YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 36

36
1Aur ‘Esau, ya‘ní Adom ká nasabnáma yih hai. 2‘Esau Kan‘ání laṛkiyoṉ meṉ se Hittí Ailún kí beṭí ‘Adah ko, aur Hawwí Saba‘on kí nawásí aur ‘Anah kí beṭí Uhlíbámah ko, 3aur Ismá‘íl kí beṭí aur Nabáyot kí bahin Bashámah ko biyáh láyá. 4Aur ‘Esau se ‘Adah ke Ilífaz paidá húá, aur Bashámah ke Ra‘úel paidá húá. 5Aur Uhlíbámah ke Ya‘os, aur Ya‘lám aur Qorah paidá húe. Yih ‘Esau ke beṭe haiṉ, jo mulk i Kan‘án meṉ paidá húe. 6Aur ‘Esau apní bíwiyoṉ aur beṭe beṭiyoṉ, aur apne ghar ke sab naukar chákaroṉ aur apne chaupáyoṉ aur tamám jánwaroṉ aur apne sab mál asbáb ko jo us ne mulk i Kan‘án meṉ jama‘ kiyá thá lekar apne bháí Ya‘qúb ke pás se ek dúsre mulk ko chalá gayá. 7Kyúṉki un ke pás is qadr sámán ho gayá thá ki wuh ek jagah rah nahíṉ sakte the, aur un ke chaupáyoṉ kí kasrat ke sabab se us zamín meṉ jaháṉ un ká qiyám thá gunjáish na thí. 8Pas ‘Esau jise Adom bhí kahte haiṉ, koh i Sha‘ír meṉ rahne lagá. 9Aur ‘Esau ká, jo koh i Sha‘ír ke Adomíoṉ ká báp hai, yih nasabnáma hai: 10‘Esau ke beṭoṉ ke nám yih haiṉ; Ilífaz, ‘Esau kí bíwí ‘Adah ká beṭá; aur Ra‘úel, ‘Esau kí bíwí Bashámah ká beṭá. 11Ilífaz ke beṭe Temán, aur Ámír, aur Safo, aur Ja‘tám, aur Qanaz the. 12Aur Timna‘ ‘Esau ke beṭe Ilífaz kí haram thí; aur Ilífaz se us ke ‘Amálíq paidá húá. So ‘Esau kí bíwí ‘Adah ke beṭe yih the. 13Ra‘úel ke beṭe yih haiṉ; Nahat, aur Zárah, aur Sammah, aur Mizzah yih ‘Esau kí bíwí Bashámah ke beṭe the. 14Aur Uhlíbámah ke beṭe jo ‘Anah kí beṭí Saba‘on kí nawásí aur ‘Esau kí bíwí thí yih haiṉ. ‘Esau se us ke Ya‘os aur Ya‘lám aur Qorah paidá húe. 15Aur ‘Esau kí aulád meṉ jo raís the, so yih haiṉ: ‘Esau ke pahlauṭhe beṭe Ilífaz kí aulád men; raís Temán, raís Ámír, raís Safo, raís Qanaz, 16raís Qorah, raís Ja‘tám, raís ‘Amálíq; yih wuh raís haiṉ, jo Ilífaz se mulk i Adom meṉ paidá húe, aur ‘Adah ke farzand the. 17Aur Ra‘úel bin ‘Esau ke bete yih haiṉ: raís Nahat, raís Zárah, raís Sammah, raís Mizzah: yih wuh raís haiṉ, jo Ra‘úel se mulk i Adom meṉ paidá húe, aur ‘Esau kí bíwí Bashámah ke farzand the. 18Aur ‘Esau kí bíwí Uhlíbámah kí aulád yih hain; raís Ya‘os, raís Ya‘lám, raís Qorah; yih wuh raís haiṉ, jo ‘Esau kí bíwí Uhlíbámah bint ‘Anah ke farzand the. 19So ‘Esau, ya‘ní Adom kí aulád, aur un ke raís, yih haiṉ.
20Aur Sha‘ír Horí ke beṭe jo us mulk ke báshinde the, yih haiṉ; Lotán, aur Sobal, aur Saba‘on, aur ‘Anah, 21aur Díson, aur Asar, aur Dísán: baní Sha‘ír meṉ se jo Horí raís mulk i Adom meṉ húe yih haiṉ: 22Horí aur Hemám Lotán ke beṭe, aur Timna‘ Lotán kí bahin thí. 23Aur yih Sobal ke beṭe haiṉ; ‘Alwán, aur Mánahat, aur ‘Ebál, aur Safo, aur Onám. 24Aur Saba‘on ke beṭe yih haiṉ; Áyah aur ‘Anah; yih wuh ‘Anah hai jise apne báp ke gadhoṉ ko biyábán meṉ charáte waqt garm chashme mile. 25Aur ‘Anah kí aulád yih hai; Díson, aur Uhlíbámah bint ‘Anah. 26Aur Díson ke beṭe yih haiṉ; Hamdán, aur Ishbán, aur Yitrán, aur Kirán. 27Yih Asar ke beṭe haiṉ: Bilhán, aur Za‘wán, aur ‘Aqán. 28Dísán ke beṭe yih haiṉ: ‘Úz, aur Irán. 29Jo Horíoṉ meṉ se raís húe wuh yih haiṉ: raís Lotán, raís Sobal, raís Saba‘on, raís ‘Anah, 30raís Díson, raís Asar, raís Dísán: yih un Horíoṉ ke raís haiṉ, jo mulk i Sha‘ír meṉ the.
31Yihí wuh bádsháh haiṉ, jo mulk i Adom par peshtar us se ki Isráíl ká koí bádsháh ho, musallit the. 32Bála‘ bin Ba‘or Adom meṉ ek bádsháh thá, aur us ke shahr ká nám Dinhábá thá. 33Bála‘ mar gayá, aur Yúbáb, bin Zárah, jo Busráhí thá, us kí jagah bádsháh húá. 34Phir Yúbáb mar gayá, aur Hushím, jo Temáníoṉ ke mulk ká báshinda thá us ká jánishín húá. 35Aur Hushím mar gayá, aur Hadad bin Bidad, jis ne Moáb ke maidán meṉ Midiyáníoṉ ko márá, us ká jánishín húá; aur us ke shahr ká nám ‘Awít thá. 36Aur Hadad mar gayá, aur Shamlah, jo Musriqa ká thá, us ká jánishín húá. 37Aur Shamlah mar gayá, aur Sáúl us ká jánishín húá. Yih Rahobot ká thá jo daryá i Furát ke barábar hai. 38Aur Sáúl mar gayá, aur Ba‘lhanán bin ‘Akbor us ká jánishín húá. 39Aur Ba‘lhanán bin ‘Akbor mar gayá, aur Hadar us ká jánishín húá; aur us ke shahr ká nám Páú aur us kí bíwí ká nám Mahetabel thá, jo Matrid kí beṭí aur Mezáháb kí nawásí thí. 40Pas ‘Esau ke raísoṉ ke nám, un ke ḳhándánoṉ, aur maqámoṉ, aur námoṉ ke muwáfiq, yih haiṉ: raís Timná‘, raís ‘Alwah, raís Yatet, 41raís Uhlíbámah, raís Ailah, raís Fínon, 42raís Qanaz, raís Temán, raís Mibsár, 43raís Majdel, raís ‘Irám: Adom ke raís yihí haiṉ, jin ke nám un ke maqbúza mulk meṉ un ke maskan ke mutábiq diye gaye haiṉ. Yih hál Adomíoṉ ke báp ‘Esau ká hai.

Currently Selected:

Paidáish 36: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in