Yúhanná 10
10
1Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo koí darwáze se bheṛḳháne meṉ dáḳhil nahíṉ hotá, balki âur kisí taraf se chaṛh játá hai, wuh chor aur ḍákú hai. 2Lekin jo darwáze se dáḳhil hotá hai, wuh bheṛoṉ ká charwáhá hai. 3Us ke liye darbán darwáza khol detá hai; aur bheṛeṉ us kí áwáz suntí haiṉ: aur wuh apní bheṛoṉ ko nám ba nám bulákar báhar le játá hai. 4Jab wuh apní sab bheṛoṉ ko báhar nikál chuktá hai, to un ke áge áge chaltá hai, aur bheṛeṉ us ke píchhe píchhe ho letí haiṉ; kyúṉki wuh us kí áwáz pahchántí haiṉ. 5Magar wuh gair shaḳhs ke píchhe na jáeṉgí, balki us se bhágeṉgí; kyúṉki gairoṉ kí áwáz nahíṉ pahchántíṉ. 6Yisúʻ ne un se yih tamsíl kahí: lekin wuh na samjhe ki yih kyá báteṉ haiṉ jo ham se kahtá hai.
7Pas Yisúʻ ne un se phir kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Bheṛoṉ ká darwáza maiṉ húṉ 8Jitne mujh se pahle áe, sab chor aur ḍákú haiṉ; magar bheṛoṉ ne un kí na suní. 9Darwáza maiṉ húṉ: agar koí mujh se dáḳhil ho, to naját páegá, aur andar báhar áyá jáyá karegá, aur chárá páegá. 10Chor nahíṉ átá, magar churáne aur már ḍálne aur halák karne ko. Maiṉ is liye áyá ki wuh zindagí páeṉ, aur kasrat se páeṉ. 11Achchhá charwáhá maiṉ húṉ: achchhá charwáhá bheṛoṉ ke liye apní ján detá hai. 12Mazdúr jo na charwáhá hai, na bheṛoṉ ká málik, bheṛiye ko áte dekhkar bheṛoṉ ko chhoṛke bhág játá hai, aur bheṛiyá un ko pakaṛtá aur paráganda kartá hai. 13Wuh is liye bhág játá hai, ki mazdúr hai, aur us ko bheṛoṉ kí fikr nahíṉ. 14Achchhá charwáhá maiṉ húṉ; jis tarah Báp mujhe jántá hai, aur maiṉ Báp ko jántá húṉ, 15isí tarah maiṉ apní bheṛoṉ ko jántá húṉ, aur merí bheṛeṉ mujhe jántí haiṉ; aur maiṉ bheṛoṉ ke liye apní ján detá húṉ. 16Aur merí âur bhí bheṛeṉ haiṉ, jo is bheṛḳháne kí nahíṉ. Mujhe un ká bhí láná zarúr hai; aur wuh merí áwáz suneṉgí; phir ek hí galla aur ek hí charwáhá hogá. 17Báp mujh se is liye mahabbat rakhtá hai, ki maiṉ apní ján detá húṉ táki use phir le lúṉ. 18Koí use mujh se chhíntá nahíṉ, balki maiṉ use áp hí detá húṉ. Mujhe us ke dene ka bhí iḳhtiyár hai, aur us ke phir lene ká bhí iḳhtiyár hai. Yih hukm mere Báp se mujhe milá.
19In bátoṉ ke sabab Yahúdíoṉ meṉ phir iḳhtiláf húá. 20Un meṉ se bahutere to kahne lage, ki Us meṉ badrúh hai, aur wuh díwána hai; tum us kí kyúṉ sunte ho? 21Auroṉ ne kahá; Yih aise shaḳhs kí báteṉ nahíṉ jis meṉ badrúh ho. Kyá badrúh andhoṉ kí áṉkheṉ khol saktí hai?
22Yarúshalem meṉ ʻÍd i Tajdíd húí; aur jáṛe ká mausim thá: 23aur Yisúʻ haikal ke andar Sulaimání barámade meṉ ṭahal rahá thá. 24Pas Yahúdíoṉ ne us ke gird jamaʻ hokar us se kahá; Tú kab tak hamáre dil ko ḍáṉwáḍol rakkhegá? agar tú Masíh hai, to ham se sáf kah de. 25Yisúʻ ne unheṉ jawáb diyá, ki Maiṉ ne to tum se kah diyá, magar tum yaqín nahíṉ karte; jo kám maiṉ apne Báp ke nám se kartá húṉ, wuhí mere gawáh haiṉ. 26Lekin tum is liye yaqín nahíṉ karte, kí meri bheṛoṉ meṉ se nahíṉ ho. 27Merí bheṛeṉ merí áwáz suntí haiṉ, aur maiṉ unheṉ jántá húṉ, aur wuh mere píchhe píchhe chaltí haiṉ: 28aur maiṉ unheṉ hamesha kí zindagí baḳhshtá húṉ; aur wuh abad tak kabhí halák na hoṉgí, aur koí unheṉ mere háth se chhín na legá. 29Merá Báp, jis ne mujhe wuh dí haiṉ, sab se baṛá hai; aur koí unheṉ Báp ke háth se nahíṉ chhín saktá. 30Maiṉ aur Báp ek haiṉ. 31Yahúdíoṉ ne use saṉgsár karne ke liye phir patthar uṭháe. 32Yísúʻ ne unheṉ jawáb diyá, kí Maiṉ ne tum ko Báp kí taraf se bahutere achchhe kám dikháe haiṉ; un meṉ se kis kám ke sabab mujhe saṉgsár karte ho? 33Yahúdíoṉ ne use jawáb diyá, ki Achchhe kám ke sabab nahíṉ, balki kufr ke sabab tujhe saṉgsár karte haiṉ, aur is liye kí tú ádmí hokar apne áp ko Ḳhudá banátá hai. 34Yísúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Kyá tumhárí sharíʻat meṉ yih nahíṉ likhá hai ki Maiṉ ne kahá; Tum ḳhudá ho? 35Jab ki us ne unheṉ ḳhudá kahá, jin ke pás Ḳhudá ká kalám áyá, (aur kitáb i muqaddas ká bátil honá mumkin nahíṉ;) 36áyá tum us shaḳhs se jise Báp ne muqaddas karke dunyá meṉ bhejá, kahte ho ki Tú kufr baktá hai, is liye ki maiṉ ne kahá; Maiṉ Ḳhudá ká Beṭá húṉ? 37Agar maiṉ apne Báp ke kám nahíṉ kartá, to merá yaqín na karo. 38Lekin agar maiṉ kartá húṉ, to go merá yaqín na karo, magar un kamoṉ ká to yaqín karo; táki tum jáno aur samjho ki Báp mujh meṉ hai, aur maiṉ Báp meṉ. 39Unhoṉ ne phir us ke pakaṛne kí koshish kí, lekin wuh un ke háth se nikal gayá.
40Wuh phir Yardan ke pár us jagah chalá gayá, jaháṉ Yúhanná pahle baptisma diyá kartá thá, aur wahíṉ rahá. 41Aur bahutere us ke pás áe; aur kahte the, ki Yúhanná ne koí muʻjiza nahíṉ dikháyá; magar jo kuchh Yúhanná ne is ke haqq meṉ kahá thá, wuh sach thá. 42Aur waháṉ bahutere us par ímán láe.
Currently Selected:
Yúhanná 10: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)