Ahbár 24
24
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, 2Baní Isráíl ko hukm kar, ki wuh tere pás zaitún ká kúṭkar nikálá húá ḳhális tel raushní ke liye láeṉ, táki chirág̣ hamesha jaltá rahe. 3Hárún use shahádat ke parde ke báhar ḳhaima e ijtimá‘ meṉ shám se subh tak Ḳhudáwand ke huzúr qaríne se rakkhá kare: tumhárí nasl dar nasl sadá yihí áín rahegá. 4Wuh hamesha un chirág̣oṉ ko tartíb se pák sham‘adán par Ḳhudáwand ke huzúr rakkhá kare.
5Aur tú maida lekar bárah girde pakáná; har ek girde meṉ aifah ke do daháí hisse ke barábar maida ho. 6Aur tú un ko do qatáreṉ karke, har qatár meṉ chha chha roṭiyáṉ pák mez par Ḳhudáwand ke huzúr rakhná. 7Aur tú har ek qatár par ḳhális lubán rakhná, táki wuh roṭí par yádgárí, ya‘ní Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání ke taur par ho. 8Wuh sadá har sabt ke roz un ko Ḳhudáwand ke huzúr tartíb diyá kare, kyúṉki yih baní Isráíl kí jánib se ek dáimí ‘ahd hai. 9Aur yih roṭiyáṉ Hárún aur us ke beṭoṉ kí hoṉgí; wuh in ko kisí pák jagah meṉ kháeṉ, kyúṉki wuh ek jáwídání áín ke mutábiq Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ meṉ se Hárún ke liye niháyat pák haiṉ.
10Aur ek Isráílí ‘aurat ká beṭá, jis ká báp Misrí thá, Isráílíoṉ ke bích chalá gayá: aur wuh Isráílí ‘aurat ká beṭá aur ek Isráílí lashkargáh meṉ ápas meṉ már píṭ karne lage; 11aur Isráílí ‘aurat ke beṭe ne pák nám par kufr baká, aur la‘nat kí. Tab log use Músá ke pás le gaye. Us kí máṉ ká nám Salomít thá, jo Dibrí kí beṭí thí, jo Dán ke qabíle ká thá. 12Aur unhoṉ ne use hawálát meṉ ḍál diyá, táki Ḳhudáwand kí jánib se is bát ká faisala un par záhir kiyá jáe.
13Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 14Us la‘nat karnewále ko lashkargáh ke báhar nikálkar le já; aur jitnoṉ ne use la‘nat karte suná, wuh sab apne apne háth us ke sir par rakkheṉ, aur sárí jamá‘at use sangsár kare. 15Aur tú baní Isráíl se kah de, ki Jo koí apne Ḳhudá par la‘nat kare, us ká gunáh usí ke sir lagegá. 16Aur wuh jo Ḳhudáwand ke nám par kufr bake, zarúr ján se márá jáe; sárí jamá‘at use qata‘í sangsár kare, ḳhwáh wuh desí ho, yá pardesí; jab wuh pák nám par kufr bake, to wuh zarúr ján se márá jáe. 17Aur jo koí kisí ádmí ko már ḍále, wuh zarúr ján se márá jáe. 18Aur jo koí kisí chaupáye ko már ḍále, wuh us ká mu‘áwaza ján ke badle ján de. 19Aur agar koí shaḳhs apne hamsáye ko ‘aibdár baná de, to jaisá us ne kiyá waisá hí us se kiyá jáe; 20ya‘ní ‘uzw toṛne ke badle ‘uzw toṛná ho, aur áṉkh ke badle áṉkh, aur dáṉt ke badle dáṉt. Jaisá ‘aib us ne dúsre ádmí meṉ paidá kar diyá hai, waisá hí us meṉ bhí kar diyá jáe. 21Alg̣araz, jo koí kisí chaupáye ko már ḍále, wuh us ká mu‘áwaza de; par insán ká qátil ján se márá jáe. 22Tum ek hí tarah ká qánún desí aur pardesí donoṉ ke liye rakhná, kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 23Aur Músá ne yih baní Isráíl ko batáyá. Pas wuh us la‘nat karnewále ko nikálkar lashkargáh ke báhar le gaye, aur use sangsár kar diyá. So baní Isráíl ne, jaisá Ḳhudáwand ne Músá ko hukm diyá thá, waisá hí kiyá.
Currently Selected:
Ahbár 24: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)