Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 2

2
1Aur Láwí ke gharáne ke ek shaḳhs ne jákar Láwí kí nasl kí ek ‘aurat se biyáh kiyá. 2Wuh ‘aurat hámila húí, aur us ke beṭá húá; aur us ne yih dekhkar ki bachcha ḳhúbsúrat hai tín mahíne tak use chhipákar rakkhá. 3Aur jab use âur ziyáda chhipá na sakí, to us ne sarkanḍoṉ ká ek ṭokrá liyá, aur us par chikní miṭṭí aur rál lagákar laṛke ko us meṉ rakkhá; aur use daryá ke kanáre jháú meṉ chhoṛ áí. 4Aur us kí bahin dúr khaṛí rahí, táki dekhe ki us ke sáth kyá hotá hai. 5Aur Fir‘aun kí beṭí daryá par g̣usl karne áí, aur us kí saheliyáṉ daryá ke kanáre kanáre ṭahlne lagíṉ. Tab us ne jháú meṉ wuh ṭokrá dekhkar apní sahelí ko bhejá, ki use uṭhá láe. 6Jab us ne use kholá, to laṛke ko dekhá, aur wuh bachcha ro rahá thá. Use us par rahm áyá, aur kahne lagí, Yih kisí ‘Ibrání ká bachcha hai. 7Tab us kí bahin ne Fir‘aun kí beṭí se kahá, Kyá maiṉ jákar ‘Ibrání ‘auratoṉ meṉ se ek dáí tere pás bulá láún, jo tere liye is bachche ko dúdh piláyá kare? 8Fir‘aun kí beṭí ne us se kahá, Já. Wuh laṛkí jákar bachche kí máṉ ko bulá láí. 9Fir‘aun kí beṭí ne us se kahá, ki Tú is bachche ko le jákar mere liye dúdh pilá; maiṉ tujhe terí ujrat diyá karúṉgí. Wuh ‘aurat us bachche ko le jákar dúdh piláne lagí. 10Jab bachcha kuchh baṛá húá to wuh use Fir‘aun kí beṭí ke pás le gayí, aur wuh us ká beṭá ṭhahrá: aur us ne us ká nám Músá yih kahkar rakkhá, ki Maiṉ ne use pání se nikálá.
11Itne meṉ jab Músá baṛá húá, to báhar apne bháiyoṉ ke pás gayá, aur un kí mashaqqatoṉ par us kí nazar paṛí aur us ne dekhá, ki ek Misrí us ke ek ‘Ibrání bháí ko már rahá hai. 12Phir us ne idhar udhar nigáh kí, aur jab dekhá ki waháṉ koí dúsrá ádmí nahíṉ hai, to us Misrí ko ján se márkar use ret meṉ chhipá diyá. 13Phir dúsre din wuh báhar gayá, aur dekhá ki do ‘Ibrání ápas meṉ márpíṭ kar rahe haiṉ; tab us ne use jis ká qusúr thá kahá, ki Tú apne sáthí ko kyúṉ mártá hai? 14Us ne kahá, Tujhe kis ne ham par hákim yá munsif muqarrar kiyá? Kyá jis tarah tú ne us Misrí ko már ḍálá, mujhe bhí már ḍálná cháhtá hai? Tab Músá yih sochkar ḍará, ki Bilá shakk yih bhed fásh ho gayá. 15Jab Fir‘aun ne yih suná, to cháhá, ki Músá ko qatl kare; par Músá Fir‘aun ke huzúr se bhágkar mulk i Midyán meṉ já basá. Waháṉ wuh ek kúeṉ ke nazdík baiṭhá thá. 16Aur Midyán ke káhin kí sát beṭiyáṉ thíṉ; wuh áíṉ, aur pání bhar bharkar kaṭhroṉ meṉ ḍálne lagíṉ, táki apne báp kí bheṛ bakriyoṉ ko piláeṉ. 17Aur gaḍariye ákar un ko bhagáne lage; lekin Músá khaṛá ho gayá, aur us ne un kí madad kí, aur un kí bheṛ bakriyoṉ ko pání piláyá. 18Aur jab wuh apne báp Ra‘úel ke pás lauṭíṉ, to us ne púchhá, ki Áj tum is qadr jald kaise á gayíṉ? 19Unhoṉ ne kahá, Ek Misrí ne ham ko gaḍariyoṉ ke háth se bacháyá, aur hamáre badle pání bhar bharkar bheṛ bakriyoṉ ko piláyá. 20Us ne apní beṭiyoṉ se kahá, ki Wuh ádmí kaháṉ hai? tum use kyúṉ chhoṛ áíṉ; use bulá láo, ki roṭí kháe. 21Aur Músá us shaḳhs ke sath rahne ko rází ho gayá. Tab us ne apní beṭí Saffúrah Músá ko biyáh dí. 22Aur us ke ek beṭá húá; aur Músá ne us ká nám Jairsom rakkhá, yih kahkar, ki Maiṉ ajnabí mulk meṉ musáfir húṉ.
23Aur ek muddat ke ba‘d yúṉ húá, ki Misr ká bádsháh mar gayá: aur baní Isráíl apní g̣ulámí ke sabab se áh bharne lage, aur roe; aur un ká roná, jo un kí g̣ulámí ke bá‘is thá, Ḳhudá tak pahuṉchá. 24Aur Ḳhudá ne un ká karáhná suná; aur Ḳhudá ne apne ‘ahd ko, jo Abrahám, aur Izháq, aur Ya‘qúb ke sáth thá, yád kiyá. 25Aur Ḳhudá ne baní Isráíl par nazar kí, aur un ke hál ko ma‘lúm kiyá.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 2: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia