YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 12

12
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Baní Isráíl se kah, ki Agar koí ‘aurat hámila ho, aur us ke laṛká ho, to wuh sát din nápák rahegí, jaise haiz ke aiyám meṉ rahtí hai. 3Aur áṭhweṉ din laṛke ká ḳhatna kiyá jáe. 4Is ke ba‘d teṉtís din tak wuh tahárat ke ḳhún meṉ rahe, aur jab tak us kí tahárat ke aiyám púre na hoṉ, tab tak na to kisí muqaddas chíz ko chhúe, aur na maqdis meṉ dáḳhil ho. 5Aur agar us ke laṛkí ho, to wuh do hafte nápák rahegí, jaise haiz ke aiyám meṉ rahtí hai. Is ke ba‘d wuh chhiyásaṭh din tak tahárat ke ḳhún meṉ rahe; 6aur jab us kí tahárat ke aiyám púre ho jáeṉ, to ḳhwáh us ke beṭá húá ho, yá beṭí, wuh soḳhtaní qurbání ke liye ek yaksála barra, aur ḳhatá kí qurbání ke liye kabútar ká ek bachcha, yá ek qumrí ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par káhin ke pás láe: 7aur káhin use Ḳhudáwand ke huzúr guzráne, aur us ke liye kaffára de. Tab wuh apne jiryán i ḳhún se pák ṭhahregí. Jis ‘aurat ke laṛká yá laṛkí ho, us ke báre meṉ shara‘ yih hai. 8Aur agar us ko barra láne ká maqdúr na ho, to wuh do qumríáṉ, yá kabútar ke do bachche, ek soḳhtaní qurbání ke liye, aur dúsrá ḳhatá kí qurbání ke liye, láe. Yúṉ káhin us ke liye kaffára de, to wuh pák ṭhahregí.

Currently Selected:

Ahbár 12: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in