Ahbár 25
25
1Aur Ḳhudáwand ne koh i Síná par Músá se kahá, ki 2Baní Isráíl se kah, ki Jab tum us mulk meṉ, jo maiṉ tum ko detá húṉ, dáḳhil ho jáo, to us kí zamín bhí Ḳhudáwand ke liye sabt ko máne. 3Tum apne khet ko chha baras boná, aur apne angúristán ko chha baras chháṉṭná, aur us ká phal jama‘ karná; 4lekin sátweṉ sál zamín ke liye ḳháss árám ká sabt ho. Yih sabt Ḳhudáwand ke liye ho. Is meṉ na to apne khet ko boná, aur na apne angúristán ko chháṉṭná, 5aur na apní ḳhudrau fasl ko káṭná, aur na apní bechhuṭí tákoṉ ke angúroṉ ko toṛná: yih zamín ke liye ḳháss árám ká sál ho. 6Aur zamín ká yih sabt tumháre, aur tumháre g̣ulámoṉ, aur tumhárí lauṉḍiyoṉ, aur mazdúroṉ, aur un pardesíoṉ ke liye, jo tumháre sáth rahte haiṉ, ḳhurák ká bá‘is hogá; 7aur us kí sárí paidáwár tumháre chaupáyoṉ aur mulk ke âur jánwaroṉ ke liye ḳhurish ṭhahregí.
8Aur tum barasoṉ ke sát sabtoṉ ko, ya‘ní sát guná sát sál gin lená; aur tumháre hisáb se barasoṉ ke sát sabtoṉ kí muddat kull unchás sál hoṉge. 9Tab tum sátweṉ mahíne kí daswíṉ táríḳh ko baṛá narsingá zor se phuṉkwáná; tú kaffáre ke roz apne sáre mulk meṉ yih narsingá phuṉkwáná. 10Aur tum pachásweṉ baras ko muqaddas jánná, aur tamám mulk meṉ sáre báshindoṉ ke liye ázádí kí manádí karáná; yih tumháre liye yobalí ho; is meṉ tum meṉ se har ek apní milkíyat ká málik ho, aur har shaḳhs apne ḳhándán meṉ phir shámil ho jáe. 11Wuh pacháswáṉ baras tumháre liye yobalí ho; tum us meṉ kuchh na boná, aur na use jo apne áp paidá ho jáe káṭná, aur na bechhuṭí tákoṉ ká angúr jama‘ karná; 12kyúṉki wuh sál i yobalí hogá; so wuh tumháre liye muqaddas ṭhahre: tum us kí paidáwár ko khet se le lekar kháná. 13Us sál i yobalí meṉ tum meṉ se har ek apní milkíyat ká phir málik ko jáe. 14Aur agar tum apne hamsáye ke háth kuchh becho, yá apne hamsáye se kuchh ḳharído, to tum ek dúsre par andher na karná. 15Yobalí ke ba‘d jitne baras guzre hoṉ, un ke shumár ke muwáfiq tum apne hamsáye se use ḳharídná, aur wuh use fasl ke barasoṉ ke shumár ke mutábiq tumháre háth beche. 16Jitne ziyáda baras hoṉ, utná hí dám ziyáda karná; aur jitne kam baras hoṉ, utní hí us kí qímat ghaṭáná, kyúṉki barasoṉ ke shumár ke muwáfiq wuh un kí fasl tumháre háth bechtá hai. 17Aur tum ek dúsre par andher na karná; balki apne Ḳhudá se ḍarte rahná: kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 18So tum merí sharí‘at par ‘amal karná, aur mere hukmoṉ ko mánná, aur un par chalná, to tum us mulk meṉ amn ke sáth base rahoge. 19Aur zamín phalegí, aur tum peṭ bharkar kháoge, aur waháṉ amn ke sáth rahá karoge. 20Aur agar tum ko ḳhayál ho, ki Ham sátweṉ baras kyá kháeṉge? kyúṉki dekho, ham ko na to boná hai, aur na apní paidáwár ko jama‘ karná hai: 21to maiṉ chhaṭe hí baras aisí barakat tum par názil karúṉgá, ki tínoṉ sál ke liye káfí g̣alla paidá ho jáegá; 22aur áṭhweṉ baras phir jotná boná, aur pichhlá g̣alla kháte rahná; balki jab tak nauweṉ sál ke boe húe kí fasl na káṭ lo, us waqt tak wuhí pichhlá g̣alla kháte rahoge. 23Aur zamín hamesha ke liye bechí na jáe, kyúṉki zamín merí hai, aur tum mere musáfir aur mihmán ho; 24balki tum apní milkíyat ke mulk meṉ har jagah zamín ko chhuṛá lene dená.
25Aur agar tumhárá bháí muflis ho jáe, aur apní milkíyat ká kuchh hissa bech ḍále, to jo us ká sab se qaríbí rishtadár hai, wuh ákar us ko, jise us ke bháí ne bech ḍálá hai, chhuṛá le. 26Aur agar us ádmí ká koí na ho, jo use chhuṛáe, aur wuh ḳhud máldár ho jáe, aur us ke chhuṛáne ke liye us ke pás káfí ho, 27to wuh faroḳht ke ba‘d ke barasoṉ ko ginkar báqí dám us ko, jis ke háth zamín bechí hai, pher de; tab wuh phir apní milkíyat ká málik ho jáe. 28Lekin agar us meṉ itná maqdúr na ho ki apní zamín wápas kará le, to jo kuchh us ne bech ḍálá hai, wuh sál i yobalí tak ḳharídár ke háth meṉ rahe, aur sál i yobalí meṉ chhúṭ jáe; tab yih ádmí apní milkíyat ká phir málik ho jáe.
29Aur agar koí shakhs rahne ke aise makán ko beche, jo kisí fasíldár shahr meṉ ho, to wuh us ke bik jáne ke ba‘d sál bhar ke andar andar use chhuṛá sakegá; ya‘ní púre ek sál tak wuh use chhuṛáne ká haqqdár rahegá. 30Aur agar wuh púre ek sál kí mí‘ád ke andar chhuṛáyá na jáe, to us fasíldár shahr ke makán par ḳharídár ká nasl dar nasl dáimí qabza ho jáe, aur wuh sál i yobalí meṉ bhí na chhúṭe. 31Lekin jin dihát ke gird koí fasíl nahíṉ, un ke makánoṉ ká hisáb mulk ke khetoṉ kí tarah hogá; wuh chhuṛáe bhí já sakeṉge, aur sál i yobalí meṉ wuh chhúṭ bhí jáeṉge. 32Taubhí Láwíoṉ ke jo shahr haiṉ, Láwí apní milkíyat ke shahroṉ ke makánoṉ ko cháhe kisí waqt chhuṛá leṉ. 33Aur agar koí dúsrá Láwí un ko chhuṛá le, to wuh makán jo bechá gayá, aur us kí milkíyat ká shahr donoṉ sál i yobalí meṉ chhúṭ jáeṉ: kyúṉki jo makán Láwíoṉ ke shahroṉ meṉ haiṉ wuhí baní Isráíl ke darmiyán Láwíoṉ kí milkíyat haiṉ. 34Par un ke shahroṉ kí nawáhí ke khet nahíṉ bik sakte haiṉ, kyúṉki wuh un kí dáimí milkíyat haiṉ.
35Aur agar tumhárá koí bháí muflis ho jáe, aur wuh tumháre sámne tangdast ho, to tum use sambhálná. Wuh pardesí aur musáfir kí tarah tumháre sáth rahe. 36Tum us se súd yá nafa‘ mat lená; balki apne Ḳhudá ká ḳhauf rakhná, táki tumhárá bháí tumháre sáth zindagí basar kar sake. 37Tum apná rupaya use súd par mat dená, aur apná kháná bhí use nafa‘ ke ḳhayál se na dená. 38Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ, jo tum ko isí liye mulk i Misr se nikálkar láyá, ki mulk i Kan‘án tum ko dúṉ, aur tumhárá Ḳhudá ṭhahrúṉ.
39Aur agar tumhárá koí bháí tumháre sámne aisá muflis ho jáe, ki apne ko tumháre háth bech ḍále, to tum us se g̣ulám kí mánind ḳhidmat na lená; 40balki wuh mazdúr aur musáfir kí mánind tumháre sáth rahe, aur sál i yobalí tak tumhárí ḳhidmat kare. 41Us ke ba‘d wuh bál bachchoṉ samet tumháre pás se chalá jáe; aur apne gharáne ke pás, aur apne bápdádá kí milkíyat kí jagah ko lauṭ jáe. 42Is liye ki wuh mere ḳhádim haiṉ, jin ko maiṉ mulk i Misr se nikálkar láyá húṉ; wuh g̣ulámoṉ kí tarah beche na jáeṉ. 43Tum un par saḳhtí se hukmrání na karná, balki apne Ḳhudá se ḍarte rahná. 44Aur tumháre jo g̣ulám, aur tumhárí jo lauṉḍiyáṉ hoṉ, wuh un qaumoṉ meṉ se hoṉ, jo tumháre chaugird rahtí haiṉ; un hí meṉ se tum g̣ulám aur lauṉḍiyáṉ ḳharídá karná. 45Má siwá in ke un pardesiyoṉ ke laṛke báloṉ meṉ se bhí, jo tum meṉ búdobásh karte haiṉ, aur un ke gharánoṉ meṉ se, jo tumháre mulk meṉ paidá húe aur tumháre sáth haiṉ, tum ḳharídá karná: aur wuh tumhárí hí milkíyat hoṉge. 46Aur tum un ko mírás ke taur par apní aulád ke nám kar dená, ki wuh un kí maurúsí milkíyat hoṉ. In meṉ se tum hamesha apne liye g̣ulám liyá karná; lekin baní Isráíl, jo tumháre bháí haiṉ, un meṉ se kisí par tum saḳhtí se hukmrání na karná.
47Aur agar koí pardesí yá musáfir, jo tumháre sáth ho, daulatmand ho jáe, aur tumhárá bháí us ke sámne muflis hokar apne áp ko us pardesí, yá musáfir, yá pardesí ke ḳhándán ke kisí ádmí ke háth bech ḍále, 48to bik jáne ke ba‘d wuh chhuṛáyá já saktá hai; us ke bháiyoṉ meṉ se koí use chhuṛá saktá hai; 49yá us ká chachá, yá táú, yá us ke chachá yá táú ká beṭá, yá us ke ḳhándán ká koí âur ádmí, jo us ká qaríbí rishtadár ho, wuh us ko chhuṛá saktá hai; yá agar wuh máldár ho jáe, to wuh apná fidya dekar chhúṭ saktá hai. 50Wuh apne ḳharídár ke sáth apne ko faroḳht kar dene ke sál se lekar sál i yobalí tak hisáb kare, aur us ke bikne kí qímat barasoṉ kí ta‘dád ke mutábiq ho; ya‘ní us ká hisáb mazdúr ke aiyám kí tarah us ke sáth hogá. 51Agar yobalí ke abhí bahut se baras báqí hoṉ, to jitne rupayoṉ meṉ wuh ḳharídá gayá thá, un meṉ se apne chhúṭne kí qímat utne hí barasoṉ ke hisáb ke mutábiq pher de. 52Aur agar sál i yobalí ke thoṛe se baras rah gaye hoṉ, to wuh us ke sáth hisáb kare, aur apne chhúṭne kí qímat utne hí barasoṉ ke mutábiq use pher de; 53aur wuh us mazdúr kí tarah apne áqá ke sáth rahe, jis kí ujrat sál ba sál ṭhahráí játí ho; aur us ká áqá us par tumháre sámne saḳhtí se hukúmat na karne páe. 54Aur agar wuh in taríqoṉ se chhuṛáyá na jáe, to sál i yobalí meṉ bál bachchoṉ samet chhúṭ jáe. 55Kyúṉki baní Isráíl mere liye ḳhádim haiṉ; wuh mere ḳhádim haiṉ, jin ko maiṉ mulk i Misr se nikálkar láyá húṉ. Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ.
Currently Selected:
Ahbár 25: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)