YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 15

15
1In bátoṉ ke ba‘d Ḳhudáwand ká kalám royá meṉ Abrám par názil húá aur us ne farmáyá, Ai Abrám, tú mat ḍar: maiṉ terí sipar aur terá bahut baṛá ajr húṉ. 2Abrám ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand Ḳhudá, tú mujhe kyá degá? kyúṉki maiṉ to beaulád játá húṉ, aur mere ghar ká muḳhtár Damishqí Ilí‘azar hai. 3Phir Abrám ne kahá, ki Dekh, tú ne mujhe koí aulád nahíṉ dí: aur dekh, merá ḳhánazád merá wáris hogá. 4Tab Ḳhudáwand ká kalám us par názil húá aur us ne farmáyá: Yih terá wáris na hogá, balki wuh jo tere sulb se paidá hogá, wuh terá wáris hogá. 5Aur wuh us ko báhar le gayá, aur kahá, ki Ab ásmán kí taraf nigáh kar, aur agar tú sitároṉ ko gin saktá hai, to gin: aur us se kahá, ki Terí aulád aisí hí hogí. 6Aur wuh Ḳhudáwand par ímán láyá: aur ise us ne us ke haqq meṉ rástbází shumár kiyá. 7Aur us ne us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudáwand húṉ, jo tujhe Kasdíoṉ ke Úr se nikál láyá, ki tujh ko yih mulk mírás meṉ dúṉ. 8Aur us ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand Ḳhudá, maiṉ kyúṉkar jánúṉ ki maiṉ us ká wáris húṉgá? 9Us ne us se kahá, ki Mere liye tín baras kí ek bachhiyá, aur tín baras kí ek bakrí, aur tín baras ká ek meṉḍhá, aur ek qumrí, aur ek kabútar ká bachcha le. 10Aur us ne in sabhoṉ ko liyá, aur un ko bích se do ṭukṛe kiyá, aur har ṭukṛe ko us ke sáth ke dúsre ṭukṛe ke muqábil rakkhá: magar parandoṉ ke ṭukṛe na kiye. 11Tab shikárí parande un ṭukṛoṉ par jhapaṭne lage, par Abrám un ko haṉkátá rahá. 12Súraj dúbte waqt Abrám par gahrí nínd g̣álib húí; aur dekho, ek baṛí haulnák táríkí us par chhá gayí. 13Aur us ne Abrám se kahá, ki Yaqín ján ki terí nasl ke log aise mulk meṉ, jo un ká nahíṉ, pardesí hoṉge, aur waháṉ ke logoṉ kí g̣ulámí kareṉge, aur wuh chár sau baras tak un ko dukh deṉge; 14lekin maiṉ us qaum kí ‘adálat karúṉgá, jis kí wuh g̣ulámí kareṉge, aur ba‘d meṉ wuh baṛí daulat lekar waháṉ se nikal áeṉge. 15Aur tú sahíh salámat apne bápdádá se já milegá, aur niháyat pírí meṉ dafn hogá. 16Aur wuh chauthí pusht meṉ, yaháṉ lauṭ áeṉge; kyúṉki Amoríoṉ ke gunáh ab tak púre nahíṉ húe. 17Aur jab súraj ḍúbá, aur andherá chhá gayá, to ek tanúr, jis meṉ se dhuwáṉ uṭhtá thá dikháí diyá aur ek jaltí mash‘al un ṭukṛoṉ ke bích meṉ se hokar guzrí. 18Usí roz Ḳhudáwand ne Abrám se ‘ahd kiyá aur farmáyá, ki Yih mulk daryá e Misr se lekar us baṛe daryá, ya‘ní daryá e Furát tak, 19Qainíoṉ aur Qanízíoṉ aur Qadmúníoṉ, 20aur Hittíoṉ aur Farizzíoṉ aur Rifáíoṉ, 21aur Amoríoṉ aur Kan‘áníoṉ aur Jirjásíoṉ aur Yabúsíoṉ samet maiṉ ne terí aulád ko diyá hai.

Currently Selected:

Paidáish 15: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in