Lúqá 24
24
1lekin hafte ke pahle din wuh subh sawere hí un ḳhushbúdár chízoṉ ko, jo taiyár kí thíṉ, lekar qabr par áíṉ; 2aur patthar ko qabr par se luṛhká húá páyá; 3magar andar jáke Ḳhudáwand Yisúʻ kí lásh na páí. 4Aur aisá húá ki jab wuh is bát se hairán thíṉ, to dehko, do shaḳhs barráq poshák pahine un ke pás á khaṛe húe. 5Jab wuh ḍar gayíṉ, aur apne sir zamín par jhukáe, to unhoṉ ne un se kahá, ki Zinde ko murdoṉ meṉ kyúṉ ḍhúṉḍhtí ho? 6Wuh yaháṉ nahíṉ, balki jí uṭhá hai; yád karo, ki jab wuh Galíl meṉ thá, to us ne tum se kahá thá; 7Zarúr hai, ki Ibn i Ádam gunahgároṉ ke háth meṉ hawále kiyá jáe, aur salíb diyá jáe, aur tísre din jí uṭhe. 8Us kí báteṉ unheṉ yád áíṉ; 9aur qabr se lauṭkar unhoṉ ne un gyárah aur báqí sab logoṉ ko in sab bátoṉ kí ḳhabar dí. 10Jinhoṉ ne rasúloṉ se yih báteṉ kahíṉ, wuh Maryam Magdalíní aur Yoanna, aur Yaʻqúb kí máṉ Maryam, aur un ke sáth kí báqí ʻaurateṉ thíṉ. 11Magar yih báteṉ unheṉ kahání sí maʻlúm húiṉ, aur unhoṉ ne un ká yaqín na kiyá. 12Is par Patras uṭhkar qabr tak dauṛá gayá; aur jhukkar nazar kí aur dekhá, ki sirf kafn hí kafn hai; aur is májare se taʻajjub kartá húá apne ghar chalá gayá.
13Aur dekho, usí din un meṉ se do ádmí us gaṉw kí taraf já rahe the, jis ká nám Immáús hai; wuh Yarúshalem se koí sát míl ke fásile par hai. 14Aur wuh in sab bátoṉ kí bábat, jo wáqiʻ húí thíṉ, ápas meṉ bátchít karte játe the. 15Jab wuh bátchít aur púchhpáchh kar rahe the, to aisá húá ki Yisúʻ áp nazdík ákar un ke sáth ho liyá. 16Lekin un kí áṉkheṉ band kí gayí thíṉ, ki us ko na pahcháneṉ. 17Us ne un se kahá; Yih kyá báteṉ haiṉ, jo tum chalte chalte ápas meṉ karte ho? Wuh gamgín se khaṛe ho gaye. 18Phir ek ne jis ká nám Kliyupás thá, jawáb meṉ us se kahá; Kyá tú Yarúshalem meṉ akelá musáfir hai jo nahíṉ jántá, ki in dinoṉ us meṉ kyá kyá húá hai? 19Usne un se kahá; Kyá húá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Yisúʻ Násarí ká májará, jo Ḳhudá aur sárí ummat ke nazdík kám aur kalám meṉ qudratwálá nabí thá; 20aur sardár káhinoṉ aur hamáre hákimoṉ ne us ko pakaṛwá diyá, táki us par qatl ká hukm diyá jae; aur use salíb diláí; 21lekin ham ko ummed thí, ki Isráíl ko maḳhlasí yihí degá. Aur ʻaláwa in sab bátoṉ ke, is májare ko áj tísrá din ho gayá; 22aur ham meṉ se chand ʻauratoṉ ne bhí ham ko hairán kar diyá hai, jo sawere hí qabr par gayí thíṉ: 23aur jab us kí lásh na páí, to yih kahtí húí áíṉ, ki Ham ne royá meṉ firishtoṉ ko bhí dekhá: unhoṉ ne kahá, ki wuh zinda hai. 24Aur baʻz hamáre sáthiyoṉ meṉ se qabr par gaye, aur jaisá ʻauratoṉ ne kahá thá, waisá hí páyá, magar us ko na dekhá. 25Us ne un se kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ. 28Itne meṉ wuh us gáṉw ke nazdík pahuṉch gaye, jaháṉ játe the: aur us ke ḍhang se aisá maʻlúm húá, ki wuh áge baṛhná cháhtá hai. 29Unhoṉ ne use yih kahkar majbúr kiyá, ki Hamáre sáth rah, kyúṉki shám húá cháhtí hai, aur din ab bahut ḍhal gayá. Pas wuh andar gayá, táki un ke sáth rahe. 30Jab wuh un ke sáth kháná kháne baiṭhá, to aisá húá ki us ne roṭí lekar barakat cháhí, aur toṛkar un ko dene lagá. 31Is par un kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur unhoṉ ne us ko pahchán liyá; aur wuh un kí nazar se gáib ho gayá. 32Unhoṉ ne ápas meṉ kahá, ki Jab wuh ráh meṉ ham se báteṉ kartá, aur ham par nawishtoṉ ká bhed kholtá thá, to kyá hamáre dil josh meṉ na bhar gaye the? 33Pas wuh usí ghaṛí uṭhkar Yarúshalem ko lauṭ gaye; aur un gyárah aur un ke sáthiyoṉ ko ikaṭṭhá páyá. 34Wuh kah rahe the, ki Ḳhudáwand beshakk jí uṭhá, aur Shamaʻún ko dikháí diyá hai. 35Aur unhoṉ ne ráh ká hál bayán kiyá, aur yih bhí, ki use roṭí toṛte waqt kis tarah pahcháná.
36Wuh yih báteṉ kar hí rahe the, ki Yisúʻ áp un ke bích meṉ á khaṛá húá, aur un se kahá; Tumhárí salámatí ho. 37Magar unhoṉ ne ghabrákar aur ḳhauf khákar yih samjhá, ki kisí rúh ko dekhte haiṉ. 38Us ne un se kahá; ki Tum kyúṉ ghabráte ho? aur kis wáste tumháre dil meṉ shakk paidá hote haiṉ? 39Mere háth aur mere páṉw dekho, ki maiṉ hí húṉ; mujhe chhúkar dekho; kyúṉki rúh ke gosht aur haḍḍí nahíṉ hotí, jaisá mujh meṉ dekhte ho. 40Aur yih kahkar us ne unheṉ apne háth aur páṉw dikháe. 41Jab máre ḳhushí ke un ko yaqín na áyá, aur taʻajjub karte the, to us ne un se kahá; Kyá yaháṉ tumháre pás kuchh kháne ko hai? 42Unhoṉ ne use bhuní húi machhlí ká qatla diyá. 43Us ne lekar un ke rúbarú kháyá.
44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.
50Phir wuh unheṉ Baitʻaniyyáh ke sámne tak báhar le gayá; aur apne háth uṭhákar unheṉ barakat dí. 51Jab wuh unheṉ barakat de rahá thá, to aisá húá ki un se judá ho gayá, aur ásmán par uṭháyá gayá. 52Aur wuh us ko sijda karke baṛí ḳhushí se Yarúshalem ko lauṭ gaye: 53aur har waqt haikal meṉ házir hokar Ḳhudá kí hamd kiyá karte the.
Selectat acum:
Lúqá 24: URDR55
Evidențiere
Partajează
Copiază
Dorești să ai evidențierile salvate pe toate dispozitivele? Înscrie-te sau conectează-te
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Află mai multe despre Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)