Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 3

3
1Aur Músá apne ḳhusar Yitro kí, jo Midyán ká káhin thá, bheṛ bakriyáṉ charátá thá, aur wuh bheṛ bakriyoṉ ko haṉkátá húá un ko biyábán kí par lí taraf se Ḳhudá ke paháṛ Horib ke nazdík le áyá. 2Aur Ḳhudáwand ká firishta ek jháṛí meṉ se ág ke shu‘le meṉ us par záhir húá: us ne nigáh kí, aur kyá dekhtá hai, ki ek jháṛí meṉ ág lagí húí hai, par wuh jháṛí bhasam nahíṉ húí. 3Tab Músá ne kahá, Maiṉ ab zará udhar katrákar is baṛe manzar ko dekhúṉ, ki yih jháṛí kyúṉ nahíṉ jal játí. 4Jab Ḳhudáwand ne dekhá, ki wuh dekhne ko katrákar á rahá hai, to Ḳhudá ne use jháṛí meṉ se pukárá, aur kahá, Ai Músá, ai Músá! Us ne kahá, Maiṉ házir húṉ. 5Tab us ne kahá, Idhar pás mat á; apne páṉwoṉ se jútá utár; kyúṉki jis jagah tú khaṛá hai wuh muqaddas zamín hai. 6Phir us ne kahá, ki Maiṉ tere báp ká Ḳhudá, ya‘ní Abrahám ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá, aur Ya‘qúb ká Ḳhudá húṉ. Músá ne apná muṉh chhipáyá, kyúṉki wuh Ḳhudá par nazar karne se ḍartá thá. 7Aur Ḳhudáwand ne kahá, Maiṉ ne apne logoṉ kí taklíf, jo Misr meṉ haiṉ, ḳhúb dekhí, aur un kí faryád, jo begár lenewáloṉ ke sabab se hai, suní; aur maiṉ un ke dukhoṉ ko jántá húṉ: 8aur maiṉ utrá húṉ, ki un ko Misríoṉ ke háth se chhuṛáúṉ, aur us mulk se nikálkar un ko ek achchhe aur wasí‘ mulk meṉ, jaháṉ dúdh aur shahd bahtá hai, ya‘ní Kan‘áníoṉ, aur Hittíoṉ, aur Amoríoṉ, aur Farizzíoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ ke mulk meṉ, pahuṉcháúṉ. 9Dekh, baní Isráíl kí faryád mujh tak pahuṉchí hai, aur maiṉ ne wuh zulm bhí, jo Misrí un par karte haiṉ, dekhá hai. 10So ab á; maiṉ tujhe Fir‘aun ke pás bhejtá húṉ, ki tú merí qaum baní Isráíl ko Misr se nikál láe. 11Músá ne Ḳhudá se kahá, Maiṉ kaun húṉ, jo Fir‘aun ke pás jáúṉ, aur baní Isráíl ko Misr se nikál láún? 12Us ne kahá, Maiṉ zarúr tere sáth rahúṉgá, aur is ká, ki maiṉ ne tujhe bhejá hai, tere liye yih nishán hogá, ki jab tú un logoṉ ko Misr se nikál láegá, to tum is paháṛ par Ḳhudá kí ‘ibádat karoge. 13Tab Músá ne Ḳhudá se kahá, Jab maiṉ baní Isráíl ke pás jákar un ko kahúṉ, ki Tumháre bápdádá ke Ḳhudá ne mujhe tumháre pás bhejá hai; aur wuh mujhe kaheṉ, ki Us ká nám kyá hai? to maiṉ un ko kyá batáúṉ? 14Ḳhudá ne Músá se kahá, MAIṈ JO HÚṈ, SO MAIṈ HÚṈ. So tú baní Isráíl se yúṉ kahná, ki MAIṈ JO HÚṈ ne mujhe tumháre pás bhejá hai. 15Phir Ḳhudá ne Músá se yih bhí kahá, ki Tú baní Isráíl se yúṉ kahná, ki Ḳhudáwand, tumháre bápdádá ke Ḳhudá, Abrahám ke Ḳhudá, aur Izháq ke Ḳhudá, aur Ya‘qúb ke Ḳhudá ne mujhe tumháre pás bhejá hai; abad tak merá yihí nám hai, aur sab nasloṉ meṉ isí se merá zikr hogá. 16Jákar Isráílí buzurgoṉ ko ek jagah jama‘ kar, aur un ko kah, ki Ḳhudáwand, tumháre bápdádá ke Ḳhudá, Abrahám, aur Izháq, aur Ya‘qúb ke Ḳhudá ne mujhe dikháí dekar yih kahá hai, ki Maiṉ ne tum ko bhí, aur jo kuchh bartáo tumháre sáth Misr meṉ kiyá já rahá hai, use bhí ḳhúb dekhá hai. 17Aur maiṉ ne kahá hai, ki Maiṉ tum ko Misr ke dukh meṉ se nikálkar Kan‘áníoṉ, aur Hittíoṉ, aur Amoríoṉ, aur Farizzíoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ ke mulk meṉ le chalúṉgá, jaháṉ dúdh aur shahd bahtá hai. 18Aur wuh terí bát máneṉge, aur tú Isráílí buzurgoṉ ko sáth lekar Misr ke bádsháh ke pás jáná aur us se kahná, ki Ḳhudáwand ‘Ibráníoṉ ke Ḳhudá kí ham se muláqát húí, ab tú ham ko tín din kí manzil tak biyábán meṉ jáne de, táki ham Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke liye qurbání kareṉ. 19Aur maiṉ jántá húṉ, ki Misr ká bádsháh tum ko na yúṉ jáne degá, na baṛe zor se. 20So maiṉ apná háth baṛháúṉgá aur Misr ko un sab ‘ajáib se, jo maiṉ us meṉ karúṉgá, musíbat meṉ ḍál dúṉgá. Is ke ba‘d wuh tum ko jáne degá. 21Aur maiṉ un logoṉ ko Misríoṉ kí nazar meṉ ‘izzat baḳhshúṉgá; aur yúṉ hogá, ki jab tum nikloge, to ḳhálí háth na nikloge. 22Balki tumhárí ek ek ‘aurat apní apní paṛausin se, aur apne apne ghar kí mihmán se sone chándí ke zewar aur libás máṉg legí; in ko tum apne beṭoṉ aur beṭiyoṉ ko pahináoge, aur Misríoṉ ko luṭ loge.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 3: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia