1
Zabúr 91:2
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Maiṉ Yahowáh se kahúṉgá, kí “Merí já i panáh aur mera hisár, mera Ḳhudá Tú hi hai, jis par maiṉ bharosa rakhúṉgá.”
Linganisha
Chunguza Zabúr 91:2
2
Zabúr 91:1
Haqq Taạ́lá ke parde meṉ baiṭhnewálá Qádir i Mutlaq ke sáye tale rahá karegá.
Chunguza Zabúr 91:1
3
Zabúr 91:15
Wuh mujhe pukáregá aur maiṉ us kí sunúṉgá. Tangí meṉ Maiṉ us ke sáth húṉ. Maiṉ use chhuṛáúṉgá aur use ịzzat bakhshúngá.
Chunguza Zabúr 91:15
4
Zabúr 91:11
Kyúṉki wuh tere liye apne firishtoṉ ho hukm karegá, táki terí sárí ráhoṉ méṉ terí hifázat kareṉ.
Chunguza Zabúr 91:11
5
Zabúr 91:4
Wuh apne par se tujhe ḍhámp legá, aur us ke bázúoṉ ke tale tú panáh páegá; us kí amánatdárí sipar aur ḍhál hai.
Chunguza Zabúr 91:4
6
Zabúr 91:9-10
Kyúṉki, Ai Yahowáh, Tú hí merí já i panáh hai. Tú ne Haqq Taạ́lá ko apná maskan ṭhahráyá hai. Áfat tujh tak áne na páegí, aur wabá tere ḳhaime meṉ qurbat na páegí.
Chunguza Zabúr 91:9-10
7
Zabúr 91:3
Kyúṉki wuh tujhe saiyád ke phande se, aur kharábíoṉ kí wabá se riháí baḳhshegá.
Chunguza Zabúr 91:3
8
Zabúr 91:7
Terí bag̣al meṉ hazár girenge, aur tere dahne háth hazárhá hazár; par yih halákat tujh tak na pahunchegí.
Chunguza Zabúr 91:7
9
Zabúr 91:5-6
Tú rát kí haibat se na ḍaregá, aur na us tír se jo din ko uṛtá hai; na us wabá se jo andhere meṉ chaltí hai, na us marí se jo do pahar ko wírán kartí hai.
Chunguza Zabúr 91:5-6
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video