke áge já khaṛá ho, aur use kah, ki Ḳhudáwand, ‘Ibráníoṉ ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Mere logoṉ ko jáne de, táki wuh merí ‘ibádat kareṉ. 14Kyúṉki maiṉ ab kí bár apní sab baláeṉ tere dil, aur tere naukaroṉ, aur terí ra‘íyat par názil karúṉgá; táki tú ján le ki tamám dunyá meṉ merí mánind koí nahíṉ hai. 15Aur maiṉ ne to abhí háth baṛhákar tujhe aur terí ra‘íyat ko wabá se márá hotá, aur tú zamín par se halák ho játá. 16Par maiṉ ne tujhe fi’lhaqíqat is liye qáim rakkhá hai, ki apní quwwat tujhe dikháúṉ, táki merá nám sárí dunyá meṉ mashhúr ho jáe. 17Kyá tú ab bhí mere logoṉ ke muqábale meṉ takabbur kartá hai, ki un ko jáne nahíṉ detá? 18Dekh, maiṉ kal isí waqt aise baṛe baṛe ole barsáúṉgá, jo Misr meṉ jab se us kí bunyád ḍálí gayí áj tak nahíṉ paṛe. 19Pas ádmí bhejkar apne chaupáyoṉ ko aur jo kuchh terá mál khetoṉ meṉ hai, us ko andar kar le, kyúṉki jitne ádmí aur jánwar maidán meṉ hoṉge aur ghar meṉ nahíṉ pahuṉcháe jáeṉge, un par ole paṛeṉge, aur wuh halák ho jáeṉge. 20So Fir‘aun ke ḳhádimoṉ meṉ, jo jo Ḳhudáwand ke kalám se ḍartá thá, wuh apne naukaroṉ aur chaupáyoṉ ko ghar meṉ bhagá le áyá. 21Aur jinhoṉ ne Ḳhudáwand ke kalám ká liház na kiyá, unhoṉ ne apne naukaroṉ aur chaupáyoṉ ko maidán meṉ rahne diyá
22Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Apná háth ásmán kí taraf baṛhá, táki sab mulk i Misr meṉ insán aur haiwán aur khet kí sabzí par, jo mulk i Misr meṉ hai, ole gireṉ. 23Aur Músá ne apní láṭhí ásmán kí taraf uṭháí, aur Ḳhudáwand ne ra‘d aur ole bheje, aur ág zamín tak áne lagí, aur Ḳhudáwand ne Misr i mulk par ole barsáe. 24Pas ole gire, aur oloṉ ke sáth ág milí húí thí; aur wuh ole aise bhárí the, ki jab se Misrí qaum ábád húí aise ole mulk meṉ kabhí nahíṉ paṛe the. 25Aur oloṉ ne sáre mulk i Misr meṉ un ko jo maidán meṉ the, kyá insán kyá haiwán, sab ko márá; aur khetoṉ kí sárí sabzí ko bhí ole már gaye; aur maidán ke sab daraḳhtoṉ ko ṭor ḍálá. 26Magar Jashan ke ‘iláqe meṉ, jaháṉ baní Isráíl rahte the, ole nahíṉ gire. 27Tab Fir‘aun ne Músá aur Hárún ko bulwákar un se kahá, ki Maiṉ ne is daf‘a gunáh kiyá. Ḳhudáwand sádiq hai, aur maiṉ aur merí qaum ham donoṉ badkár haiṉ. 28Ḳhudáwand se shafá‘at karo, kyúṉki yih zor ká garajná aur oloṉ ká barasná bahut ho chuká: aur maiṉ tum ko jáne dúṉgá, aur tum ab ruke nahíṉ rahoge. 29Tab Músá ne use kahá, ki Maiṉ shahr se báhar nikalte hí Ḳhudáwand ke áge háth phailáúṉgá, aur ra‘d mauqúf ho jáegá, aur ole bhí phir na paṛeṉge: táki tú ján le ki dunyá Ḳhudáwand hí kí hai. 30Lekin maiṉ jántá húṉ, ki tú aur tere naukar ab bhí Ḳhudáwand Ḳhudá se nahíṉ ḍaroge. 31Pas san aur jau ko to ole már gaye; kyúṉki jau kí báleṉ nikal chukí thíṉ, aur san meṉ phúl lage húe the. 32Par gehúṉ aur kaṭhyá gehúṉ máre na gaye, kyúṉki wuh baṛhe na the. 33Aur Músá ne Fir‘aun ke pás se shahr ke báhar jákar Ḳhudáwand ke áge háth phailáe. So ra‘d aur ole mauqúf ho gaye, aur zamín par bárish tham gayí. 34Jab Fir‘aun ne dekhá, ki meṉh aur ole aur ra‘d mauqúf ho gaye, to us ne aur us ke ḳhádimoṉ ne âur ziyáda gunáh kiyá ki apná dil saḳht kar liyá. 35Aur Fir‘aun ká dil saḳht ho gayá; aur us ne baní Isráíl ko, jaisá Ḳhudáwand ne Músá kí ma‘rifat kah diyá thá, jáne na diyá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in