YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 77

77
SATHATTARWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Ḳhudá kí qadím kalísyá sakht tangí meṉ paṛke Ḳhudá se faryád aur madad kí duạ́ kartí hai. Aur is meṉ do hisse haiṉ. Pahle meṉ kalísyá apní náchárí ká bayán karke faryád kartí hai ki Ḳhudá ne use chhoṛ diyá hai (1—9). Aur dúsre meṉ guzrí riháíon ká, aur ḳhusúsan us riháí ká zikr karke jo Ḳhudá ne use Misr se nikálne ke waqt baḳhshí, áyanda ko naját kí ummed rakhtí hai (10—20). Bạzon ká gumán hai ki baní Ásaf kí yih zabúr Yúsiyáh bádsháh ke ạhd meṉ likhí gaí.
Sardár Mug̣anní ke liye Yadútún ke úpar;#Yạne, us Sardár Mug̣anní ke liye jo ḳhándán í Yadútún ke sázindoṉ ke úpar afsar thá. Zabúr 62 ke samáme ko dekho. Ásaf kí Zabúr.
1Maiṉ apní áwáz Ḳhudá kí taraf uṭháúṉgá aur pukárúṉgá; apní áwáz Ḳhudá kí taraf uṭháúṉgá, aur wuh merí taraf kán dharesrá. 2Maiṉ ne apní tangí ke din Ḳhudáwand ko ḍhúnḍhá; mera háth rát ko phailá rahá aur sun na ho gayá; merí ján ne tasalli pane se inkár kiyá. 3Maiṉ Ḳhudá ko yád kartá aur shor machátá húṉ; soch kartá húṉ, aur merí ján g̣ash meṉ paṛí hai. Siláh. 4Tú ne merí ánkheṉ khulí rakhí haiṉ; maiṉ márá gaya aur bol nahíṉ saktá. 5Maiṉ ne qadím aiyám par, aur guzre barasoṉ par soch kiyá. 6Maiṉ apní rát kí nag̣ma-pardází ko yád karúṉgá, apne dil meṉ soch karúṉgá, aur meṉ ruh taftísh kartí hai:— 7Ki “Kyá Ḳhudáwand abadí mardúd karegá, aur phir kabhí rází na hogá? 8Kyá us kí mihrbání hamesha ke liye mauqúf ho gaí, us ká wạda pusht dar pusht ke liye kaṭ gayá? 9Kyá Qádir i Mutlaq rahm karná bhul gayá? Kyá us ne g̣azab meṉ apní rahmatoṉ ko band kar rakhá hai?” Siláh.
10Aur maiṉ ne kahá, ki “Yih merí bímárí hai, Haqq Taạ́lá ke dahne háth ke baras. 11Maiṉ Yáh ke kámoṉ ká tazkira karúṉgá; kyúṉki maiṉ tere qadímí ạjáibát ko yád rakhúṉgá. 12Aur maiṉ tere sáre fịloṉ par dhyán karúṉgá, aur tere ạmaloṉ par soch karúṉgá.” 13Ai Ḳhudá, terí rah quddúsí meṉ hai. Ḳhudá ke mánind kaun baṛá Qádir hai? 14Tú hí wuh Qádir i Mutlaq hai jo ạjáib kám kiyá kartá hai; tú ne ummatoṉ meṉ apná zor zahir kiyá. 15Tú ne apne bázú se apní ummat, baní Yạqúb o Yúsuf ko ḳhalásí baḳhshí. Siláh. 16Ai Ḳhudá, páníoṉ ne tujhe dekhá, páníoṉ ne tujhe dekhá; wuh larazte haiṉ, háṉ, gahráo kámp uṭhte haiṉ.#Hab. 3:10 ko dekho. 17Badlíoṉ ne pání unḍel diyá; bádaloṉ ne áwáz dí; háṉ, tere tír chároṉ taraf chalte haiṉ.#Hab. 3:11; Zabúr 18:14, 141:6. 18Terí garaj kí áwáz girdbád meṉ húí; bijlíoṉ ne jahán ko raushan kar diyá; tab zamín kámpí aur laraz gaí.#Hab. 3:14. 19Terí ráh samundar meṉ thí, aur terí guzargáheṉ baṛe páníoṉ meṉ, aur tere naqsh i qadam mạlúm na húe.#Hab. 3:15. 20Tú ne, Músá aur Hárún ke háth se, galle ke mánind, apní ummat kí rahnumáí kí.

Currently Selected:

Zabúr 77: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in