Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 34

34
1Aur Leáh kí beṭí Dínah, jo Ya‘qúb se us ke paidá húí thí, us mulk kí laṛkiyoṉ ke dekhne ko báhar gayí. 2Tab us mulk ke amír Hawwí Hamor ke beṭe Sikm ne use dekhá, aur use le jákar us ke sáth mubásharat kí aur use zalíl kiyá. 3Aur us ká dil Ya‘qúb kí beṭí Dínah se lag gayá, aur us ne us laṛkí se ‘ishq meṉ míṭhí míṭhí báteṉ kíṉ. 4Aur Sikm ne apne báp Hamor se kahá, ki Is laṛkí ko mere liye biyáh lá de. 5Aur Ya‘qúb ko ma‘lúm húá ki us ne us kí beṭí Dínah ko behurmat kiyá hai. Par us ke beṭe chaupáyoṉ ke sáth jangal meṉ the; so Ya‘qúb un ke áne tak chupká rahá. 6Tab Sikm ká báp Hamor nikalkar Ya‘qúb se bát chít karne ko us ke pás gayá. 7Aur Ya‘qúb ke beṭe yih bát sunte hí jangal se áe. Yih mard baṛe ranjída aur g̣azabnák the, kyúṉki us ne jo Ya‘qúb kí beṭí se mubásharat kí to baní Isráíl meṉ aisá makrúh fi‘l kiyá, jo hargiz munásib na thá. 8Tab Hamor un se kahne lagá, ki Merá beṭá Sikm tumhárí beṭí ko dil se cháhtá hai. Use us ke sáth biyáh do. 9Ham se samdhiyána kar lo; apní beṭiyáṉ ham ko do, aur hamárí beṭiyáṉ áp lo; 10to tum hamáre sáth base rahoge, aur yih mulk tumháre sámne hai; is meṉ búdobásh aur tijárat karná aur apní apní jáedádeṉ khaṛí kar lená. 11Aur Sikm ne is laṛkí ke báp aur bháiyoṉ se kahá, ki Mujh par bas tumháre karam kí nazar ho jáe, phir jo kuchh tum mujh se kahoge, maiṉ dúṉgá; 12maiṉ tumháre kahne ke mutábiq jitná mahr aur jahez tum mujh se talab karo dúṉgá: lekin laṛkí ko mujh se biyáh do. 13Tab Ya‘qúb ke beṭoṉ ne is sabab se, ki us ne un kí bahin Dínah ko behurmat kiyá thá, riyá se Sikm aur us ke báp Hamor ko jawáb diyá, 14aur kahne lage, ki Ham yih nahíṉ kar sakte, ki námaḳhtún mard ko apní bahin deṉ, kyúṉki is meṉ hamárí baṛí ruswáí hai. 15Lekin jaise ham haiṉ agar tum waise hí ho jáo, ki tumháre har mard ká ḳhatna kar diyá jáe, to ham rází ho jáeṉge. 16Aur ham apní beṭiyáṉ tumheṉ deṉge, aur tumhárí beṭiyáṉ leṉge, aur tumháre sáth raheṉge, aur ham sab ek qaum ho jáeṉge. 17Aur agar tum ḳhatna karáne ke liye hamárí bát na máno, to ham apní laṛkí lekar chale jáeṉge. 18Un kí báteṉ Hamor aur us ke beṭe Sikm ko pasand áíṉ. 19Aur us jawán ne is kám meṉ táḳhír na kí; kyúṉki use Ya‘qúb kí beṭí ká ishtiyáq thá: aur wuh apne báp ke sáre gharáne meṉ sab se mu‘azzaz thá. 20Phir Hamor aur us ká beṭá Sikm, apne shahr ke pháṭak par gaye, aur apne shahr ke logoṉ se yúṉ guftogú karne lage, ki 21Yih log ham se mel jol rakhte hain; pas wuh is mulk meṉ rahkar saudágarí kareṉ; kyúṉki is mulk meṉ un ke liye bahut gunjáish hai, aur ham un kí beṭiyáṉ biyáh leṉ, aur apní beṭiyáṉ un ko deṉ. 22Aur wuh bhí hamáre sáth rahne aur ek qaum ban jáne ko rází haiṉ, magar faqat is shart par ki ham meṉ se har mard ká ḳhatna kiyá jáe, jaise un ká húá hai. 23Kyá un ke chaupáye aur mál aur sab jánwar hamáre na ho jáeṉge? Ham faqat un kí mán leṉ aur wuh hamáre sáth rahne lageṉge. 24Tab un sabhoṉ ne, jo us ke shahr ke pháṭak se áyá jáyá karte the, Hamor aur us ke beṭe Sikm kí bát mání, aur jitne us ke shahr ke pháṭak se ámad o raft karte the, un meṉ se har mard ne ḳhatna karáyá. 25Aur tísre din, jab wuh dard meṉ mubtalá the, to yúṉ húá, ki Ya‘qúb ke beṭoṉ meṉ se Dínah ke do bháí, Shama‘ún aur Láwí, apní apní talwáreṉ lekar nágahán shahr par á paṛe, aur sab mardoṉ ko qatl kiyá. 26Aur Hamor aur us ke beṭe Sikm ko bhí talwár se qatl kar ḍálá, aur Sikm ke ghar se Dínah ko nikál le gaye. 27Aur Ya‘qúb ke beṭe maqtúloṉ par áe, aur shahr ko lúṭá, is liye ki unhoṉ ne un kí bahin ko behurmat kiyá thá. 28Unhoṉ ne un kí bheṛ bakriyáṉ, aur gáe bail, aur gadhe, aur jo kuchh shahr aur khet meṉ thá le liyá. 29Aur un kí sab daulat lúṭí aur un ke bachchoṉ aur bíwiyoṉ ko asír kar liyá, aur jo kuchh ghar meṉ thá sab lúṭ ghasúṭkar le gaye. 30Tab Ya‘qúb ne Shama‘ún aur Láwí se kahá, ki Tum ne mujhe kuṛháyá, kyúṉki tum ne mujhe is mulk ke báshindoṉ, ya‘ní Kan‘áníoṉ aur Farizzíoṉ meṉ nafratangez baná diyá, kyúṉki mere sáth to thoṛe hí ádmí haiṉ, so wuh milkar mere muqábale ko áeṉge aur mujhe qatl kar deṉge, aur maiṉ apne gharáne samet barbád ho jáúṉgá. 31Unhon ne kahá, To kyá, use munásib thá ki wuh hamárí bahin ke sáth kasbí kí tarah bartáo kartá?

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 34: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia