YouVersion Logo
Search Icon

Yúhanná 9

9
1Phir us ne játe meṉ ek shaḳhs ko dekhá, jo janam ká andhá thá. 2Aur us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki Ai Rabbí, kis ne gunáh kiyá thá, jo yih andhá paidá húá; is shaḳhs ne, yá is ke máṉ báp ne? 3Yisúʻne jawáb diyá, ki Na is ne gunáh kiyá thá, na is ke máṉ báp ne: balki yih is liye húá ki Ḳhudá ke kám us meṉ záhir hoṉ. 4Jis ne mujhe bhejá hai, hameṉ us ke kám din hí din meṉ karne zarúr haiṉ: wuh rát ánewálí hai jis meṉ koí shaḳhs kám nahíṉ kar saktá. 5Jab tak maiṉ dunyá meṉ húṉ, dunyá ká núr húṉ. 6Yih kahkar us ne zamín par thúká, aur thúk se miṭṭí sání, aur wuh miṭṭí andhe kí áṉkhoṉ par lagákar 7us se kahá; Já, Shíloḳh ke hauz meṉ dho le, (jis ká tarjuma Bhejá Húá hai). Pas us ne jákar dhoyá, aur biná hokar wápas áyá. 8Pas paṛausí aur jin jin logoṉ ne pahle us ko bhíkh máṉgte dekhá thá, kahne lage; Kyá yih wuh nahíṉ, jo baiṭhá bhíkh máṉgá kartá thá? 9Baʻz ne kahá; Yih wuhí hai: auroṉ ne kahá, ki Nahíṉ; lekin koí us ke hamshakl hai: us ne kahá; Maiṉ wuhí húṉ. 10Pas wuh us se kahne lage, Phir terí áṉkheṉ kyúṉkar khul gayíṉ? 11Us ne jawáb diyá, ki Us shaḳhs ne jis ká nám Yisúʻ hai miṭṭí sání, aur merí áṉkhoṉ par lagákar mujh se kahá, kí Shíloḳh meṉ jákar dho le: pas maiṉ gayá, aur dhokar bíná ho gayá. 12Unhoṉ ne us se kahá; Wuh kaháṉ hai? Us ne kahá; Maiṉ nahíṉ jántá.
13Log us shaḳhs ko jo pahle andhá thá Farísíoṉ ke pás le gaye. 14Aur jis roz Yisúʻ ne miṭṭí sánkar us kí áṉkheṉ kholí thíṉ, wuh Sabt ká din thá. 15Phir Farísíoṉ ne bhí us se púchhá; Tú kis tarah bíná húá? Us ne un se kahá, ki Us ne merí áṉkhoṉ par miṭṭí lagáí, phir maiṉ ne dho liyá, aur ab bíná úṉ. 16Pas baʻz Farísí kahne lage; Yih ádmí Ḳhudá kí taraf se nahíṉ, kyúṉki Sabt ke din ko nahíṉ mántá. Magar baʻz ne kahá, ki Gunahgár ádmí kyúṉkar aise muʻjize dikhá saktá hai? Pas un meṉ iḳhtiláf húá. 17Unhoṉ ne phir us andhe se kahá, ki Us ne jo terí áṉkheṉ kholíṉ, tú us ke haqq meṉ kyá kahtá hai? Us ne kahá, Wuh nabí hai. 18Lekin Yahúdíoṉ ko yaqín na áyá ki yih andhá thá aur bíná ho gayá hai, jab tak unhoṉ ne us ke máṉ báp ko jo bíná ho gayá thá bulákar 19un se na púchh liyá, ki Kyá yih tumhárá beṭá hai, jise tum kahte ho ki andhá paidá húá thá? Phir wuh ab kyúṉkar dekhtá hai? 20Us ke máṉ báp ne jawáb meṉ kahá; Ham jánte haiṉ, ki yih hamárá beṭá hai, aur andhá paidá húá thá; 21lekin yih ham nahíṉ jánte ki ab wuh kyúṉkar dekhtá hai, aur na yih jánte haiṉ ki kis ne us kí áṉkheṉ kholíṉ; wuh to bálig hai; usí se púchho; wuh apná hál áp kah degá. 22Yih us ke mán báp ne Yahúdíoṉ ke ḍar se kahá: kyúṉki Yahúdí eká kar chuke the, ki agar koí us ke Masíh hone ká iqrár kare, to ʻibádatḳháne se ḳhárij kiyá jáe. 23Is wáste us ke máṉ báp ne kahá, ki Wuh bálig hai; usí se púchho. 24Pas unhoṉ ne us shaḳhs ko jo andhá thá dobára bulákar kahá, ki Ḳhudá kí tamjíd kar: ham to jánte haiṉ ki yih ádmí gunahgár hai. 25Us ne jawáb diyá: Maiṉ nahíṉ jántá ki wuh gunahgár hai yá nahíṉ: ek bát jántá húṉ, ki maiṉ andhá thá, ab bíná húṉ. 26Phir unhoṉ ne us se kahá, ki Us ne tere sáth kyá kiyá? kis tarah terí áṉkheṉ kholíṉ? 27Us ne unheṉ jawáb diyá; Maiṉ to tum se kah chuká, aur tum ne na suná; dobára kyúṉ sunná cháhte ho? kyá tum bhí us ke shágird honá cháhte ho? 28Wuh use burá bhalá kahkar bole, ki Tú hí us ká shágird hai; ham to Músá ke shágird haiṉ. 29Ham jánte haiṉ ki Ḳhudá ne Músá ke sáth kalám kiyá hai; magar is shaḳhs ko nahíṉ jánte ki kaháṉ ká hai. 30Us ádmí ne jawáb meṉ un se kahá; Yih to taʻajjub kí bát hai, ki tum nahíṉ jánte ki wuh kaháṉ ká hai, háláṉki us ne merí áṉkheṉ kholíṉ. 31Ham jánte haiṉ ki Ḳhudá gunahgároṉ kí nahíṉ suntá; lekin agar koí ḳhudáparast ho, aur us kí marzí par chale, to wuh us kí suntá hai. 32Dunyá ke shurúʻ se kabhí sunne meṉ nahíṉ áyá, kí kisí ne janam ke andhe kí áṉkheṉ kholí hoṉ. 33Agar yih shaḳhs Ḳhudá kí taraf se na hotá, to kuchh na kar saktá. 34Unhoṉ ne jawáb meṉ us se kahá; Tú to biʼlkull gunáhoṉ meṉ paidá húá, tú ham ko kyá sikhátá hai? aur unhoṉ ne use báhar nikál diyá.
35Yisúʻ ne suná ki unhoṉ ne use báhar nikál diyá; aur jab us se milá, to kahá; Kyá tú Ḳhudá ke Beṭe par ímán látá hai? 36Us ne jawáb meṉ kahá; Ai Ḳhudáwand, wuh kaun hai, ki maiṉ us par ímán láúṉ? 37Yisúʻ ne us se kahá; Tú ne to use dekhá hai; aur jo tujh se báteṉ kartá hai wuhí hai. 38Us ne kahá; Ai Ḳhudáwand, maiṉ ímán látá húṉ: aur use sijda kiyá. 39Yisúʻ ne kahá; Maiṉ dunyá meṉ ʻadálat ke liye áyá húṉ, táki jo nahíṉ dekhte wuh dekheṉ, aṉr jo dekhte haiṉ wuh andhe ho jáeṉ. 40Jo Farísí us ke sáth the, unhoṉ ne yih báteṉ sunkar us se kahá; Kyá ham bhí andhe haiṉ? 41Yisúʻ ne un se kahá, ki Agar tum andhe hote, to gunahgár na ṭhahrte: magar ab kahte ho, ki Ham dekhte haiṉ; pas tumhárá gunáh qáim rahtá hai.

Currently Selected:

Yúhanná 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in