Paidāish 8
8
Sailāb kā Iḳhtitām
1Lekin Allāh ko Nūh aur tamām jānwar yād rahe jo kashtī meṅ the. Us ne hawā chalā dī jis se pānī kam hone lagā. 2Zamīn ke chashme aur āsmān par ke pānī ke darīche band ho gae. Aur bārish ruk gaī. 3Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā. 4Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī. 5Dasweṅ mahīne ke pahle din pānī itnā kam ho gayā thā ki pahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagī thīṅ.
6-7Chālīs din ke bād Nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛ diyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. Lekin jab tak zamīn par pānī thā wuh ātā jātā rahā. 8Phir Nūh ne ek kabūtar chhoṛ diyā tāki patā chale ki zamīn pānī se nikal āī hai yā nahīṅ. 9Lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyoṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. Wuh kashtī aur Nūh ke pās wāpas ā gayā, aur Nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.
10Us ne ek haftā aur intazār karke kabūtar ko dubārā chhoṛ diyā. 11Shām ke waqt wuh lauṭ āyā. Is dafā us kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattā thā. Tab Nūh ko mālūm huā ki zamīn pānī se nikal āī hai.
12Us ne mazīd ek hafte ke bād kabūtar ko chhoṛ diyā. Is dafā wuh wāpas na āyā.
13Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai. 14Dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīn bilkul ḳhushk ho gaī.
15Phir Allāh ne Nūh se kahā, 16“Apnī bīwī, beṭoṅ aur bahuoṅ ke sāth kashtī se nikal ā. 17Jitne bhī jānwar sāth haiṅ unheṅ nikāl de, ḳhāh parinde hoṅ, ḳhāh zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar. Wuh duniyā meṅ phail jāeṅ, nasl baṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.” 18Chunāṅche Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ samet nikal āyā. 19Tamām jānwar aur parinde bhī apnī apnī qism ke gurohoṅ meṅ kashtī se nikle.
20Us waqt Nūh ne Rab ke lie qurbāngāh banāī. Us ne tamām phirne aur uṛne wāle pāk jānwaroṅ meṅ se kuchh chun kar unheṅ zabah kiyā aur qurbāngāh par pūrī tarah jalā diyā. 21Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā. 22Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”
ទើបបានជ្រើសរើសហើយ៖
Paidāish 8: GVR
គំនូសចំណាំ
ចែករំលែក
ចម្លង
ចង់ឱ្យគំនូសពណ៌ដែលបានរក្សាទុករបស់អ្នក មាននៅលើគ្រប់ឧបករណ៍ទាំងអស់មែនទេ? ចុះឈ្មោះប្រើ ឬចុះឈ្មោះចូល
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND