Phir Īsā ne rassiyoṅ kā koṛā banā kar sab ko Baitul-muqaddas se nikāl diyā. Us ne bheṛoṅ aur gāy-bailoṅ ko bāhar hāṅk diyā, paise badalne wāloṅ ke sikke bikher die aur un kī mezeṅ ulaṭ dīṅ. Kabūtar bechne wāloṅ ko us ne kahā, “Ise le jāo. Mere Bāp ke ghar ko manḍī meṅ mat badlo.”