1
Zabúr 32:8
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Maiṉ tujhe tạlím dúṉgá aur jis ráh par tú chalegá terí rahnumáí karúṉgá; maiṉ tujhe saláh dúṉgá, merí áṉkh tujh par lagí rahegí.
Linganisha
Chunguza Zabúr 32:8
2
Zabúr 32:7
Tú hí mere liye áṛ hai; tú mujhe tangí se mahfúz rakhegá; riháí kí tarannumát se mujhe gheregá. Siláh.
Chunguza Zabúr 32:7
3
Zabúr 32:5
Maiṉ ne kahá ki “Apní ḳhatá tujh par zahir karúṉgá,” aur apní badí nahíṉ chhipáí; maiṉ ne kahá, ki “Yahowáh ke áge apne gunáhoṉ ká iqrár karúṉgá,” aur Tú hí ne merí ḳhatá kí badí ko muáf kiyá. Siláh.
Chunguza Zabúr 32:5
4
Zabúr 32:1
Wuh kyá hí mubárak hai, jis ká gunah baḳhshá gaya, jis kí ḳhatá dhámpí gaí!
Chunguza Zabúr 32:1
5
Zabúr 32:2
Wuh ádmí kyá hí mubárak hai, jis ke liye Yahowáh badí mahsúb nahíṉ kartá, aur us kí ruh meṉ kuchh makr nahíṉ hai!
Chunguza Zabúr 32:2
6
Zabúr 32:6
Isí liye har ek muqaddas jab tak tú mil saktá hai, terí taraf rujụ́ hoke duạ́ kare; yaqínan jab baṛe páníoṉ ke sailáb hoṉ, tab us tak na pahunchenge.
Chunguza Zabúr 32:6
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video