YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 26

26
1Aur us mulk meṉ, us pahle kál ke ‘aláwa, jo Abrahám ke aiyám meṉ paṛá thá, phir kál paṛá. Tab Izháq Jirár ko Filistíoṉ ke bádsháh Abímalik ke pás gayá 2Aur Ḳhudáwand ne us par záhir hokar kahá, ki Misr ko na já; balki jo mulk maiṉ tujhe batáúṉ us meṉ rah. 3Tú isí mulk meṉ qiyám rakh, aur maiṉ tere sáth rahúṉgá, aur tujhe barakat baḳhshúṉgá; kyúṉki maiṉ tujhe, aur terí nasl ko, yih sab mulk dúṉgá, aur maiṉ us qasam ko, jo maiṉ ne tere báp Abrahám se kháí, púrá karúṉgá. 4Aur maiṉ terí aulád ko baṛhákar ásmán ke tároṉ kí mánind kar dúṉgá, aur yih sab mulk terí nasl ko dúṉgá; aur zamín kí sab qaumeṉ terí nasl ke wasíle se barakat páeṉgí; 5is liye ki Abrahám ne merí bát mání, aur merí nasíhat aur mere hukmoṉ aur qawánín o áín par ‘amal kiyá. 6Pas Izháq Jirár meṉ rahne lagá. 7Aur waháṉ ke báshindoṉ ne us se us kí bíwí kí bábat púchhá. Us ne kahá, Wuh merí bahin hai: kyúṉki wuh use apní bíwí batáte ḍará, yih sochkar ki kahíṉ Ribqah ke sabab se waháṉ ke log use qatl na kar ḍáleṉ, kyúṉki wuh ḳhúbsúrat thí. 8Jab use waháṉ rahte bahut din ho gaye, to Filistíoṉ ke bádsháh Abímalik ne khiṛkí meṉ se jháṉkkar nazar kí aur dekhá, ki Izháq apní bíwí Ribqah se haṉsí khel kar rahá hai. 9Tab Abímalik ne Izháq ko bulákar kahá, ki Wuh to haqíqat meṉ terí bíwí hai; phir tú ne kyúṉkar use apní bahin batáyá? Izháq ne us se kahá, Is liye ki mujhe ḳhayál húá ki kahíṉ maiṉ us ke sabab se márá na jáúṉ. 10Abímalik ne kahá, Tú ne ham se kyá kiyá? Yúṉ to ásání se un logoṉ meṉ se koí terí bíwí ke sáth mubásharat kar letá aur tú ham par ilzám látá. 11Tab Abímalik ne sab logoṉ ko yih hukm kiyá, ki Jo koí is mard ko, yá is kí bíwí ko chhúegá, so már ḍálá jáegá. 12Aur Izháq ne us mulk meṉ khetí kí, aur usí sál use sau guná phal milá: aur Ḳhudáwand ne use barakat baḳhshí: 13aur wuh baṛh gayá, aur us kí taraqqí hotí gayí, yaháṉ tak ki wuh bahut baṛá ádmí ho gayá; 14aur us ke pás bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail, aur bahut se naukar chákar the, aur Filistíoṉ ko us par rashk áne lagá. 15Aur unhoṉ ne sab kúeṉ, jo us ke báp ke naukaroṉ ne us ke báp Abrahám ke waqt meṉ khode the, band kar diye, aur un ko miṭṭí se bhar diyá. 16Aur Abímalik ne Izháq se kahá, ki Tú hamáre pás se chalá já, kyúṉki tú ham se ziyáda zoráwar ho gayá hai. 17Tab Izháq ne waháṉ se Jirár kí wádí meṉ jákar apná ḍerá lagáyá, aur waháṉ rahne lagá. 18Aur Izháq ne pání ke un kúoṉ ko, jo us ke báp Abrahám ke aiyám meṉ khode gaye the, phir khudwáyá; kyúṉki Filistíoṉ ne Abrahám ke marne ke ba‘d un ko band kar diyá thá; aur us ne un ke phir wuhí nám rakkhe, jo us ke báp ne rakkhe the. 19Aur Izháq ke naukaroṉ ko wádí meṉ khodte khodte bahte pání ká ek sotá mil gayá. 20Tab Jirár ke charwáhoṉ ne Izháq ke charwáhoṉ se jhagṛá kiyá, aur kahne lage, ki Yih pání hamárá hai. Aur us ne us kúeṉ ká nám ‘Isq rakkhá; kyúṉki unhoṉ ne us se jhagṛá kiyá. 21Aur unhoṉ ne dúsrá kúáṉ khodá, aur us ke liye bhí wuh jhagaṛne lage, aur us ne us ká nám Sitnah rakkhá. 22So wuh waháṉ se dúsrí jagah chalá gayá aur ek âur kúáṉ khodá, jis ke liye unhoṉ ne jhagṛá na kiyá; aur us ne us ká nám Rahobot rakkhá, aur kahá, ki Ab Ḳhudáwand ne hamáre liye jagah nikálí, aur ham is mulk meṉ baromand hoṉge. 23Waháṉ se wuh Baírsaba‘ ko gayá. 24Aur Ḳhudáwand usí rát us par záhir húá, aur kahá, ki Maiṉ tere báp Abrahám ká Ḳhudá húṉ; mat ḍar, kyúṉki maiṉ tere sáth húṉ, aur tujhe barakat dúṉgá, aur apne bande Abrahám kí ḳhátir terí nasl baṛháúṉgá. 25Aur us ne waháṉ mazbah banáyá, aur Ḳhudáwand se du‘á kí, aur apná ḍerá wahíṉ lagá liyá; aur waháṉ Izháq ke naukaroṉ ne ek kúáṉ khodá. 26Tab Abímalik, apne dost Aḳhúzat aur apne sipahsálár Fíkul ko sáth lekar Jirár se us ke pás gayá. 27Izháq ne un se kahá, ki Tum mere pás kyúṉkar áe, háláṉki mujh se kína rakhte ho, aur mujh ko apne pás se nikál diyá? 28Unhoṉ ne kahá, Ham ne ḳhúb safáí se dekhá, ki Ḳhudáwand tere sáth hai: so ham ne kahá, ki Hamáre aur tere darmiyán qasam ho jáe, aur ham tere sáth ‘ahd kareṉ, 29ki jaise ham ne tujhe chhúá tak nahíṉ, aur siwá nekí ke tujh se âur kuchh nahíṉ kiyá, aur tujh ko salámat ruḳhsat kiyá, tú bhí ham se koí badí na karegá; kyúṉki tú ab Ḳhudáwand kí taraf se mubárak hai. 30Tab us ne un ke liye ziyáfat taiyár kí, aur unhoṉ ne kháyá piyá. 31Aur wuh subh sawere uṭhe, aur ápas meṉ qasam kháí: aur Izháq ne unheṉ ruḳhsat kiyá, aur wuh us ke pás se salámat chale gaye. 32Usí roz Izháq ke naukaroṉ ne ákar us se us kúeṉ ká zikr kiyá, jise unhoṉ ne khodá thá, aur kahá, ki Ham ko pání mil gayá. 33So us ne us ká nám Saba‘ rakkhá: isí liye wuh shahr áj tak Baírsaba‘ kahlátá hai.
34Jab ‘Esau chálís baras ká húá, to us ne Baírí Hittí kí beṭí Yahúdith, aur Ailon Hittí kí beṭí Bashámath se biyáh kiyá, 35aur wuh Izháq aur Ribqah ke liye wabál i ján húíṉ.

Currently Selected:

Paidáish 26: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in