YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 69

69
UNHATTARWÍṈ ZABÚR.
Ḳhudá ká musíbatzada banda, apní hálat ká bayán karke (1—4), kahtá hai ki maiṉ yih sab musíbateṉ aur taklífeṉ Ḳhudá ke waste uṭhátá huṉ (5—12), aur is sabab se riháí kí duạ́ kartá hai (13—18). Phir, apne dukh ká bayán karke us ke sabab ká zikr kartá hai, yạne, yih merí musíbateṉ mere dushmanoṉ ke hasad se barpá húíṉ (19—21), aur isí báịs se un kí halákat ki duạ́ kartá hai (22—28). Use yaqín hai ki Ḳhudá merí duạ́oṉ ko mustajáb farmáegá, aur mere bháíoṉ ko bhí ḳhushí baḳhshegá (29—33); balki use yaqín hai ki yihí mihrbání Ḳhudá kí sárí ummat i kháss aur kalísyá par bhí áshkárá hogí (34—36). Is zabúr kí ḳháss takmil Masíh meṉ húí. Lekin chúnki pánchwíṉ áyat meṉ nádání o gunah ká iqrár hai, is se mạlúm hotá hai, ki yih zabúr Masíh se bilkull mutaạlliq nahín hai, balki Ḳhudá ká jo banda is meṉ mutákallim hai, so sáre sádiq musíbatzadoṉ ká namúna hai, aur un meṉ Masíh bhi shámil hai. Sab zabúroṉ se Injíl meṉ is kí aur báíswín zabúr kí áyatoṉ ká Masíh kí nisbat ziyáda zikr hai.
Sardár Mug̣anní ke liye; Sosanoṉ#Yạne, dil-kushá tasallíoṉ aur dilḳhwáh riháíoṉ kí nisbat. Zabúr 45, 60 ke sarnámoṉ ko dekho. kí nisbat, Dáúd kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, mujhe bachá, kyúṉki pání merí ján tak pahunch gaya hai. 2Maiṉ gahráo kí kích meṉ dhaṉs gaya húṉ, aur khaṛe hone kí jagah nahíṉ hai; maiṉ pání ke gahráoṉ meṉ áyá, aur sailáb ne mujhe dabá liya hai. 3Maiṉ pukárte pukárte thak gayá húṉ; mera galá ḳhushk ho gayá; apne Ḳhudá kí intizárí karte karte merí ánkheṉ dhundhlá gaíṉ. 4Jo besabab mere hásid haiṉ, wuh mere sir ke báloṉ se ziyáda haiṉ; mere halák karnewále, mere dag̣ábáz dushman zabardast haiṉ; jo maiṉ ne nahíṉ lúṭá, maiṉ áge ko use bhar dúṉgá.
5Ai Ḳhudá, Tú merí nádání ko jántá hai, aur merí taqsíreṉ tujh se chhipí nahíṉ haiṉ. 6Ai Ḳhudáwand, Yahowáh, Lashkaroṉ ke Ḳhudá, tere muntazir mere sabab se sharminda na hoṉ; Ai Isráíl ke Ḳhudá, tere tálib mere báịs se ruswá na hon. 7Kyúṉki maiṉ ne tere waste tuhmat sahí, ruswáí ne mere muṉh ko ḍhámp liyá hai. 8Maiṉ apne bháíoṉ ke nazdík pardesí ho gayá, aur apní má ke beṭoṉ ke nazdík ajnabí. 9Kyúṉki tere ghar kí g̣airat ne mujhe khá liyá hai,#Yúhanná 2:17. aur tere tuhmat karnewáloṉ kí tuhmateṉ mujh par á paṛíṉ.#Rúm. 15:3. 10Aur maiṉ ne roze meṉ ro ro ápní ján nikálí, aur wuh bhí mere liye tuhmatoṉ ká báịs húá. 11Aur maiṉ ne ṭáṭ ká libás pahiná, aur un ke liye zarb-ul-masal baná. 12Pháṭak par baiṭhnewále merí nisbat mansúbe bándhte haiṉ; aur maiḳhor hazl gáte haiṉ.
13Aur Maiṉ, Ai Yahowáh, merí duạ́ tujh se hai; Ai Ḳhudá, terí mihrbání kí ziyádatí meṉ razámandí ká waqt ho; apní naját kí amánatdárí meṉ merí sun le. 14Mujhe kích se nikal, aur maiṉ dhaṉsne na páúṉ; maiṉ apne hásidoṉ se aur pání ke gahráoṉ se bacháyá jáúṉ. 15Pání ká sailáb mujhe dabáne na páe, aur gahráo mujhe nigalne na páe, aur kúá apná muṉh mujh par band na karne páe. 16Ai Yahowáh, merí sun; kyúṉki terí mihrbání ḳhúb hai; apní rahmatoṉ kí ziyádatí ke mutábiq merí taraf mutawajjih ho. 17Aur apne bande se apná muṉh na chhipá, kyúṉki maiṉ tangí meṉ húṉ; jaldí kar, merí sun. 18Merí ján ke nazdík á, us kí maḳhlasí kar; mere dushmanoṉ ke sabab se mujhe ḳhalásí baḳhsh.
19Tú hí ne merí tuhmat aur merí sharmindagí aur merí ruswáí ko jáná hai; mere sáre satánewále tere sámhne haiṉ. 20Tuhmat ne merí dilshikaní kí hai, aur maiṉ bímár húṉ; aur maiṉ ne tars kí intizárí kí, aur kuchh nahíṉ hai; aur dilásá denewáloṉ kí, par nahíṉ páyá. 21Aur unhoṉ ne mere kháne meṉ pitt diyá, aur merí pyás bujháne ko mujhe sirka piláyá.#Matí 27:34, 48; Markus 15:23; Yúhanná 19:28.
22Un ká dastarḳhwán un ke sámhne phandá ho jáe, aur sálimoṉ ke liye dám.#Rúm. 11:9, 10. 23Un kí ánkheṉ andhí ho jáen táki na dekheṉ, aur un kí kamareṉ hamesha jhukí rakh. 24Apná g̣azab un par unḍel, aur tere g̣usse kí jalan unheṉ pakaṛ le. 25Un ká makán wírán ho jáe; un ke ḳhaimoṉ meṉ koí rahnewálá na ho.#Aạmál 1:20; Matí 23:38. 26Kyúṉki unhoṉ ne unheṉ satáyá jinheṉ Tú ne márá hai; aur tere majrúhoṉ ke g̣am kí nisbat wuh báteṉ karte haiṉ. 27Un kí badí par badí kí sazá de, aur wuh terí sadáqat meṉ áne na páeṉ. 28Wuh daftar i hayát se miṭáe jáeṉ, aur sádiqoṉ ke sáth na likhe jáeṉ.
29Aur Maiṉ musíbatzada aur dukhí húṉ; Ai Ḳhudá, terí naját mujhe balandí par rakhe. 30Maiṉ sarod meṉ Ḳhudá ke nam kí hamd karúṉgá, aur shukrguzárí se us kí baṛáí karúṉgá. 31Aur yih Yahowáh ke liye sháḳhdár aur khurwále bail aur nargáw se bihtar hogá. 32Halímoṉ ne dekhá hai aur ḳhush honge, yạne, tum jo Ḳhudá ke tálib ho, aur tumhárá dil zinda rahe! 33Kyúṉki Yahowáh kangáloṉ kí suntá hai, aur us ne apne asíroṉ kí tahqír nahíṉ kí.
34Ásmán aur zamín us kí tamjíd kareṉ, samundar aur un meṉ ke sáre rehnewále. 35Kyúṉki Ḳhudá Saihún ko bacháegá, aur Yahúdáh ke shahroṉ ko banáegá, aur wuh waháṉ rahenge aur use mírás meṉ lenge. 36Aur us ke bandoṉ kí nasl us kí wáris hogí, aur us ke nám ke ạshiq us meṉ sukúnat karenge.

Currently Selected:

Zabúr 69: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in