Ahbár 23
23
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 2Baní Isráíl se kah, ki Ḳhudáwand kí ‘ídeṉ, jin ká tum ko muqaddas majma‘oṉ ke liye i‘lán dená hogá, merí wuh ‘ídeṉ yih haiṉ. 3Chha din kám káj kiyá jáe, par sátwáṉ din ḳháss árám ká aur muqaddas majma‘ ká sabt hai; us roz kisí tarah ká kám na karná; wuh tumhárí sárí sukúnatgáhoṉ meṉ Ḳhudáwand ká sabt hai.
4 Ḳhudáwand kí ‘ídeṉ, jin ká i‘lán tum ko muqaddas majma‘oṉ ke liye waqt i mu‘aiyan par karná hogá, so yih haiṉ. 5Pahle mahíne kí chaudahwíṉ táríḳh ko shám ke waqt Ḳhudáwand kí fasah húá kare. 6Aur usí mahíne kí pandrahwíṉ táríḳh ko Ḳhudáwand ke liye ‘Íd i Fatír ho. Us meṉ tum sát din tak beḳhamírí roṭí kháná. 7Pahle din tumhárá muqaddas majma‘ ho; us meṉ tum koí ḳhádimána kám na karná. 8Aur sátoṉ din tum Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná, aur sátweṉ din phir muqaddas majma‘ ho; us roz tum koí ḳhádimána kám na karná.
9Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 10Baní Isráíl se kah, ki Jab tum us mulk meṉ, jo maiṉ tum ko detá húṉ, dáḳhil ho jáo, aur us kí fasl káṭo, to tum apní fasl ke pahle phaloṉ ká ek púlá káhin ke pás láná; 11aur wuh use Ḳhudáwand ke huzúr hiláe, táki wuh tumhárí taraf se qubúl ho, aur káhin use sabt ke dúsre din subh ko hiláe. 12Aur jis din tum púle ko hilwáo, usí din ek nar be‘aib yaksála barra soḳhtaní qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr guzránná. 13Aur us ke sáth nazr kí qurbání ke liye tel milá húá maida aifah ke do daháí hisse ke barábar ho, táki wuh átashín qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr ráhatangez ḳhushbú ke liye jaláí jáe; aur us ke sáth mai ká tapáwan hín ke chauthe hisse ke barábar mai lekar karná. 14Aur jab tak tum apne Ḳhudá ke liye yih chaṛháwá na le áo, us din tak nayí fasl kí roṭí, yá bhuná húá anáj, yá harí báleṉ hargiz na kháná. Tumhárí sárí sukúnatgáhoṉ meṉ pusht dar pusht hamesha yihí áín rahegá.
15Aur tum sabt ke dúsre din se, jis din hiláne kí qurbání ke liye púlá láoge ginná shurú‘ karná jab tak sát sabt púre na ho jáeṉ. 16Aur sátweṉ sabt ke dúsre din tak pachás din gin lená; tab tum Ḳhudáwand ke liye nazr kí nayí qurbání guzránná. 17Tum apne gharoṉ meṉ se aifah ke do daháí hisse ke wazn ke maide ke do girde hiláne kí qurbání ke liye le áná; wuh ḳhamír ke sáth pakáe jáeṉ, táki Ḳhudáwand ke liye pahle phal ṭhahreṉ. 18Aur un girdoṉ ke sáth hí tum sát yaksála be‘aib barre, aur ek bachhṛá, aur do meṉḍhe láná, táki wuh apní apní nazr kí qurbání aur tapáwan ke sáth Ḳhudáwand ke huzúr soḳhtaní qurbání ke taur par guzráne jáeṉ, aur Ḳhudáwand ke huzúr ráhatangez ḳhushbú kí átashín qurbání ṭhahreṉ. 19Aur tum ḳhatá kí qurbání ke liye ek bakrá, aur salámatí ke zabíhe ke liye do yaksála nar barre chaṛháná. 20Aur káhin in ko pahle phal ke donoṉ girdoṉ ke sáth lekar un donoṉ barroṉ samet hiláne kí qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke huzúr hiláe; wuh Ḳhudáwand ke liye muqaddas aur káhin ká hissa ṭhahreṉ. 21Aur tum ‘ain usí din i‘lán kar dená. Us roz tumhárá muqaddas majma‘ ho; tum us din koí ḳhádimána kám na karná; tumhárí sárí sukúnatgáhoṉ meṉ pusht dar pusht sadá yihí áín rahegá.
22Aur jab tum apní zamín kí paidáwár kí fasl káṭo, to apne khet ko kone kone tak púrá na káṭná, aur na apní fasl kí girí paṛí báloṉ ko jama‘ karná, balki un ko g̣aríboṉ aur musáfiroṉ ke liye chhoṛ dená. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ.
23Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 24Baní Isráíl se kah, ki Sátweṉ mahíne kí pahlí táríḳh tumháre liye ḳháss árám ká din ho; us meṉ yádgárí ke liye narsinge phúṉke jáeṉ, aur muqaddas majma‘ ho. 25Tum us roz koí ḳhádimána kám na karná: aur Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná.
26Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 27Usí sátweṉ mahíne kí daswíṉ táríḳh ko kaffáre ká din hai; us roz tumhárá muqaddas majma‘ ho, aur tum apní jánoṉ ko dukh dená, aur Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná. 28Tum us din kisí tarah ká kám na karná, kyúṉki wuh kaffáre ká din hai, jis meṉ Ḳhudáwand tumháre Ḳhudá ke huzúr tumháre liye kaffára diyá jáegá. 29Jo shaḳhs us din apní ján ko dukh na de, wuh apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáegá. 30Aur jo shaḳhs us din kisí tarah ká kám kare, use maiṉ us ke logoṉ meṉ se faná kar dúṉgá. 31Tum kisí tarah ká kám mat karná; tumhárí sárí sukúnatgáhoṉ meṉ pusht dar pusht sadá yihí áín rahegá. 32Yih tumháre liye ḳháss árám ká sabt ho; is meṉ tum apní jánoṉ ko dukh dená: tum us mahíne kí nauwíṉ táríḳh kí shám se dúsrí shám tak apná sabt mánná.
33Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 34Baní Isráíl se kah, ki Usí sátweṉ mahíne kí pandrahwíṉ táríḳh se lekar sát din tak Ḳhudáwand ke liye ‘Íd i Ḳhiyám hogí. 35Pahle din muqaddas majma‘ ho; tum us din koí ḳhádimána kám na karná. 36Tum sátoṉ din barábar Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná. Áṭhweṉ din tumhárá muqaddas majma‘ ho, aur phir Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná: wuh ḳháss majma‘ hai; us meṉ koí ḳhádimána kám na karná.
37Yih Ḳhudáwand kí muqarrara ‘ídeṉ haiṉ, jin meṉ tum muqaddas majma‘oṉ ká i‘lán karná, táki Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání, aur soḳhtaní qurbání, aur nazr kí qurbání, aur zabíha, aur tapáwan har ek apne apne mu‘aiyan din meṉ guzráná jáe. 38Má siwá in ke Ḳhudáwand ke sabtoṉ ko mánná, aur apne hadyoṉ aur mannatoṉ, aur razá kí qurbáníoṉ ko, jo tum Ḳhudáwand ke huzúr láte ho, guzránná.
39Aur sátweṉ mahíne kí pandrahwíṉ táríḳh se, jab tum zamín kí paidáwár jama‘ kar chuko, to sát din tak Ḳhudáwand kí ‘íd mánná. Pahlá din ḳháss árám ká ho, aur áṭhwáṉ din bhí ḳháss árám hí ká ho. 40So tum pahle din ḳhushnumá daraḳhtoṉ ke phal aur khajúr kí ḍáliyáṉ aur ghane daraḳhtoṉ kí sháḳheṉ, aur nadiyoṉ kí bed i majnún lená; aur tum Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke áge sát din tak ḳhushí manáná. 41Aur tum har sál Ḳhudáwand ke liye sát roz tak yih ‘íd máná karná. Tumhárí nasl dar nasl sadá yihí áín rahegá, ki tum sátweṉ mahíne is ‘íd ko máno. 42Sát roz tak barábar tum sáyabánoṉ meṉ rahná; jitne Isráíl kí nasl ke haiṉ, sab ke sab sáyabánoṉ meṉ raheṉ; 43táki tumhárí nasl ko ma‘lúm ho, ki jab maiṉ baní Isráíl ko mulk i Misr se nikálkar lá rahá thá, to maiṉ ne un ko sáyabánoṉ meṉ ṭikáyá thá. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 44So Músá ne baní Isráíl ko Ḳhudáwand kí muqarrara ‘ídeṉ batá díṉ.
Currently Selected:
Ahbár 23: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)