YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 44

44
CHAWÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Ḳhudá kí musíbatzada kalísyá minnat kartí hai, ki wuh use zabardast dushmanoṉ ke háth se bacháe. Qadím zamánon meṉ Ḳhudá Isráíl ká hámí aur naját-dihinda thá (1—3), aur ab bhi ạhd, i fazl meṉ apní ummat i ḳháss ká Ḳhudá hai (4—8). Lekin aisá mạlúm hotá hai, ki us ne unheṉ un ke dushmanoṉ ke háth meṉ chhoṛ diyá hai (9—16). Par Isráíl ab tak us se lipṭá aur us ke liye taklífzada hai (17—22). Is sabab se us ke log darḳhwást karte haiṉ ki wuh un kí riháí ke liye phir zahir ho (23—26). Ḳhulása yih hai: ki Guzre waqtoṉ meṉ tú ne hamári madad kí, aur ạhd i fazl meṉ hamárí madad ká wạda kiyá hai; lekin ab tú hamárí madad nahín kartá. Aur chúṉki ham apní bargashtagí ke báịs se terí madad se mahrúm nahíṉ ho gae, to ab hamárí madad kar.
Sardár Mug̣anní ke liye; Baní Qurah ke liye; Tạlím-dihinda Zabúr.
1Ai Ḳhudá, ham ne apne kánoṉ se suná, hamáre báp dádoṉ ne ham se wuh kám bayán kiyá hai jo tú ne un ke dinoṉ meṉ, qadím waqtoṉ meṉ kiyá. 2Tú ne apne háth se qaumoṉ ko be-mírás kiyá aur inheṉ jamáyá, ummatoṉ ko dabáyá aur inheṉ phailáyá. 3Kyúṉki wuh apní hí talwár se zamín ke wáris nahíṉ húe, aur na un ke bázú ne unheṉ naját dí, balki tere dahne háth aur tere bázú aur tere chihre kí roshní ne yih kiyá: kyúṉki tú un se rází thá.
4Ai Ḳhudá, Tú hí mera bádsháh hai; Yạqúb ke liye najátoṉ ká hukm kar. 5Terí hí madad se ham apne satánewáloṉ ko ḍhakel denge; ham tere nám se apne muḳhálifoṉ ko pámál karenge. 6Kyúṉki maiṉ apní kamán par bharosa na rakhúṉgá, aur merí talwár mujhe naját na degí. 7Kyúṉki tú ne hameṉ hamáre sátánewáloṉ se bacháyá, aur hamáre hásidoṉ ko sharminda kiyá hai. 8Ham ne sáre din Ḳhudá par faḳhr kiyá hai, aur abad tak tere nám ká iqrár karenge. Siláh.
9Lekin tú ne hameṉ tark aur ruswá kiyá hai, aur hamáre lashkaroṉ ke sáth na chalegá. 10Tú satánewále ke sámhne se hameṉ paspá karegá, aur hamáre hásidoṉ ne apne liye lúṭ páí hai. 11Tú hameṉ ḳhurish ke galle ke mánind banáegá, aur qaumoṉ ke darmiyán tú ne hameṉ paráganda kiyá hai. 12Tú apní ummat ko muft bech ḍálegá, aur tú ne un kí qímat se apní daulat ko nahíṉ baṛháyá hai. 13Tú hameṉ hamáre hamsáyoṉ ke liye nang banáegá, hamáre gird-pesh wáloṉ ke liye ṭhaṭṭhá aur khillíbází. 14Tú hameṉ qaumoṉ meṉ zarb-ul-masl banáegá, ummatoṉ meṉ sir hiláne ká sabab. 15Sáre din merí ihánat mere sámhne hai, aur sharmindagí ne mere muṉh ko ḍhámp liya hai; 16tuhmat o taḳfír karnewále kí áwáz se, dushman aur intiqám lenewále ke huzúr se.
17Yih sab ham par guzrá, aur ham tujhe nahíṉ bhúle, aur na tere ạhd se bewafáí kí hai. 18Hamárá dil píchhe nahíṉ phirá, aur na hamárá qadam terí ráh se haṭá; 19ki tú ne hameṉ gídaṛoṉ ke maqám meṉ kuchlá hai, aur sáya i maut se hameṉ ḍhámpá hai. 20Agar ham apne Ḳhudá ke nám ko bhúle, aur ajnabí mạbúd kí taraf apne háth phailáe hoṉ; 21kyá Ḳhudá ise ḍhúnḍh na nikálegá? Kyúṉki wahí dil ke bhedoṉ se wáqif hai. 22Kyúṉki ham tere liye sáre din maqtúl húe haiṉ, ham zabh hone ke galle ke mánind mahsúb húe haiṉ.
23Bedár ho! Ai Ḳhudáwand, tú kis liye sotá rahegá? Jág, abad tak tark na kar. 24Tú kis liye apná chihra chhipáegá, hamáre dukh aur hamárí taklíf ko bhulá degá? 25Kyúṉki hamárí ján ḳhák tak jhuk gaí, hamárá peṭ zamín se mulhaq ho gayá. 26Hamárí madad ke liye uṭh, aur apní mihrbání kí jihat se hameṉ maḳhlasí de.

Currently Selected:

Zabúr 44: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Zabúr 44