Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 33

33
1Aur Ya‘qúb ne apní áṉkheṉ uṭhákar nazar kí, aur kyá dekhtá hai, ki ‘Esau chár sau ádmí sáth liye chalá á rahá hai. Tab us ne Leáh, aur Ráḳhil aur donoṉ lauṉḍiyoṉ ko bachche báṉṭ diye: 2aur lauṉḍiyoṉ aur un ke bachchoṉ ko sab se áge, aur Leáh aur us ke bachchoṉ ko píchhe, aur Ráḳhil aur Yúsuf ko sab se píchhe rakkhá. 3Aur wuh ḳhud un ke áge ágé chalá, aur apne bháí ke pás pahuṉchte pahuṉchte sát bár zamín tak jhuká. 4Aur ‘Esau us se milne ko dauṛá aur us se bag̣algír húá aur use gale lagáyá aur chúmá; aur wuh donoṉ roe. 5Phir us ne áṉkheṉ uṭháíṉ, aur ‘auratoṉ aur bachchoṉ ko dekhá, aur kahá, ki Yih tere sáth kaun haiṉ? Us ne kahá, Yih wuh bachche haiṉ, jo Ḳhudá ne tere ḳhádim ko ‘ináyat kiye haiṉ. 6Tab lauṉḍiyáṉ aur un ke bachche nazdík áe, aur apne áp ko jhukáyá. 7Phir Leáh apne bachchoṉ ke sáth nazdík áí, aur wuh jhuke: áḳhir ko Yúsuf aur Ráḳhil pás áe, aur unhoṉ ne apne áp ko jhukáyá. 8Phir us ne kahá, ki Us baṛe g̣ol se, jo mujhe milá, terá kyá matlab hai? Us ne kahá, Yih ki maiṉ apne ḳhudáwand kí nazar meṉ maqbúl ṭhahrúṉ. 9Tab ‘Esau ne kahá, Mere pás bahut hai, so, ai mere bhái, jo terá hai wuh terá hí rahe. 10Ya‘qúb ne kahá, Nahíṉ, agar mujh par tere karam kí nazar húí hai, to merá nazrána mere háth se qubúl kar, kyúṉki main ne to terá muṉh aisá dekhá, jaisá koí Ḳhudá ká muṉh dekhtá hai, aur tú mujh se rází húá. 11So merá nazrána jo tere huzúr pesh húá use qubúl kar le; kyúṉki Ḳhudá ne mujh par baṛá fazl kiyá hai, aur mere pás sab kuchh hai. G̣araz, us ne use majbúr kiyá; tab us ne use le liyá. 12Aur us ne kahá, ki Ab ham kúch kareṉ aur chal paṛeṉ, aur maiṉ tere áge áge ho lúṉgá. 13Us ne use jawáb diyá, Merá ḳhudáwand jántá hai, ki mere sáth názuk bachche aur dúdh pilánewálí bheṛ bakriyáṉ, aur gáeṉ haiṉ: agar unheṉ ek din bhí hadd se ziyáda haṉkáeṉ, to sab bheṛ bakriyáṉ mar jáeṉgí. 14So merá ḳhudáwand apne ḳhádim se peshtar rawána ho jáe, aur maiṉ chaupáyoṉ aur bachchoṉ kí raftár ke mutábiq áhista áhista chaltá húá apne ḳhudáwand ke pás Sha‘ír meṉ á jáúṉgá. 15Tab ‘Esau ne kahá, ki Marzí ho, to maiṉ jo log mere hamráh haiṉ un meṉ se thoṛe tere sáth chhoṛtá jáúṉ. Us ne kahá, Is kí kyá zarúrat hai? Mere ḳhudáwand kí nazar i karam mere liye káfí hai. 16Tab ‘Esau usí roz ulṭe páṉw Sha‘ír ko lauṭá. 17Aur Ya‘qúb safar kartá húá Sukkát meṉ áyá, aur apne liye ek ghar banáyá, aur apne chaupáyoṉ ke liye jhoṉpṛe khaṛe kiye. Isí sabab se is jagah ká nám Sukkát paṛ gayá.
18Aur Ya‘qúb jab Faddán Arám se chalá to mulk i Kan‘án ke ek shahr Sikm ke nazdík sahíh o salámat pahuṉchá, aur us shahr ke sámne apne ḍere lagáe. 19Aur zamín ke jis qit‘a par us ne apná ḳhaima khaṛá kiyá thá, use us ne Sikm ke báp Hamor ke laṛkoṉ se chándí ke sau sikke dekar ḳharíd liyá. 20Aur us ne waháṉ ek mazbah banáyá, aur us ká nám El Iláh i Isráíl rakkhá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 33: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia