Paidāish 10

10
Nūh kī Aulād
1Yih Nūh ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue.
Yāfat kī Nasl
2Yāfat ke beṭe Jumar, Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masak aur Tīrās the. 3Jumar ke beṭe Ashkanāz, Rīfat aur Tujarmā the. 4Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the. Kittī aur Dodānī bhī us kī aulād haiṅ. 5Wuh un qaumoṅ ke ābā-o-ajdād haiṅ jo sāhilī ilāqoṅ aur jazīroṅ meṅ phail gaīṅ. Yih Yāfat kī aulād haiṅ jo apne apne qabīle aur mulk meṅ rahte hue apnī apnī zabān bolte haiṅ.
Hām kī Nasl
6Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the. 7Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the.
8Kūsh kā ek aur beṭā banām Namrūd thā. Wuh duniyā meṅ pahlā zabardast hākim thā. 9Rab ke nazdīk wuh zabardast shikārī thā. Is lie āj bhī kisī achchhe shikārī ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Wuh Namrūd kī mānind hai jo Rab ke nazdīk zabardast shikārī thā.” 10Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the. 11Us mulk se nikal kar wuh Asūr chalā gayā jahāṅ us ne Nīnwā, Rahobot-īr, Kalah 12aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai.
13Misr in qaumoṅ kā bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī, Naftūhī, 14Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī.
15Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī 16Yabūsī, Amorī, Jirjāsī, 17Hiwwī, Arqī, Sīnī, 18Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae 19ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ.
20Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
Sim kī Nasl
21Sim Yāfat kā baṛā bhāī thā. Us ke bhī beṭe paidā hue. Sim tamām banī Ibar kā bāp hai.
22Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the.
23Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the.
24Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā.
25Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā.
26Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh, 27Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, 28Ūbāl, Abīmāel, Sabā, 29Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab Yuqtān ke beṭe the. 30Wuh Mesā se le kar Safār aur mashriqī pahāṛī ilāqe tak ābād the.
31Yih sab Sim kī aulād haiṅ, jo apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
32Yih sab Nūh ke beṭoṅ ke qabīle haiṅ, jo apnī nasloṅ aur qaumoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ. Sailāb ke bād tamām qaumeṅ inhīṅ se nikal kar rū-e-zamīn par phail gaīṅ.

Terpilih Sekarang Ini:

Paidāish 10: GVR

Highlight

Kongsi

Salin

None

Ingin menyimpan sorotan merentas semua peranti anda? Mendaftar atau log masuk