YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 54

54
CHAUWANWÍṈ ZABÚR.
Bedín aur sharír dushmanoṉ se riháí ke liye duạ́ (1—3), aur riháí ká ịtimád, aur us ke liye shukrguzárí ká wạda (4—7).
Sardár Mug̣anní ke liye; tar ke bájoṉ par; Dáúd kí Tạlím-dihinda Zabúr; jab Zifím ne áke Sáúl se kahá, ki “Kyá Dáúd áp ko hamáre sáth nahíṉ chhipátá hai?”#1 Sam. 23:19.
1Ai Ḳhudá, apne nám se mujhe bachá, aur tú apní qúwat se merá insáf karegá. 2Ai Ḳhudá, merí duạ́ sun, mere muṉh kí bátoṉ par kán dhar. 3Kyúṉki ajnabí merí muḳhálafat par uthe haiṉ, aur zálim merí ján ke ḳhwáháṉ húe; unhoṉ ne Ḳhudá ko apne sámhne nahíṉ rakhá. Siláh.
4Dekho, Ḳhudá mera madadgár hai! Ḳhudáwand merí ján ke sambhálnewáloṉ meṉ hai. 5Wuh buráí mere dushmanoṉ par lauṭ áegí; apní amánatdárí se unheṉ nest o nábúd kar! 6Maiṉ áp se áp tere liye zabíha guzránúṉgá; Ai Yahowáh, maiṉ tere nam kí tạríf karúṉgá, kyúṉki wuh bhalá hai. 7Kyúṉki us ne sárí tangí se mujhe chhuṛáyá, aur merí ánkh ne mere dushmanoṉ par nazar kí hai.

Currently Selected:

Zabúr 54: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in