YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 22

22
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Hárún aur us ke beṭoṉ se kah, ki wuh baní Isráíl kí pák chízoṉ se, jin ko wuh mere liye muqaddas karte haiṉ, apne áp ko bacháe rakkheṉ, aur mere pák nám ko behurmat na kareṉ. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 3Un ko kah de, ki Tumhárí pusht dar pusht, jo koí tumhárí nasl meṉ se apní nápákí kí hálat meṉ un pák chízoṉ ke pás jáe, jin ko baní Isráíl Ḳhudáwand ke liye muqaddas karte haiṉ, wuh shaḳhs mere huzúr se káṭ ḍálá jáegá. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 4Hárún kí nasl meṉ jo koṛhí, yá jiryán ká maríz ho, wuh, jab tak pák na ho jáe, pák chízoṉ meṉ se kuchh na kháe; aur jo koí aisí chíz ko, jo murde ke sabab se nápák ho gayí hai, yá us shaḳhs ko jis kí dhát bahtí ho, chhúe; 5yá jo koí kisí reṉgnewále jándár ko, jis ke chhúne se wuh nápák ho saktá hai, chhúe, yá kisí aise shaḳhs ko chhúe, jis se us kí nápákí, ḳhwáh wuh kisí qism kí ho, us ko bhí lag saktí ho; 6to wuh ádmí, jo in meṉ se kisí ko chhúe shám tak nápák rahegá; aur jab tak pání se g̣usl na kar le, pák chízoṉ meṉ se kuchh na kháe; 7aur wuh us waqt pák ṭhahregá, jab áftáb g̣urúb ho jáe; is ke ba‘d wuh pák chízoṉ meṉ se kháe, kyúṉki yih us kí ḳhurák hai. 8Aur murdár yá darande ke pháṛe húe jánwar ko kháne se wuh apne áp ko najis na kar le: maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 9Is liye wuh merí shara‘ ko máneṉ, tá na ho ki us ke sabab se un ke sir gunáh lage, aur us kí behurmatí karne kí wajh se wuh mar bhí jáeṉ. Maiṉ Ḳhudáwand un ká muqaddas karnewálá húṉ. 10Koí ajnabí pák chíz ko na kháne páe, ḳhwáh wuh káhin hí ke háṉ ṭhahrá ho, yá us ká naukar ho, taubhí wuh koí pák chíz na kháe; 11lekin wuh, jise káhin ne apne zar se ḳharídá ho, use khá saktá hai; aur wuh jo us ke ghar meṉ paidá húe hoṉ, wuh bhí us ke kháne meṉ se kháeṉ. 12Agar káhin kí beṭí kisí ajnabí se biyáhí gayí ho, to wuh pák chízoṉ kí qurbání meṉ se kuchh na kháe. 13Par agar káhin kí beṭí bewa ho jáe, yá mutallaqa ho aur beaulád ho, aur laṛakpan ke dinoṉ kí tarah apne báp ke ghar meṉ phir ákar rahe, to wuh apne báp ke kháne meṉ se kháe; lekin koí ajnabí use na kháe. 14Aur agar koí nádánista pák chíz ko khá jáe, to wuh us ke páṉchweṉ hisse ke barábar apne pás se us meṉ milákar wuh pák chíz káhin ko de. 15Aur wuh baní Isráíl kí pák chízoṉ ko, jin ko wuh Ḳhudáwand kí nazr karte hoṉ, behurmat karke, 16un ke sir us gunáh ká jurm na ládeṉ, jo un kí pák chízoṉ ke kháne se hogá; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand un ká muqaddas karnewálá húṉ.
17Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 18Hárún aur us ke beṭoṉ aur sáre baní Isráíl se kah, ki Isráíl ke gharáne ká, yá un pardesíoṉ meṉ se jo Isráílíoṉ ke darmiyán rahte haiṉ, jo koí shaḳhs apní qurbání láe, ḳhwáh wuh koí mannat kí qurbání ho yá razá kí qurbání, jise wuh soḳhtaní qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr guzráná karte haiṉ, 19to apne maqbúl hone ke liye tum bailoṉ, yá barroṉ, yá bakroṉ meṉ se be‘aib nar chaṛháná. 20Aur jis meṉ ‘aib ho, use na chaṛháná, kyúṉki wuh tumhárí taraf se maqbúl na hogá. 21Aur jo koí apní mannat púrí karne ke liye, yá razá kí qurbání ke taur par gáe bail yá bheṛ bakrí meṉ se salámatí ká zabíha Ḳhudáwand ke huzúr guzráne, to wuh jánwar maqbúl ṭhahrne ke liye be‘aib ho; us meṉ koí nuqs na ho. 22Jo andhá, yá shikasta e ‘uzw, yá lúlá ho, yá jis ke rasaulí, yá khujlí, yá papṛiyáṉ hoṉ, aisoṉ ko Ḳhudáwand ke huzúr na chaṛháná, aur na mazbah par un kí átashín qurbání Ḳhudáwand ke huzúr guzránná. 23Jis bachhṛe yá barre ká koí ‘uzw ziyáda yá kam ho, use tum razá kí qurbání ke taur par guzrán sakte ho; par mannat púrí karne ke liye wuh maqbúl na hogá. 24Jis jánwar ke ḳhusye kuchle húe, yá chúr kiye húe, yá ṭúṭe, yá kaṭe húe hoṉ, use tum Ḳhudáwand ke huzúr na chaṛháná, aur na apne mulk meṉ aisá kám karná, 25aur na in meṉ se kisí ko lekar tum apne Ḳhudá kí g̣izá pardesí yá ajnabí ke háth se chaṛhwáná, kyúṉki un ká bigáṛ un meṉ maujúd hotá hai; un meṉ ‘aib hai: so wuh tumhárí taraf se maqbúl na hoṉge.
26Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 27Jis waqt bachhṛá, yá bheṛ, yá bakrí ká bachchá paidá ho, to sát din tak wuh apní máṉ ke sáth rahe, aur áṭhweṉ din se, aur us ke ba‘d se, wuh Ḳhudáwand kí átashín qurbání ke liye maqbúl hogá. 28Aur ḳhwáh gáe ho, yá bheṛ bakrí, tum use aur us ke bachche donoṉ ko ek hí din zabh na karná. 29Aur jab tum Ḳhudáwand ke shukráne ká zabíha qurbání karo, to use is tarah qurbání karná ki tum maqbúl ṭhahro; 30aur wuh usí din khá bhí liyá jáe; tum us meṉ se kuchh bhí dúsre din kí subh tak báqí na chhoṛná; maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 31So tum mere hukmoṉ ko mánná, aur un par ‘amal karná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 32Tum mere pák nám ko nápák na ṭhahráná, kyúṉki maiṉ baní Isráíl ke darmiyán zarúr hí pák máná jáúṉgá. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá muqaddas karnewálá húṉ, 33jo tum ko mulk i Misr se nikál láyá húṉ, táki tumhárá Ḳhudá baná rahúṉ. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.

Currently Selected:

Ahbár 22: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in