YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 78

78
AṬHHATTARWÍṈ ZABÚR.
Yashụ́ ke waqt se Ạ́lí ke waqt tak baní Ifráím, Isráíl meṉ sardárí karte rahe; lekin Dáúd ke waqt meṉ te uh sardárí Yahúdáh ke firqe ko milí, jaisá Ḳhudá ne peshtar se iráda kiyá thá, (Paid. 49:10.) Jin jin wajhoṉ se is sardárí ká intiqál huá, un ká bayán is zabúr meṉ mufassal hai; yạne, Ḳhudá ne qadím se apná iráda zahir kiyá ki aisá ho, so baní Isráíl ke un gunáhon ke sabab se jo Ifráím ke firqe kí sardárí ke waqt karte rahe, aur ḳhusúsan baní Ifráím kí beímání ke báịs se, jo us muddat meṉ húí, yih intiqál wujúd meṉ áyá. Ag̣lab hai ki Dáúd ke sardár Mug̣anní Ásaf ne Dáúd ke taḳht-nashín howe ke bad yih zabúr likhí ho, jis waqt ki wuh sirf baní Yahúdáh par saltanat kartá thá, aur us waqt se peshtar ki sáre baní Isráíl ne use qabúl kiyá (2 Sam. 5:5.). Is zabúr meṉ Ásaf sábit kartá hai ki jab tak Ifráím ka firqa Isráíl meṉ sardárí kartá rahá, us waqt tak baní Isráíl kí ḳhaslat aur chal un qadím Isráilíoṉ kí ḳhaslat aur chal kí mánind ihí, jo zamín i Misr se nikle, —jo baní Isráíl Yashụ́ he bạd the, wuh apne báp dádon he mánind bargashta aur dag̣ábáz aur bág̣í the. Ásaf kahtá hai ki jo wáqiạ́t Músá ke zamáne meṉ guzríṉ, wuh is zamáne ke logoṉ ke liye bahut fáidamand haiṉ, táki yih log, Ḳhudá ke kámoṉ par g̣aur karke, aur us ke hukmoṉ ko sunkar, apne báp dádon ke mánind sarkash aur náfarmánbardár na hoṉ (1—8). Is ke bad Isráíl kí bewafáí aur ạhdshikani ká mufassal bayán kartá hai, yạne; Ifráím kí sardárí ke tale wuh Ḳhudá ke kámoṉ ko bhúle, aur us kí tauret o ahkám ko chhoṛ diyá (9—11), aur bilkull apne báp dádon ke mánind rahe, jin kí beímání aur sarkashí aur ạhdshikani, aur Ḳhudá ke ạjíb kámoṉ kí farámoshí ká Ásaf mufassal bayán kartá hai (12—40); aur kahtá hai, ki unhoṉ ne náshukrí ke sáth un buzurg kámon ko farámosh kiyá, jin ke wasíle se Ḳhudá ne apní ummat ko zamín i Misr se riháí bakkshí (41—55), aur bargashta hokar Ḳhudá ke g̣azab ke tale pare, yaháṉ tak ki us ne apní sukúnatgáh ko, jo Sailá meṉ thí, chhoṛ diyá, aur apne ahd ká sandúq dushmanoṉ kí g̣anímat meṉ diyá, aur apní ummat ko talwár ke tale sipurd kiyá (56—64). Tab us ne apní ummat kí riháí ke liye rahmat o qudrat záhir karke, aur sardárí Ifráím se leke Yahúdáh ko baḳhshkar, Koh i Saihún ko apní sukúnat ke liye chun liyá, aur Dáúd ko apná bádsháh ṭhahráyá (65—72).
Ásaf kí Tạlím-dihinda Zabúr.
1Ai merí ummat, merí sharíạt par kán rakh; mere muṉh kí bátoṉ par apne kan lagáo. 2Maiṉ apná muṉh tamsíl meṉ kholúṉgá, qadímí muạmmoṉ ko zahir karúṉgá; 3jinheṉ ham ne suná, aur unheṉ jáná, aur hamáre báp dádoṉ ne ham se bayán kiyá. 4Ham unheṉ un ke beṭoṉ se na chhipáenge, balki ánewálí pusht se Yahowáh kí tạrífoṉ ká, aur us kí qúwat ká, aur us ke ạjáibát ká, jo us ne kie, bayán karte rahenge. 5Aur us ne Yạqúb meṉ gawáhí qáim kí, aur Isráíl meṉ tauret rakhí, jin kí nisbat us ne hamáre báp dádoṉ se farmáyá, ki unheṉ apne beṭoṉ ko sikhláeṉ. 6Táki ánewálí pusht jane, beṭe paidá hoṉ, aur uṭhkar apne beṭoṉ ko batláeṉ; 7aur Ḳhudá par apní ummed rakheṉ, aur Qádir i Mutlaq ke kámoṉ ko na bhúleṉ, aur us ke hukmoṉ par nazar rakheṉ; 8aur apne báp dádoṉ ke mánind sarkash aur bágí nasl na hoṉ, aisí nasl ki jis ne apne dil ko mustaịdd nahíṉ rakhá, aur jis kí rúh Qádir i Mutlaq par kámil ịtiqád na rakhtí thí.
9Baní Ifráím, hathyár bándhe húe, kamán khainche húe, jang ke din meṉ lauṭ áe. 10Unhoṉ ne Ḳhudá ke ahd ko hifz na kiyá, aur us kí tauret par chalne se inkár kiyá; 11aur us ke kámoṉ ko, aur us ke ạjáibát ko jo us ne unheṉ dikhláe bhul gae. 12Un ke báp dádoṉ ke sámhne, zamín i Misr, Zoạn ke maidán meṉ, us ne ạjíb káiti kie. 13Us ne daryá ko do hissa kar diyá, aur unheṉ pár pahuncháyá, aur pání ko túde ke mánind khaṛá kar diyá. 14Aur din ko badlí se, aur tamám rát ág ke shụle se un kí rahbarí kí. 15Wuh bayábán meṉ chaṭánoṉ ko chírtá hai, aur unheṉ píne ko goyá baṛe gahráo baḳhshtá hai; 16aur chaṭán se sailáb nikáltá hai, aur nahroṉ ká sá pání bahá detá hai.
17Par unhoṉ ne us kí muḳhálafat meṉ aur ḳhatákárí, aur dasht meṉ Haqq Taạ́lá ke sámhne bag̣áwat ziyáda kí; 18aur apne dil meṉ Qádir i Mutlaq ko yún ázmáyá, ki apne nafs ke liye kháná mángen; 19aur Ḳhudá ke barḳhiláf kalam kiyá, aur kahá, ki “Kyá Qádir i Mutlaq bayábán meṉ dastarḳhwán bichhá sakegá? 20Dekho, us ne chaṭán ko márá, aur pání bahtá hai, aur dháráeṉ phúṭ nikaltí haiṉ; par kyá wuh roṭí bhí de saktá hai, yá apní ummat ke liye gosht muhaiyá kar saktá hai?”
21So Yahowáh ne suná, aur niháyat g̣ussa húá, aur Yạqúb meṉ ág bhaṛkí, aur Isráíl par bhí qahr uṭhá; 22kyúṉki wuh Ḳhudá par ímán na lae, aur unhoṉ ne us kí naját par tawakkul na kiyá. 23Agarchi us ne úpar se badlíoṉ ko hukm kiyá, aur ásmán ke darwáze khole; 24aur un par kháne ke waste mann barsáyá, aur unheṉ ásmán ká anáj baḳhshá. 25Har ek ne firishtoṉ kí roṭí kháí, us ne unheṉ ásúdagí ke sáth zád i ráh bhejá. 26Wuh ásmán meṉ mashriqí hawá uṭhátá hai, aur apní qúwat se janúbí hawá chalátá hai. 27Aur us ne un par ḳhák ke mánind gosht, aur samundar kí ret kí mánind pardár murg̣ barsáe; 28aur un kí ḳhaimagáh ke darmiyán, un ke maskanoṉ ke ás-pás giráe. 29Aur unhoṉ ne kháyá aur ḳhub ser húe, aur wuh unheṉ un kí tamanná baḳhshtá hai. 30Wuh apní tamanná se kanáre na húe, ab tak un ká kháná un ke muṉh hí meṉ thá; 31ki Ḳhudá ká qahr un par bhaṛká, aur un ke moṭoṉ meṉ se qatl kiyá, aur Isráíl ke jawánoṉ ko girá diyá.
32Bá-íṉ-hama unhoṉ ne phir gunah kiyá, aur us ke ạjáibát par ímán na láe; 33to us ne un ke dinoṉ ko behúdagí meṉ, aur un ke barasoṉ ko ḳhauf meṉ tamám kiyá. 34Jab us ne unheṉ qatl kiyá, tab unhoṉ ne use ḍhúnḍbá, aur tauba kí, aur sawere Qádir i Mutlaq ke tálib húe; 35aur yád kiyá ki Ḳhudá un kí Chaṭán, aur Qádir i Mutlaq Haqq Taạlá un ká Fidya-denewálá thá. 36Par unhoṉ ne apne muṉh se use fareb diyá, aur apní zabán se us se jhúṭh bole. 37Aur un ká dil us ke sáth mustaqím na rahá, aur wuh us ke ahd par ímán na lae. 38Aur Wuh Rahím badí ko muạf kartá hai, aur kulllíyatan halák nahíṉ kartá hai, aur us ne apne qahr ko bárhá roká, aur apne sáre g̣azab ko na bhaṛkáyá. 39Aur us ne yád kiyá ki wuh bashar haiṉ, aur chalnewálí sáṉs jo phir na áegí. 40Wuh bayábán meṉ us se kyá hí bar bár bag̣áwat karte haiṉ, aur wíráne meṉ use ranjída karte haiṉ!
41Aur unhoṉ ne phir Qádir i Mutlaq ko ázmáyá, aur Isráíl ke Quddús par ikánat ká dág̣ lagáyá. 42Unhoṉ ne us ke háth ko yád na kiyá, us din ko jab us ne unheṉ satánewále se chhuṛáyá; 43jis ne Misr meṉ apne nishán, aur Zoạn ke maidán meṉ apne mụjize zahir kie; 44aur un kí nahroṉ ko lahú kar ḍálá, aur wuh apní dháráoṉ se pí nahíṉ sakte. 45Wuh un meṉ makkhíáṉ bhejtá hai, aur wuh unheṉ khá letí haiṉ, aur menḍuk, aur wuh unheṉ halák karte haiṉ. 46Aur us ne un ke phal kíṛe#78:46 Ịbrí meṉ chábnewálí ṭiḍḍí. ko, aur un kí mihnat ṭiḍḍí ko dí. 47Wuh un ke angúr ko oloṉ se, aur un ke gúlaroṉ ko pale se mártá hai. 48Aur us ne un ke mawáshí oloṉ ko, aur un ke galle bijlíoṉ ko sipurd kie. 49Wuh un par apne qahr kí jalan, g̣ussa, aur g̣azab, aur tangí, baláoṉ ke firishtoṉ kí guroh bhejtá hai. 50Wuh apne qahr ke liye ráh hamwár kartá hai; us ne un kí ján ko maut se nahíṉ bacháyá, aur un kí hayát ko wabá ke sipurd kiyá; 51aur Misr meṉ har ek pahlauṭhe ko, Hám ke ḍeroṉ meṉ qúwatoṉ ke pahle phal ko márá; 52aur apní ummat ko bheṛoṉ ke mánind rawána kiyá, aur galle ke mánind bayábán meṉ un kí rahnumáí kí; 53aur salámatí se un kí rahbarí kí, aur wuh na ḍare, aur samundar ne un ke dushmanoṉ ko g̣arq kar diyá; 54aur unheṉ apní muqaddas hadd tak, is pahaṛ par jise us ke dahne háth ne hásil kiyá, pahuncháyá; 55aur un ke sámhne se qaumoṉ ko hanká diyá, aur jaríb ke sáth un qaumon ko mírás ṭhahráyá, aur Isráíl ke firqoṉ ko un ke ḍeroṉ meṉ basáyá.
56Tis par bhí unhoṉ ne Ḳhudá Taạlá ko ázmáyá, aur us se bag̣áwat kí; aur us kí shahádatoṉ ko hifz na kiyá; 57aur bargashta ho gae aur apne báp dádoṉ ke mánind dag̣ábází kí; wuh bararí húí kamán kí mánind phir gae; 58aur apne únche makánoṉ ke sabab se use g̣usse meṉ láe, aur apní khodí húí múratoṉ ke sabab se use g̣airat diláí. 59Ḳhudá ne suná aur g̣azabnák húá, aur Isráíl se niháyat nafrat kí; 60aur Sailá ke maskan ko, us ḳhaime ko jise us ne ádmíoṉ ke darmiyán khaṛá kiyá thá, chhoṛ diyá; 61aur apná zor asírí meṉ diyá, aur apní hashmat satánewále ke háth meṉ; 62aur apní ummat ko talwár ke sipurd kiyá, aur apní mírás par g̣azabnák húá. 63Ág ne us ke jawánoṉ ko khá liyá, aur us kí kuṉwáríoṉ kí shádí ke gít gáe na gae. 64Us ke káhin talwár se mare paṛe,#1 Sam. 4:11, 17. aur us kí ránḍeṉ mátam nahíṉ kartíṉ.
65Tab Ḳhudáwand us ke mánind jo nind se chaunke jágá, us pahlawán ke mánind jo sharáb ke nashe se lalkártá hai. 66Aur us ne apne muḳhálifoṉ ko márke píchhe haṭá diyá; 67abadí ḳhijálat un ko dí; aur Yúsuf ke ḳhaime se nafrat kí, aur Ifráím ke firqe ko barguzída na kiyá; 68aur Yahúdáli ke firqe ko, Koh i Saihún ko, jise us ne pyár kiyá, barguzída kiyá; 69aur únche paháṛoṉ ke mánind, zamín kí mánind jis kí bunyád us ne abadí ḍálí, apní maqdis ko banáyá; 70aur Dáúd ko apná banda hone ke liye barguzída kiyá, aur use galloṉ ke bheṛsáloṉ meṉ se nikal láyá. 71Us ne bachchewálí bheṛíoṉ ke píchhe se use le liya, táki us kí ummat Yạqúb ko, aur us kí mírás Isráíl ko charáe. 72So us ne apne dil ke iḳhlás ke mutábiq unheṉ charáyá hai, aur apne háthoṉ kí fahmíd se un kí rahnumáí kiyá karegá.

Currently Selected:

Zabúr 78: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in