YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 55

55
PACHPANWÍḲ ZABÚR.
Sádiqoṉ kí un taklífoṉ aur musíbatoṉ ká bayán jo wuh badḳho dushmanoṉ aur chhalí dostoṉ se páte haiṉ, aur yih tạlím, ki Ḳhudá sádiqon ko bacháegá aur un ke dushmanoṉ ko halák karegá. Pahle hisse meṉ Dáúd ụmúman apne dushmanoṉ par faryád kartá hai (1—11), aur dúsre meṉ un meṉ se ek se ishára kartá hai jo us ká dost mạlúm hotá thá, lekin dag̣ábází se us ká muḳhálif ho gaya (12—15), aur tísre meṉ apní riháí aur apne dushmanoṉ kí halákat ke yaqín ká bayán kartá hai (16—25).
Sardár Mug̣anní ke liye; tar ke bájoṉ ke sáth; Dáúd kí Tạlím-dihinda Zabúr.
1Ai Ḳhudá, merí duạ par kan dhar, aur merí minnat se áp ko na chhipá. 2Mera shinawá ho aur merí sun; maiṉ apne soch meṉ apne dil ko paráganda karúṉgá aur shor macháúṉgá, 3dushman kí áwáz ke sabab se, aur sharír ke zulm ke báịs se; kyúṉki wuh mere úpar nuqsán pahuncháte haiṉ, aur g̣azab meṉ merí muḳhálafat karte haiṉ. 4Mera dil mere bátin meṉ masostá hai, aur maut ke haul mere úpar paṛe haiṉ. 5Ḳhauf aur larzá mujh meṉ áyá cháhtá hai, aur kampkapí mujh par g̣álib áí hai. 6Aur maiṉ ne kahá, “Kásh ki mere pankh fáḳhta ke se hote, to maiṉ uṛ játá aur chain pátá! 7Dekh maiṉ dúr tak phirá kartá, aur bayábán meṉ rahtá. Siláh. 8Maiṉ shiddat kí ándhí se aur túfán se apne liye bacháo jald karúṉgá.” 9Ai Ḳhudáwand, unheṉ nigal já, un kí zabán judá judá kar; kyúṉki maiṉ ne shahr meṉ zulm aur fasád dekhá hai: 10wuh din aur rát use us kí díwároṉ par gherte haiṉ; aur badí aur ziyán us ke bích meṉ haiṉ. 11Ḳharábíáṉ us ke bích meṉ haiṉ, aur us ke chauk se zulm aur dagá alag nahíṉ hote.
12Kyúṉki na mera dushman merí tạnazaní karegá, nahíṉ, to maiṉ sah letá; na mere hásid ne mere muqábale meṉ apní baṛáí kí hai, nahíṉ, to maiṉ áp ko us se chhipátá. 13Balki Tú mere barábar ká insán, mera rafíq aur mera ján-pahchán; 14jis se ham báham ḳhush-ikhtilátí karte haiṉ; Ḳhudá ke ghar meṉ ị́d kí dhumdhám se chalte haiṉ. 15Un par tabáhíáṉ á gaíṉ! Wuh jite jí qabr meṉ girenge! Kyúṉki un ke makán meṉ aur un ke butún meṉ buráíáṉ haiṉ.
16Maiṉ Ḳhudá ko pukárúṉgá, aur Yahowáh mujhe bachá legá. 17Sham aur subh aur do pahar ko maiṉ sochúṉgá aur shor macháúṉgá,— aur us ne merí áwáz suní hai. 18Jo laṛáí mujh par thí, us ne us se salámatí meṉ merí ján ko maḳhlasí dí, kyúṉki mere muḳhálif bahut the. 19Qádir i Mutlaq sunegá anr unheṉ jawáb degá, aur jo qadím se taḳht-nashín hai—Siláh—wuh sunke unheṉ jawáb degá jin kí badlíáṉ na hongí aur jo Ḳhudá se nahíṉ ḍarte. 20Us ne apne dostoṉ kí muḳhálafat meṉ apne háth baṛháe haiṉ; apne ạhd ko shikast kiyá hai. 21Us ke muṉh kí cháplúsí kí báteṉ chikní-chupṛí haiṉ, par us ká dil laṛáí hai; us kí báteṉ tel se ziyáda narm haiṉ, par wuh khainchí húí talwáreṉ haiṉ. 22Yahowáh par apná bojh ḍál de, aur wuh terí parwarish karegá; wuh sádiq ko abad tak ṭalne na degá. 23Aur Tú, Ai Ḳhudá, unheṉ saṛan ke kúe meṉ girá degá: ḳhúní aur dag̣ábáz insán apní ádhí ụmr tak na pahunchenge; aur Maiṉ tujh par bharosa rakhúṉgá.

Currently Selected:

Zabúr 55: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in