YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 67

67
SARSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ yih duạ́ hai, ki Ḳhudá apne ạhd i fazl kí barakateṉ sárí qaumoṉ par názil kare. Yih zabúr, paiṉsaṭhwín zabúr kí misl, Ḳhudá kí us mihrbání se ḳháss ishára kartí hai jo mewadár mausimoṉ aur fasloṉ kí afzúní meṉ záhir hotí hai. Jab zamín ne apná hásil diyá thá (á. 6), tab kalísyá ne duạ́ kí, ki Ḳhudá apne ahd i fazl kí sárí nịmaten, kyá díní kyá dunyawí hoṉ, tamám jahán ki qaumoṉ meṉ phailáe, aur use yaqín bhi thá, ki yih duạ́ mustajáb hogí.
Sardár Mug̣anní ke liye; tar ke bájoṉ par; Zabúr o Sarod.
1Ḳhudá ham par rahm kare, aur hameṉ barakat de, apná chihra ham par jalwagar farmáe, —Siláh— 2táki terí ráh zamín par jání jáe, aur sárí qaumoṉ meṉ terí naját!
3Ai Ḳhudá, ummateṉ tera shukr karengí, sárí ummateṉ tera shukr karengí. 4Qaumeṉ ḳhush hongí aur tarannum karengí, kyúṉki tú rástí se ummatoṉ ká insáf karegá, aur zamín par qaumoṉ kí hidáyat karegá. Siláh.
5Ai Ḳhudá, ummateṉ tera shukr karengí, sárí ummateṉ tera shukr karengí. 6Zamín ne apná hásil diyá hai; aur Ḳhudá, hamárá Ḳhudá hameṉ barakat bakhshegá. 7Ḳhudá hameṉ barakat baḳhshegá, aur zamín kí sárí sarhaddeṉ us se ḍarengí.

Currently Selected:

Zabúr 67: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in