Ahbár 26
26
1Tum apne liye but na banáná, aur na koí taráshí húí múrat, yá láṭ apne liye ḳhaṛí karná, aur na apne mulk meṉ koí shabíhdár patthar rakhná, ki use sijda karo; is liye ki maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ. 2Tum mere sabtoṉ ko mánná, aur mere maqdis kí ta‘zím karná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.
3Agar tum sharí‘at par chalo aur mere hukmoṉ ko máno, aur un par ‘amal karo, 4to maiṉ tumháre liye bar waqt meṉh barsáúṉgá; aur zamín se anáj paidá hogá, aur maidán ke daraḳht phalenge; 5yaháṉ tak ki angúr jama‘ karne ke waqt tak tum dáote rahoge, aur jotne bone ke waqt tak angúr jama‘ karoge, aur peṭ bhar apní roṭí kháyá karoge, aur chain se apne mulk meṉ base rahoge. 6Aur maiṉ mulk meṉ amn baḳhshúṉgá, aur tum sooge, aur tum ko koí nahíṉ ḍaráegá; aur maiṉ bure darandoṉ ko mulk se nest kar dúṉgá, aur talwár tumháre mulk meṉ nahíṉ chalegí. 7Aur tum apne dushmanoṉ ká píchhá karoge, aur wuh tumháre áge áge talwár se máre jáeṉge. 8Aur tumháre páṉch ádmí sau ko ragedeṉge, aur tumháre sau ádmí das hazár ko khadeṛ deṉge; aur tumháre dushman talwár se tumháre áge áge máre jáeṉge; 9aur maiṉ tum par nazar i ‘ináyat rakkhúṉgá, aur tum ko baromand karúṉgá, aur baṛháúṉgá; aur jo merá ‘ahd tumháre sáth hai, use púrá karúṉgá; 10aur tum ‘arse ká zaḳhíra kiyá húá puráná anáj kháoge, aur naye ke sabab se puráne ko nikál báhar karoge. 11Aur maiṉ apná maskan tumháre darmiyán qáim rakkhúṉgá; aur merí rúh tum se nafrat na karegí. 12Aur maiṉ tumháre darmiyán chalá phirá karúṉgá, aur tumhárá Ḳhudá húṉgá, aur tum merí qaum hoge. 13Maiṉ Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá húṉ, jo tum ko mulk i Misr se isí liye nikálkar le áyá, ki tum un ke g̣ulám na bane raho; aur maiṉ ne tumháre júe kí chobeṉ toṛ ḍálí haiṉ, aur tum ko sídhá khaṛá karke chaláyá.
14Lekin agar tum merí na suno, aur in sab hukmoṉ par ‘amal na karo; 15aur merí sharí‘at ko tark karo, aur tumhárí rúhoṉ ko mere faisaloṉ se nafrat ho, aur tum mere sáre hukmoṉ par ‘amal na karo, balkí mere ‘ahd ko toṛo; 16to maiṉ bhí tumháre sáth is tarah pesh áúṉgá, ki dahshat aur tap i diqq aur buḳhár ko tum par muqarrar kar dúṉgá, jo tumhárí áṉkhoṉ ko chaupaṭ kar deṉge, aur tumhárí ján ko ghulá ḍáleṉge; aur tumhárá bíj boná fuzúl hogá, kyúṉki tumháre dushman us kí fasl kháeṉge. 17Aur maiṉ ḳhud bhí tumhárá muḳhálif ho jáúṉgá, aur tum apne dushmanoṉ ke áge shikast kháoge: aur jin ko tum se ‘adáwat hai, wuhí tum par hukmrání kareṉge; aur jab koí tum ko ragedtá bhí na hogá, tab bhí tum bhágoge. 18Aur agar itní bátoṉ par bhí tum merí na suno, to maiṉ tumháre gunáhoṉ ke bá‘is tum ko sát guní sazá âur dúṉgá. 19Aur maiṉ tumhárí shahzorí ke faḳhr ko toṛ ḍálúngá; aur tumháre liye ásmán ko lohe kí tarah aur zamín ko pítal kí mánind kar dúṉgá. 20Aur tumhárí quwwat befáida sarf hogí, kyúṉki tumhárí zamín se kuchh paidá na hogá, aur maidán ke daraḳht phalne hí ke nahíṉ. 21Aur agar tumhárá chalan mere ḳhiláf hí rahe, aur tum merá kahá na máno, to maiṉ tumháre gunáhoṉ ke muwáfiq tumháre úpar âur sát guní baláeṉ láúṉgá: 22janglí darande tumháre darmiyán chhoṛ dúṉgá, jo tum ko beaulád kar deṉge, aur tumháre chaupáyoṉ ko nest kareṉge, aur tumhárá shumár ghaṭá deṉge; aur tumhárí saṛakeṉ súní paṛ jáeṉgí. 23Aur agar in bátoṉ par bhí tum mere liye na sudharo, balki mere ḳhiláf hí chalte raho, 24to maiṉ bhí tumháre ḳhiláf chalúṉgá, aur maiṉ áp hí tumháre gunáhoṉ ke liye tum ko âur sát guná márúṉgá. 25Aur tum par ek aisí talwár chalwáúṉgá, jo ‘ahdshikaní ká púrá púrá intiqám le legí; aur jab tum apne shahroṉ ke andar já jákar ikaṭṭhe ho jáo, to maiṉ wabá ko tumháre darmiyán bhejúṉgá, aur tum g̣aním ke háth meṉ sauṉp diye jáoge. 26Aur jab maiṉ tumhárí roṭí ká silsila toṛ dúṉgá, to das ‘aurateṉ ek hí tanúr meṉ tumhárí roṭí pakáeṉgí, aur tumhárí un roṭiyoṉ ko tol tolkar detí jáeṉgí; aur tum kháte jáoge, par ser na hoge.
27Aur agar tum in sárí bátoṉ par bhí merí na suno, aur mere ḳhiláf hí chalte raho, 28to maiṉ apne g̣azab meṉ tumháre barḳhiláf chalúṉgá, aur tumháre gunáhoṉ ke bá‘is tum ko sát guní sazá bhí dúṉgá. 29Aur tum ko apne beṭoṉ ká gosht, aur apní beṭiyoṉ ká gosht kháná paṛegá. 30Aur maiṉ tumhárí parastish ke baland maqámoṉ ko ḍhá dúṉgá, aur tumhárí súraj kí múratoṉ ko káṭ ḍálúṉgá, aur tumhárí lásheṉ tumháre shikasta butoṉ par ḍál dúṉgá, aur merí rúh ko tum se nafrat ho jáegí. 31Aur maiṉ tumháre shahroṉ ko wírán kar ḍálúṉgá, aur tumháre maqdisoṉ ko ujáṛ baná dúṉgá, aur tumhárí ḳhushbú e shírín kí lapaṭ ko maiṉ súṉghne ká bhí nahíṉ. 32Aur maiṉ mulk ko súná kar dúṉgá, aur tumháre dushman, jo waháṉ rahte haiṉ, is bát se hairán hoṉge. 33Aur maiṉ tum ko g̣airqaumoṉ meṉ paráganda kar dúṉgá, aur tumháre píchhe píchhe talwár kheṉche rahúṉgá, aur tumhárá mulk súná ho jáegá, aur tumháre shahr wírána ban jáeṉge. 34Aur yih zamín jab tak wírán rahegí, aur tum dushmanoṉ ke mulk meṉ hoge, tab tak wuh apne sabt manáegí; tab hí is zamín ko árám bhí milegá, aur wuh apne sabt bhí manáne páegí. 35Yih jab tak wírán rahegí, tab hí tak árám bhí karegí, jo ise kabhí tumháre sabtoṉ meṉ, jab tum us meṉ rahte the, nasíb nahíṉ húá thá. 36Aur jo tum meṉ se bach jáeṉge, aur apne dushmanoṉ ke mulkoṉ meṉ hoṉge, un ke dil ke andar maiṉ behimmatí paidá kar dúṉgá, aur uṛtí húí pattí kí áwáz un ko khadeṛegí, aur wuh aise bhágeṉge, jaise koí talwár se bhágtá ho, aur háláṉki koí píchhá bhí na kartá hogá, taubhí wuh gir gir paṛeṉge. 37Aur wuh talwár ke ḳhauf se ek dúsre se ṭakrá ṭakrá jáeṉge, báwujúde ki koí khadeṛtá na hogá, aur tum ko apne dushmanoṉ ke muqábale kí táb na hogí. 38Aur tum g̣airqaumoṉ ke darmiyán paráganda hokar halák ho jáoge, aur tumháre dushmanoṉ kí zamín tum ko khá jáegí. 39Aur tum meṉ se jo báqí bacheṉge, wuh apní badkárí ke sabab se tumháre dushmanoṉ ke mulkoṉ meṉ ghulte raheṉge, aur apne bápdádá kí badkárí ke sabab se bhí wuh un hí kí tarah ghulte jáeṉge. 40Tab wuh apní aur apne bápdádá kí is badkárí ká iqrár kareṉge, ki unhoṉ ne mujh se ḳhiláfwarzí karke merí hukm‘udúlí kí; aur yih bhí mán leṉge, ki chúṉki wuh mere ḳhiláf chale the, 41is liye maiṉ bhí un ká muḳhálif húá, aur un ko un ke dushmanoṉ ke mulk meṉ lá chhoṛá. Agar us waqt un ká námaḳhtún dil ‘ájiz ban jáe, aur wuh apní badkárí kí sazá ko manzúr kareṉ, 42tab maiṉ apná ‘ahd jo Ya‘qúb ke sáth thá yád karúṉgá; aur jo ‘ahd maiṉ ne Izháq ke sáth, aur jo ‘ahd maiṉ ne Abrahám ke sáth báṉdhá thá, un ko bhí yád karúṉgá; aur is mulk ko yád karúṉgá. 43Aur wuh zamín bhí un se chhúṭkar, jab tak un kí g̣airházirí meṉ súní paṛí rahegí, tab tak apne sabtoṉ ko manáegí; aur wuh apní badkárí kí sazá ko manzúr kar leṉge, isí sabab se, ki unhoṉ ne mere hukmoṉ ko tark kiyá thá, aur un kí rúhoṉ ko merí sharí‘at se nafrat ho gayí thí. 44Is par bhí jab wuh apne dushmanoṉ ke mulk meṉ hoṉge, to maiṉ un ko aisá tark nahíṉ karúṉgá, aur na mujhe un se aisí nafrat hogí, ki maiṉ un ko bi’lkull faná kar dúṉ, aur merá jo ‘ahd un ke sáth hai, use toṛ dúṉ: kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand un ká Ḳhudá húṉ. 45Balki maiṉ un kí ḳhátir un ke bápdádá ke ‘ahd ko yád karúṉgá, jin ko maiṉ g̣airqaumoṉ kí áṉkhoṉ ke sámne mulk i Misr se nikálkar láyá, táki maiṉ un ká Ḳhudá ṭhahrúṉ. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.
46Yih wuh sharí‘at, aur ahkám, aur qawánín haiṉ, jo Ḳhudáwand ne koh i Síná par apne aur baní Isráíl ke darmiyán Músá kí ma‘rifat muqarrar kiye.
Currently Selected:
Ahbár 26: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)