YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 27

27
1Jab Izháq za‘íf ho gayá, aur us kí áṉkheṉ aisí dhundhlá gayíṉ ki use dikháí na detá thá, to us ne apne baṛe beṭe ‘Esau ko buláyá, aur kahá, Ai mere beṭe: us ne kahá, Maiṉ házir húṉ. 2Tab us ne kahá, Dekh, maiṉ to za‘íf ho gayá, aur mujhe apní maut ká din ma‘lúm nahíṉ. 3So ab tú zará apná hathyár, apná tarkash aur apní kamán lekar jangal ko nikal já, aur mere liye shikár már lá; 4aur merí hasb pasand lazíz kháná mere liye taiyár karke mere áge le á, táki maiṉ kháúṉ aur apne marne se pahle dil se tujhe du‘á dúṉ. 5Aur jab Izháq apne beṭe ‘Esau se báteṉ kar rahá thá, to Ribqah sun rahí thí. Aur ‘Esau jangal ko nikal gayá, ki shikár márkar láe.
6Tab Ribqah ne apne beṭe Ya‘qúb se kahá, ki Dekh, maiṉ ne tere báp ko tere bháí ‘Esau se yih kahte suná, ki 7Mere liye shikár márkar lazíz kháná mere wáste taiyár kar; táki maiṉ kháúṉ, aur apne marne se peshtar Ḳhudáwand ke áge tujhe du‘á dúṉ. 8So ab, ai mere beṭe, is hukm ke mutábiq jo maiṉ tujhe detí húṉ, merí bát ko mán; 9aur jákar rewaṛ meṉ se bakrí ke do achchhe achchhe bachche mujhe lá de, aur maiṉ un ko lekar tere báp ke liye us kí hasb pasand lazíz kháná taiyár kar dúṉgí, 10aur tú use apne báp ke áge le jáná, táki wuh kháe, aur apne marne se peshtar tujhe du‘á de. 11Tab Ya‘qúb ne apní máṉ Ribqah se kahá, Dekh, mere bháí ‘Esau ke jism par bál haiṉ, aur merá jism sáf hai: 12sháyad merá báp mujhe ṭaṭole, to maiṉ us kí nazar meṉ dag̣ábáz ṭhahrúṉg̣á, aur barakat nahíṉ balki la‘nat kamáúṉgá. 13Us kí máṉ ne use kahá, Ai mere beṭe, terí la‘nat mujh par áe; tú sirf merí bát mán, aur jákar wuh bachche mujhe lá de. 14Tab wuh gayá, aur un ko lákar apní máṉ ko diyá. Aur us kí máṉ ne us ke báp kí hasb pasand lazíz kháná taiyár kiyá. 15Aur Ribqah ne apne baṛe beṭe ‘Esau ke nafís libás, jo us ke pás ghar meṉ the, lekar un ko apne chhoṭe beṭe Ya‘qúb ko pahináyá. 16Aur bakrí ke bachchoṉ kí kháleṉ us ke háthoṉ aur us kí gardan par, jaháṉ bál na the, lapeṭ díṉ. 17Aur wuh lazíz kháná aur roṭí, jo us ne taiyár kí thí, apne beṭe Ya‘qúb ke háth meṉ de dí. 18Tab us ne báp ke pás ákar kahá, Ai mere báp: us ne kahá, Maiṉ házir húṉ: tú kaun hai, mere beṭe? 19Ya‘qúb ne apne báp se kahá, Maiṉ terá pahlauṭhá beṭá ‘Esau húṉ. Maiṉ ne tere kahne ke mutábiq kiyá hai; so zará uṭh aur baiṭhkar mere shikár ká gosht khá, táki tú dil se mujhe du‘á de. 20Tab Izháq ne apne beṭe se kahá, Beṭá, tujhe yih is qadr jald kaise mil gayá? Us ne kahá, Is liye ki Ḳhudáwand tere Ḳhudá ne merá kám baná diyá. 21Tab Izháq ne Ya‘qúb se kahá, Ai mere beṭe, zará nazdík á, ki maiṉ tujhe ṭaṭolúṉ, ki tú merá wuhí beṭá ‘Esau hai, yá nahíṉ. 22Aur Ya‘qúb apne báp Izháq ke nazdík gayá, aur us ne use ṭaṭolkar kahá, ki Áwáz to Ya‘qúb kí hai, par háth ‘Esau ke haiṉ. 23Aur us ne use na pahcháná, is liye ki us ke háthoṉ par us ke bháí ‘Esau ke háthoṉ kí tarah bál the; so us ne use du‘á dí. 24Aur us ne púchhá, ki Kyá tú merá beṭá ‘Esau hí hai? Us ne kahá, Maiṉ wuhí húṉ. 25Tab us ne kahá, Kháná mere áge le á aur maiṉ apne beṭe ke shikár ká gosht kháúṉgá, táki dil se tujhe du‘á dúṉ. So wuh use us ke nazdík le áyá, aur us ne kháyá; aur wuh us ke liye mai láyá, aur us ne pí. 26Phir us ke báp Izháq ne us se kahá, Ai mere beṭe, ab pás ákar mujhe chúm. 27Us ne pás jákar use chúmá. Tab us ne us ke libás kí ḳhushbú páí, aur use du‘á dekar kahá,
Dekho, mere beṭe kí mahak us khet kí mahak kí mánind hai,
Jise Ḳhudáwand ne barakat dí ho.
28Ḳhudá ásmán kí os, aur zamín kí farbihí,
Aur bahut sá anáj aur mai tujhe baḳhshe.
29Qaumeṉ terí ḳhidmat kareṉ;
Aur qabíle tere sámne jhukeṉ.
Tú apne bháiyoṉ ká sardár ho,
Aur terí máṉ ke beṭe tere áge jhukeṉ.
Jo tujh par la‘nat kare wuh ḳhud la‘natí ho,
Aur jo tujhe du‘á de wuh barakat páe.
30Jab Izháq Ya‘qúb ko du‘á de chuká, aur Ya‘qúb apne báp Izháq ke pás se niklá hí thá, ki us ká bháí ‘Esau apne shikár se lauṭá. 31Wuh bhí lazíz kháná pakákar apne báp ke pás láyá, aur us ne apne báp se kahá, Merá báp uṭhkar apne beṭe ke shikár ká gosht kháe, táki dil se mujhe du‘á de. 32Us ke báp Izháq ne us se púchhá, ki Tú kaun hai? Us ne kahá, Maiṉ terá pahlauṭhá beṭá ‘Esau húṉ. 33Tab to Izháq bashiddat káṉpne lagá, aur us ne kahá, Phir wuh kaun thá, jo shikár márkar mere pás le áyá, aur maiṉ ne tere áne se pahle sab meṉ se thoṛá thoṛá kháyá, aur use du‘á dí; aur mubárak bhí wuhí hogá. 34‘Esau apne báp kí báteṉ sunte hí baṛí baland aur hasratnák áwáz se chillá uṭhá, aur apne báp se kahá, Mujh ko bhí du‘á de, ai mere báp! Mujh ko bhí! 35Us ne kahá, Terá bháí dagá se áyá, aur terí barakat le gayá. 36Tab us ne kahá, Kyá us ká nám Ya‘qúb ṭhík nahíṉ rakkhá gayá? kyúṉki us ne dobára mujhe aṛangá márá: us ne merá pahlauṭhe ká haqq to le hí liyá thá, aur dekh, ab wuh merí barakat bhí le gayá. Phir us ne kahá, Kyá tú ne mere liye koí barakat nahíṉ rakh chhoṛí hai? 37Izháq ne ‘Esau ko jawáb diyá, ki Dekh, maiṉ ne use terá sardár ṭhahráyá, aur us ke sab bháiyoṉ ko us ke supurd kiyá ki ḳhádim hoṉ, aur anáj aur mai us kí parwarish ke liye batáí; ab, ai mere beṭe, tere liye maiṉ kyá karúṉ? 38Tab ‘Esau ne apne báp se kahá, Kyá tere pás ek hí barakat hai, ai mere báp? mujhe bhí du‘á de, ai mere báp, mujhe bhí. Aur ‘Esau chillá chillákar royá. 39Tab us ke báp Izháq ne us se kahá,
Dekh, zarḳhez zamín meṉ terá maskan ho,
Aur úpar se ásmán kí shabnam us par paṛe.
40Terí auqát basarí terí talwár se ho, aur tú apne bháí kí ḳhidmat kare.
Aur jab tú ázád ho,
To apne bháí ká júá apní gardan par se utár pheṉke.
41Aur ‘Esau ne Ya‘qúb se, us barakat ke sabab se jo us ke báp ne use baḳhshí, kína rakkhá: aur ‘Esau ne apne dil meṉ kahá, ki Mere báp ke mátam ke din nazdík haiṉ, phir maiṉ apne bháí Ya‘qúb ko már ḍálúṉg̣á. 42Aur Ribqah ko us ke baṛe beṭe ‘Esau kí yih báteṉ batáí gayíṉ. Tab us ne apne chhoṭe beṭe Ya‘qúb ko bulwákar us se kahá, ki Dekh, terá bháí ‘Esau tujhe már ḍálne par hai, aur yihí soch sochkar apne ko tasallí de rahá hai. 43So ab, ai mere beṭe, tú merí bát mán, aur uṭhkar Hárán ko mere bháí Lában ke pás bhág já; 44aur thoṛe din us ke sáth rah, jab tak ki tere bháí kí ḳhafagí utar na jáe, 45ya‘ní jab tak tere bháí ká qahr terí taraf se ṭhanḍá na ho, aur wuh us bát ko jo tú ne us se kí hai bhúl na jáe; tab maiṉ tujhe waháṉ se bulwá bhejúṉgí: maiṉ ek hí din meṉ tum donoṉ ko kyúṉ kho baiṭhúṉ?
46Aur Ribqah ne Izháq se kahá, Maiṉ Hittí laṛkiyoṉ ke sabab se apní zindagí se tang húṉ; so agar Ya‘qúb Hittí laṛkiyoṉ meṉ se, jaisí is mulk kí laṛkiyáṉ haiṉ, kisí se biyáh kar le to merí zindagí meṉ kyá lutf rahegá?

Currently Selected:

Paidáish 27: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in