1
Āmāl 4:12
Kitab-i Muqaddas
Kisī dūsre ke wasīle se najāt hāsil nahīṅ hotī, kyoṅki āsmān ke tale ham insānoṅ ko koī aur nām nahīṅ baḳhshā gayā jis ke wasīle se ham najāt pā sakeṅ.”
Cymharu
Archwiliwch Āmāl 4:12
2
Āmāl 4:31
Duā ke iḳhtitām par wuh jagah hil gaī jahāṅ wuh jamā the. Sab Rūhul-quds se māmūr ho gae aur dilerī se Allāh kā kalām sunāne lage.
Archwiliwch Āmāl 4:31
3
Āmāl 4:29
Ai Rab, ab un kī dhamkiyoṅ par ġhaur kar. Apne ḳhādimoṅ ko apnā kalām sunāne kī baṛī dilerī atā farmā.
Archwiliwch Āmāl 4:29
4
Āmāl 4:11
Īsā wuh patthar hai jis ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.’ Aur āp hī ne use radd kar diyā hai.
Archwiliwch Āmāl 4:11
5
Āmāl 4:13
Patras aur Yūhannā kī bāteṅ sun kar log hairān hue kyoṅki wuh dilerī se bāt kar rahe the agarche wuh na to ālim the, na unhoṅ ne sharīat kī ḳhās tālīm pāī thī. Sāth sāth sunane wāloṅ ne yih bhī jān liyā ki donoṅ Īsā ke sāthī haiṅ.
Archwiliwch Āmāl 4:13
6
Āmāl 4:32
Īmāndāroṅ kī pūrī jamāt yakdil thī. Kisī ne bhī apnī milkiyat kī kisī chīz ke bāre meṅ nahīṅ kahā ki yih merī hai balki un kī har chīz mushtarakā thī.
Archwiliwch Āmāl 4:32
Gartref
Beibl
Cynlluniau
Fideos