Zabúr 10

10
DASWÍṈ ZABÚR.
Dáúd Ḳhudá kí ạdam-tawajjuhí aur apne dushmanoṉ ke bug̣z ke sabab se faryád karke (1—11), duạ́ mángtá hai ki yih donoṉ shikáyateṉ rafạ kí jáen (12—15), aur use ịtiqád hai ki Ḳhudá merí duạ́ mustajáb farmáegá (16—18).
1Ai Yahowáh, tú kis liye dur khaṛá rahtá hai, tangí ke waqtoṉ meṉ apne taíṉ chhipátá hai? 2Sharír ke g̣urúr se musíbatzada jaltá hai; wuh#10:2 Yạne, musíbatzada. un bandishoṉ meṉ jo unhoṉ#10:2 Yạne, sharíroṉ. ne íjád kí haiṉ, giriftár hote haiṉ. 3Kyúṉki sharír apní ḳhwáhish i nafsání par faḳhr kiyá kartá hai, aur apná matlab hásil karke Yahowáh ko mubárak kahtá, aur us kí tahqír kartá hai. Sharír apní sarbalandí meṉ Ḳhudá ká tálib na hogá. 4Us ke sáre ḳhiyál yih haiṉ, ki “Ḳhudá hai hí nahíṉ.” 5Us kí ráheṉ har waqt qáim rahtí haiṉ. Terí ạdálateṉ us ke sámhne se baland haiṉ. Wuh apne sáre dushmanoṉ par phúnk mártá hai. 6Us ne apne dil meṉ kahá hai, ki “Maiṉ na ṭalúṉgá; pusht dar pusht maiṉ wahí húṉ jo badbaḳhtí meṉ na paṛúṉgá”! 7Us ká muṉh lạnat aur dag̣ábázíoṉ aur zulm se bhará hai. Us kí zabán ke tale ziyáṉ aur badí haiṉ. 8Wuh dihát ke ḍhúkoṉ meṉ baiṭhtá hai; poshída jagahoṉ meṉ begunáh ko qatl kartá hai; us kí ánkheṉ musíbatzada ke liye chhiptí haiṉ. 9Wuh sher ke mánind, jo apní jháṛí meṉ ho, poshída jagah meṉ ghát meṉ rahtá hai; wuh musíbatzada ke pakaṛne ke liye ták meṉ rahtá hai; musíbatzada ko apne jál meṉ khainchke pakaṛtá hai.
10Aur wuh#10:10 Yạne, musíbatzada. dabke baiṭh játá hai; aur us ke #10:10 Yạne, sharír ke. zabardastoṉ se musíbatzada gir paṛte haiṉ. 11Us ne apne dil meṉ kahá hai, ki “Qádir i Mutlaq bhúl gaya, us ne apná muṉh chhipáyá hai, us ne hargiz nahín dekhá.”
12Ai Yahowáh, uṭh! Ai Qádir i Mutlaq, apná háth baṛhá! 13Musíbat-zadoṉ ko na bhúl! Kis sabab se sharír ne Ḳhudá kí tahqír kí aur apne dil meṉ kahá hai, ki “Tú pursish na karegá”? 14Tú ne dekhá hai; kyúṉki Tú ziyáṉ aur khijáhaṭ ko dekhtá hai, táki apne háth meṉ rakhe. Musíbatzada tujh par apná bojh chhoṛtá hai. Yatím ká madadgár Tú hí húá hai. 15Sharír ká bázú toṛ, aur bad ádmí kí sharárat ko tú ḍhúnḍhegá aur use na páegá.
16Yahowáh abad-ul-ábád bádsháh rahegá. Qaumeṉ us kí zamín se halák húíṉ. 17Ai Yahowáh, tú ne halímoṉ kí ḳhwáhish suní hai; tú un ke diloṉ ko mazbút karegá; apná kán dharke sunegá; 18táki yatím aur mazlúm ká insáf kare. Insán i fání, jo zamín se hai, aur ziyáda muqábala na karegá.

Terpilih Sekarang Ini:

Zabúr 10: URDRPS

Highlight

Kongsi

Salin

None

Ingin menyimpan sorotan merentas semua peranti anda? Mendaftar atau log masuk