YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 68

68
AṚSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá, jo sádiqoṉ ko bachátá, aur sharíron ko halák kartá hai, wuh sárí hamd o saná ká mustahiqq hai (1—6). Guzre zamánoṉ meṉ us ne apní ummat i ḳháss kí naját ke liye apne fazl ke ạjíb o g̣aríb kámoṉ se áp ko aisá hi sábit kiyá, yạne, jab us ne bayábán meṉ apne logoṉ kí rahnumáí kí (7-10), aur qázíoṉ ke waqt meṉ unheṉ fathyáb aur iqbálmand thahráyá, aur unheṉ árám baḳhshá (11—14), aur us ke bạd apní maqdis aur dár-us-saltanat Koh i Saihún par muqarrar karke ek naí fath se use wahán qáim kiyá (15—19). Par yih sáre ahwál Ḳhudá ke us intizám meṉ mundaraj haiṉ, jis se wuh apní ummat kí riháí ke liye apne aur un ke dushmanoṉ ko halák kartá hai (20—23). Is naí fath kí shukrguzárí meṉ dhúm-dhám ke sáth log chalte húe nazar áte haiṉ (24—27), Par yih sab us barí fath ká sirf namúna hai, jo áyanda waqt meṉ sárí qaumoṉ par hásil hogí (28—31), jis kí yaqíní ummed meṉ Dáúd sárí qaumoṉ ko targ̣íb detá hai, ki Yahowáh ki hamd o sanákaren (32—35). Dáúd ká yih hamd ká sarod fathyábí se mutaạlliq hai, aur sháyad us fath se taạlluq rakhtá hogá, jis ká bayán 2 Sam. 12:26-31 meṉ hai, aur jis se us kí ạmaldárí kí baṛí laṛáíáṉ ḳhatm húíṉ.
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr o Sarod.
1Ḳhudá uṭhegá, us ke dushman paráganda honge; aur us ke kína rakhnewále us ke sámhne se bhágenge. 2Jis tarah dhúáṉ záil ho játá hai, usí tarahunheṉ záil karegá; jis tarah mom ág ke sámhne pighal játá hai, usi tarah sharír Ḳhudá ke sámhne halák honge. 3Aur sádiq ḳhush honge; Ḳhudá ke sámhne dilshád honge, aur ḳhushí ke mare shádkám honge. 4Ḳhudá kí hamd gáo, us ke nám ke liye nag̣ma-saráí karo, us ke liye sháhráh taiyár karo jo apne nám Yáh se bayábánoṉ se sawár hokar átá hai, aur us ke sámhne ḳhushí karo. 5Ḳhudá apne makán i muqaddas meṉ yatímoṉ ká báp aur bewaoṉ ká munsif hai. 6Ḳhudá tan i tanháoṉ ko gharoṉ meṉ basátá hai; asíroṉ ko qaid se iqbálmandíoṉ meṉ nikal látá hai; sirf sarkash ḳhushk zamín meṉ sukúnat karte haiṉ.
7Ai Ḳhudá, jab tú apní ummat ke áge chal niklá, jab tú ne bayábán meṉ qadam márá — Siláh; 8tab zamin larzí, balki ásmán Ḳhudá ke sámhne ṭapke—yih Síná par huá— Ḳhudá, yạne, Isráíl ke Ḳhudá ke sámhne. 9Ai Ḳhudá, tú baḳhshishoṉ ká meṉh barsátá hai; Tú hí apní mírás, háṉ, apní zaị́f mírás ko mustahkam kartá hai. 10Tera galla us meṉ basá hai; Ai Ḳhudá, tú apní mihrbání se musíbatzada ke liye taiyárí karegá.
11Ḳhudáwand ḳhabar detá hai: us kí bashárat denewálíáṉ baṛí fauj haiṉ. 12Lashkaron ke bádsháh bhág bhág jáenge, aur ghar kí rahnewálí lúṭ bánṭegí. 13Jab tum zamín kí sarhaddoṉ ke darmiyán leṭoge, tab tum chándí se marhí húí fáḳhta ke ḍainoṉ aur us ke zard sonahre paroṉ ke mánind hoge. 14Jab Qádir i Mutlaq us zamín meṉ bádsháhoṉ ko paráganda kartá bai, tab Zillmún par barf girtí hai.
15Jabal-ul-Basaniya Ḳhudá ká pahar hai, Jabal-ul-Basaniya choṭíoṉ ká paháṛ hai. 16Ai paháṛo, Ai choṭío, us paháṛ ke liye, jise Ḳhudá ne apne rahne ke liye cháhá hai, tum kyúṉ kamín meṉ baiṭhte ho? Háṉ, Yahowáh us meṉ abad tak rahegá. 17Ḳhudá kí ratheṉ bís hazár, hazárhá hazár haiṉ; Ḳhudáwand un meṉ hai, aur Síná maqdis meṉ. 18Tú únche par chaṛh gayá hai; tú ne asíroṉ ko asír kiyá hai; Ai Yáh, Ḳhudá, tú ne baní Ádam meṉ, balki sarkashoṉ meṉ bhí, nazreṉ le líṉ táki yahán sukúnat kare. 19Ḳhudáwand har roz mubárak ho; jab insán ham par bojh rakhegá, tab Qádir i Mutlaq hamárí naját hogá. Siláh.
20Qádir i Mutlaq hamárí najátoṉ ke liye Qádir hai, aur maut se riháí baḳhshná Yahowáh Ḳhudáwand hí ká kám hai. 21Yaqínan Ḳhudá apne dushmanoṉ ká sir kuchlegá, us bál wálí khopṛí ko jo apne qusúroṉ meṉ chaltí phirtí hai. 22Ḳhudáwand ne farmáyá, ki “Maiṉ unheṉ Basaniya se pher láúṉgá, samundar ke gahráoṉ se pher láúṉgá; 23táki tú unheṉ kuchle, aur tera páṉw lahú-luhán, aur tere kuttoṉ kí zabán dushmanoṉ ke lahú se, háṉ, usí se lahú-luhán ho.”
24Ai Ḳhudá, unhoṉ ne terí dhúm-dhámi cháloṉ ko, mere Qádir i Mutlaq aur mere bádsháh kí dhúm-dhámí cháloṉ ko maqdis meṉ dekhá hai. 25Table bajátí húí kuṉwáríoṉ ke darmiyán gánewále áge áge, aur bajánewále píchhe píchhe chale. 26Ai tum ki Isráíl ke chashme se ho, jámáạtoṉ meṉ Ḳhudá, Khudáwand ko mubárak kaho. 27Waháṉ chhoṭá Binyamín un ká dabáne wálá hai, Yahúdáh ke sardár un ke sangsár karnewále, Zabúlún ke sardár, Naftálí ke sardár.
28Tere Ḳhudá ne terí qúwat muqarrar kí hai; Ai Ḳhudá, jis ne hamáre liye yih kiyá hai, qawí ho! 29Terí haikal ke sabab se, jo Yarúshalam ke úpar hai, bádsháh tere pás tuhfe láenge. 30Naistán ke baháim ko, aur mazbút bailoṉ kí jamáạt ko, ummatoṉ ke bachhṛoṉ samet, jo chándí ke ṭukṛe lie húe jhuk játe haiṉ, malámat kar; us ne ummatoṉ ko, jo jang se ḳhush rahtí haiṉ, paráganda kiyá hai. 31Amír log Misr se áenge; Kúsh apne háth Ḳhudá kí taraf baṛháegá,
32Ai zamín kí mamlukato, Ḳhudá kí hamd meṉ gáo; Ḳhudáwand kí hamd meṉ nag̣ma-saráí karo! Siláh. 33Us ke liye gáo jo qadím falak-ul-aflák par sawár hai; dekho, wuh apní áwáz, qawí áwáz detá hai! 34Ḳhudá ko qúwat do! Us kí buzurgí Isráíl ke úpar hai, aur us kí qúwat bádaloṉ par. 35Ai Ḳhudá, tú apni maqdisoṉ se haibatnák hai; Isráíl ká Qádir i Mutlaq—wahí ummat ko qúwat aur táqat baḳhshtá hai. Ḳhudá mubárak ho!

Currently Selected:

Zabúr 68: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in