Ahbár 11
11
1Phir Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, 2Tum baní Isráíl se kaho, ki Zamín ke sab haiwánát meṉ se jin jánwaroṉ ko tum khá sakte ho, wuh yih haiṉ. 3Jánwaroṉ meṉ jin ke páṉw alag aur chire húe haiṉ, aur wuh jugálí karte haiṉ; tum unheṉ kháo. 4Magar jo jugálí karte haiṉ, yá jin ke páṉw alag haiṉ, un meṉ se tum in jánwaroṉ ko na kháná: ya‘ní úṉṭ ko, kyúṉki wuh jugálí kartá hai, par us ke páṉw alag nahíṉ; so wuh tumháre liye nápák hai. 5Aur sáfán ko, kyúṉki wuh jugálí kartá hai, par us ke páṉw alag nahíṉ. Wuh bhí tumháre liye nápák hai. 6Aur ḳhargosh ko, kyúṉki wuh jugálí to kartá hai, par us ke páṉw alag nahíṉ. Wuh bhí tumháre liye nápák hai. 7Aur súar ko, kyúṉki us ke páṉw alag aur chire húe haiṉ, par wuh jugálí nahíṉ kartá. Wuh bhí tumháre liye nápák hai. 8Tum un ká gosht na kháná, aur un kí láshoṉ ko na chhúná. Wuh tumháre liye nápák haiṉ.
9Jo jánwar pání meṉ rahte haiṉ, un meṉ se tum inheṉ kháná: ya‘ní samundaroṉ aur daryáoṉ wag̣aira ke jánwaroṉ meṉ, jin ke par aur chhilke hoṉ, tum unheṉ kháo. 10Lekin wuh sab jándár jo pání meṉ, ya‘ní samundaroṉ aur daryáoṉ wag̣aira meṉ chalte phirte aur rahte haiṉ, lekin un ke par aur chhilke nahíṉ hote, wuh tumháre liye makrúh haiṉ, 11aur wuh tumháre liye makrúh hí raheṉ. Tum un ká gosht na kháná, aur un kí láshoṉ se karáhiyat karná. 12Pání ke jis kisí jándár ke na par hoṉ aur na chhilke, wuh tumháre liye makrúh hai.
13Aur parandoṉ meṉ, jo makrúh hone ke sabab se kabhí kháe na jáeṉ, aur jin se tumheṉ karáhiyat karní hai, so yih haiṉ: ‘uqáb aur ustuḳhánḳhor aur lagaṛ, 14aur chíl, aur har qism ká báz, 15aur har qism ke kauwe, 16aur shuturmurg̣, aur chug̣ad, aur kokil, aur har qism ke sháhín, 17aur búm, aur haṛgílá, aur ullú, 18aur qáz, aur hawásil, aur giddh, 19aur laqlaq, aur sab qism ke bagle aur hudhud, aur chamgádaṛ.
20Aur sab pardár reṉgnewále jándár, jitne chár páṉw ke bal chalte haiṉ, wuh tumháre liye makrúh haiṉ. 21Magar pardár reṉgnewále jándároṉ meṉ se, jo chár páṉw ke bal chalte haiṉ, tum un jándároṉ ko khá sakte ho, jin ke zamín ke úpar kúdne pháṉdne ko páoṉ ke úpar ṭáṉgeṉ hotí haiṉ: 22wuh jinheṉ tum khá sakte ho, yih haiṉ: har qism kí ṭiḍḍí aur har qism ká suli‘ám aur har qism ká jhíṉgar, aur har qism ká ṭiḍḍá. 23Par sab pardár reṉgnewále jándár, jin ke chár páṉw haiṉ, wuh tumháre liye makrúh haiṉ.
24Aur in se tum nápák ṭhahroge: jo koí in meṉ se kisí kí lásh ko chhúe, wuh shám tak nápák rahegá; 25aur jo koí in kí lásh meṉ se kuchh bhí uṭháe, wuh apne kapṛe dho ḍále, aur wuh shám tak nápák rahegá. 26Aur sab chárpáye, jin ke páṉw alag haiṉ, par wuh chire húe nahíṉ, aur na wuh jugálí karte haiṉ, wuh tumháre liye nápák haiṉ. Jo koí un ko chhúe, wuh nápák ṭhahregá. 27Aur chár páṉwoṉ par chalnewále jánwaroṉ meṉ se, jitne apne panjoṉ ke bal chalte haiṉ, wuh bhí tumháre liye nápák haiṉ. Jo koí un kí lásh ko chhúe, wuh shám tak nápák rahegá. 28Aur jo koí un kí lásh ko uṭháe, wuh apne kapṛe dho ḍále, aur wuh shám tak nápák rahegá. Yih sab tumháre liye nápák haiṉ.
29Aur zamín par ke reṉgnewále jánwaroṉ meṉ se, jo tumháre liye nápák haiṉ, wuh yih haiṉ: ya‘ní neolá, aur chúhá, aur har qism kí baṛí chhipkalí, 30aur hirzún aur goh, aur chhipkalí, aur sáṉḍá, aur girgiṭ. 31Sab reṉgnewále jándároṉ meṉ se yih tumháre liye nápák haiṉ. Jo koí un ke mare píchhe un ko chhúe, wuh shám tak nápák rahegá. 32Aur jis chíz par wuh mare píchhe gireṉ, wuh chíz nápák hogí, ḳhwáh wuh lakṛí ká bartan ho, yá kapṛá, yá chamṛá yá borá ho; ḳhwáh kisí ká kaisá hí bartan ho, zarúr hai ki wuh pání men ḍálá jáe, aur wuh shám tak nápák rahegá; is ke ba‘d wuh pák ṭhahregá. 33Aur agar in meṉ se koí kisí miṭṭí ke bartan meṉ gir jáe, to jo kuchh us meṉ hai wuh nápák hogá; aur bartan ko tum toṛ ḍálná. 34Us ke andar agar kháne kí koí chíz ho jis meṉ pání paṛá húá ho, to wuh bhí nápák ṭhahregí; aur agar aise bartan meṉ píne ke liye kuchh ho, to wuh nápák hogá. 35Aur jis chíz par un kí lásh ká koí hissa gire, ḳhwáh wuh tanúr ho, yá chúlhá, wuh nápák hogí, aur toṛ ḍálí jáe. Aisí chízeṉ nápák hotí haiṉ, aur wuh tumháre liye bhí nápák hoṉ. 36Magar chashma, yá táláb, jis meṉ bahut pání ho, wuh pák rahegá; par jo kuchh un kí lásh se chhú jáe, wuh nápák hogá. 37Aur agar un kí lásh ká kuchh hissa kisí bone ke bíj par gire, to wuh bíj pák rahegá; 38par agar bíj par pání ḍálá gayá ho, aur is ke ba‘d un kí lásh meṉ se kuchh us par girá ho, to wuh tumháre liye nápák hogá.
39Aur jin jánwaroṉ ko tum khá sakte ho, agar un meṉ se koí mar jáe, to jo koí us kí lásh ko chhúe, wuh shám tak nápák rahegá. 40Aur jo koí un kí lásh meṉ se kuchh kháe, wuh apne kapṛe dho ḍále, aur wuh shám tak nápák rahegá; aur jo koí un kí lásh ko uṭháe, wuh apne kapṛe dho ḍále, aur wuh shám tak nápák rahegá.
41Aur sab reṉgnewále jándár, jo zamín par reṉgte haiṉ, makrúh haiṉ, aur kabhí kháe na jáeṉ. 42Aur zamín par ke sab reṉgnewále jándároṉ meṉ se, jitne peṭ yá chár páṉwoṉ ke bal chalte haiṉ, yá jin ke bahut se páṉw hote haiṉ, unheṉ tum na kháná, kyúṉki wuh makrúh haiṉ. 43Aur tum kisí reṉgnewále jándár ke sabab se, jo zamín par reṉgtá hai, apne áp ko makrúh na baná lená, aur na un se apne áp ko nápák karná, ki najis ho jáo; 44kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. Is liye apne áp ko muqaddas karná aur pák honá, kyúṉki maiṉ quddús húṉ; so tum kisí tarah ke reṉgnewále jándár se, jo zamín par chaltá hai, apne áp ko nápák na karná; 45kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand húṉ; aur tumheṉ mulk i Misr se isí liye nikálkar láyá húṉ, ki maiṉ tumhárá Ḳhudá ṭhahrúṉ. Is liye tum muqaddas honá, kyúṉki maiṉ quddús húṉ.
46Haiwánát, aur parandoṉ, aur ábí jánwaroṉ, aur zamín par ke sab reṉgnewále jándároṉ ke báre meṉ shara‘ yihí hai; 47táki pák aur nápák meṉ, aur jo jánwar kháe já sakte haiṉ, aur jo nahíṉ kháe já sakte, un ke darmiyán imtiyáz kiyá jáe.
Currently Selected:
Ahbár 11: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)