Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 41

41
1Púre do baras ke ba‘d Fir‘aun ne ḳhwáb meṉ dekhá, ki wuh lab i daryá khaṛá hai, 2aur us daryá meṉ se sát ḳhúbsúrat aur moṭí moṭí gáeṉ nikalkar naistán meṉ charne lagíṉ. 3Un ke ba‘d âur sát badshakl aur dublí dublí gáeṉ daryá se niklíṉ, aur dúsrí gáeoṉ ke barábar daryá ke kanáre já khaṛí húíṉ. 4Aur yih badshakl aur dublí dublí gáeṉ un sátoṉ ḳhúbsúrat aur moṭí moṭí gáeoṉ ko khá gayíṉ. Tab Fir‘aun jág uṭhá. 5Aur wuh phir so gayá, aur us ne dúsrá ḳhwáb dekhá, ki ek ḍáṉṭhí meṉ anáj kí sát moṭí aur achchhí achchhí báleṉ niklíṉ. 6Un ke ba‘d âur sát patlí aur púrabí hawá kí márí murjháí húí báleṉ niklíṉ. 7Yih patlí báleṉ un sátoṉ moṭí aur bharí húí báloṉ ko nigal gayíṉ. Aur Fir‘aun jág gayá, aur use ma‘lúm húá ki yih ḳhwáb thá. 8Aur subh ko yúṉ húá ki us ká jí ghabráyá; tab us ne Misr ke sab jádúgaroṉ aur sab dánishmandoṉ ko bulwá bhejá, aur apná ḳhwáb un ko batáyá; par un meṉ se koí Fir‘aun ke áge un kí ta‘bír na kar saká. 9Us waqt sardár sáqí ne Fir‘aun se kahá, ki Merí ḳhatáeṉ áj mujhe yád áíṉ: 10jab Fir‘aun apne ḳhádimoṉ se náráz thá, aur us ne mujhe aur sardár nánpaz ko jilaudároṉ ke sardár ke ghar meṉ nazarband karwá diyá, 11to maiṉ ne aur us ne, ek hí rát meṉ, ek ek ḳhwáb dekhá; yih ḳhwáb ham ne apne apne honhár ke mutábiq dekhe. 12Waháṉ ek ‘Ibrí jawán, jilaudároṉ ke sardár ká naukar, hamáre sáth thá; ham ne use apne ḳhwáb batáe aur us ne un kí ta‘bír kí, aur ham meṉ se har ek ko hamáre ḳhwáb ke mutábiq us ne ta‘bír batáí. 13Aur jo ta‘bír us ne batáí thí waisá hí húá; kyúṉki mujhe to us ne mere mansab par bahál kiyá thá, aur use pháṉsí dí thí. 14Tab Fir‘aun ne Yúsuf ko bulwá bhejá. So unhoṉ ne jald use qaidḳháne se báhar nikálá; aur us ne hajámat banwáí aur kapṛe badalkar Fir‘aun ke sámne áyá. 15Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, Maiṉ ne ek ḳhwáb dekhá hai jis kí ta‘bír koí nahíṉ kar saktá; aur mujh se tere báre meṉ kahte haiṉ, ki tú ḳhwáb ko sunkar us kí ta‘bír kartá hai. 16Yúsuf ne Fir‘aun ko jawáb diyá, Maiṉ kuchh nahíṉ jántá. Ḳhudá hí Fir‘aun ko salámatíbaḳhsh jawáb degá. 17Tab Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, Maiṉ ne ḳhwáb meṉ dekhá, ki maiṉ daryá ke kanáre khaṛá húṉ: 18aur us daryá meṉ se sát moṭí aur ḳhúbsúrat gáeṉ nikalkar naistán meṉ charne lagíṉ: 19un ke ba‘d âur sát ḳharáb aur niháyat badshakl aur dublí gáeṉ niklíṉ, aur wuh is qadr burí thíṉ ki maiṉ ne sáre mulk i Misr meṉ aisí kabhí nahíṉ dekhíṉ. 20Aur wuh dublí aur badshakl gáeṉ un pahlí sátoṉ moṭí gáeoṉ ko khá gayíṉ; 21aur un ke khá jáne ke ba‘d yih ma‘lúm bhí nahíṉ hotá thá ki unhoṉ ne un ko khá liyá hai, balki wuh pahle kí tarah jaisí kí taisí badshakl rahíṉ. Tab maiṉ jág gayá. 22Aur phir ḳhwáb meṉ dekhá, ki ek ḍáṉṭhí meṉ sát bharí aur achchhí achchhí báleṉ niklíṉ. 23Aur un ke ba‘d âur sát súkhí aur patlí aur púrabí hawá kí márí murjháí húí báleṉ niklíṉ. 24Aur yih patlí báleṉ un sátoṉ achchhí achchhí báloṉ ko nigal gayíṉ: aur maiṉ ne in jádúgaroṉ se is ká bayán kiyá, par aisá koí na niklá jo mujhe is ká matlab batátá. 25Tab Yúsuf ne Fir‘aun se kahá, ki Fir‘aun ká ḳhwáb ek hí hai. Jo kuchh Ḳhudá karne ko hai, use us ne Fir‘aun par záhir kiyá hai. 26Wuh sát achchhí achchhí gáeṉ sát baras haiṉ; aur wuh sát achchhí achchhí báleṉ bhí sát baras haiṉ; ḳhwáb ek hí hai. 27Aur wuh sát badshakl aur dublí gáeṉ jo un ke ba‘d niklíṉ, aur wuh sát ḳhálí aur púrabí hawá kí márí murjháí húí báleṉ bhí sát baras hí haiṉ, magar kál ke sát baras. 28Yih wuhí bát hai, jo maiṉ Fir‘aun se kah chuká húṉ, ki jo kuchh Ḳhudá karne ko hai, use us ne Fir‘aun par záhir kiyá hai. 29Dekh, sáre mulk i Misr meṉ sát baras to paidáwár i kasír ke hoṉge. 30Un ke ba‘d sát baras kál ke áeṉge. Aur tamám mulk i Misr meṉ log is sárí paidáwár ko bhúl jáeṉge, aur yih kál mulk ko tabáh kar degá. 31Aur arzání mulk meṉ yád bhí nahíṉ rahegí; kyúṉki jo kál ba‘d meṉ paṛegá wuh niháyat hí saḳht hogá. 32Aur Fir‘aun ne jo yih ḳhwáb do daf‘a dekhá, to is ká sabab yih hai, ki yih bát Ḳhudá kí taraf se muqarrar ho chukí hai, aur Ḳhudá ise jald púrá karegá. 33Is liye Fir‘aun ko cháhiye, ki ek dánishwar aur ‘aqlmand ádmí ko talásh kar le, aur use mulk i Misr par muḳhtár banáe. 34Fir‘aun yih kare, táki us ádmí ko iḳhtiyár ho, ki wuh mulk meṉ náziroṉ ko muqarrar kar de, aur arzání ke sát barasoṉ meṉ sáre mulk i Misr kí paidáwár ká páṉchwáṉ hissa le le. 35Aur wuh un achchhe barasoṉ meṉ jo áte haiṉ, sab kháne kí chízeṉ jama‘ kareṉ, aur shahr shahr meṉ g̣alla jo Fir‘aun ke iḳhtiyár meṉ ho, ḳhurish ke liye faráham karke us kí hifázat kareṉ. 36Yihí g̣alla mulk ke liye zaḳhíra hogá, aur sátoṉ baras ke liye, jab tak mulk meṉ kál rahegá, káfi hogá, táki kál kí wajh se mulk barbád na ho jáe. 37Yih bát Fira‘ún aur us ke sab ḳhádimoṉ ko pasand áí. 38So Fir‘aun ne apne ḳhádimoṉ se kahá, ki Kyá ham ko aisá ádmí jaisá yih hai, jis meṉ Ḳhudá kí rúh hai, mil saktá hai? 39Aur Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, Chúṉki Ḳhudá ne tujhe yih sab kuchh samjhá diyá hai, is liye terí mánind dánishwar aur ‘aqlmand koí nahíṉ. 40So tú mere ghar ká muḳhtár hogá, aur merí sárí ra‘áyá tere hukm par chalegí. Faqat taḳht ká málik hone ke sabab se maiṉ buzurgtar húṉgá. 41Aur Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, ki Dekh, maiṉ tujhe sáre mulk i Misr ká hákim banátá húṉ. 42Aur Fir‘aun ne apní angushtarí apne háth se nikálkar Yúsuf ke háth meṉ pahiná dí; aur use bárík katán ke libás meṉ árásta karwákar sone ká tauq us ke gale meṉ pahináyá. 43Aur us ne use apne dúsre rath meṉ sawár karákar us ke áge áge yih manádí karwá dí, ki Ghuṭne ṭeko. Aur us ne use sáre mulk i Misr ká hákim baná diyá. 44Aur Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, Maiṉ Fir‘aun húṉ, aur tere hukm ke bag̣air koí ádmí is sáre mulk i Misr meṉ apná háth yá páṉw hiláne na páegá. 45Aur Fir‘aun ne Yúsuf ká nám Sifnát Fa‘neh rakkhá; aur us ne On ke pujárí Fotífira‘ kí beṭí Ásináth ko us se biyáh diyá. Aur Yúsuf mulk i Misr meṉ daura karne lagá. 46Aur Yúsuf tís baras ká thá jab wuh Misr ke bádsháh Fir‘aun ke sámne gayá. Aur us ne Fir‘aun ke pás se ruḳhsat hokar sáre mulk i Misr ká daura kiyá. 47Aur arzání ke sát barasoṉ meṉ ifrát se fasl húí. 48Aur wuh lagátár sátoṉ baras har qism kí ḳhurish, jo mulk i Misr meṉ paidá hotí thí, jama‘ kar karke shahroṉ meṉ us ká zaḳhíra kartá gayá. Har shahr kí chároṉ atráf kí ḳhurish wuh usí shahr meṉ rakhtá gayá. 49Aur Yúsuf ne g̣alla samundar kí ret kí mánind niháyat kasrat se zaḳhíra kiyá, yaháṉ tak ki hisáb rakhná bhí chhoṛ diyá, kyúṉki wuh behisáb thá. 50Aur kál se pahle On ke pujárí Fotífira‘ kí beṭí Ásináth ke Yúsuf se do beṭe paidá húe. 51Aur Yúsuf ne pahlauṭhe ká nám Munassí yih kahkar rakkhá, ki Ḳhudá ne merí aur mere báp ke ghar kí sab mashaqqat mujh se bhulá dí. 52Aur dúsre ká nám Ifráím yih kahkar rakkhá, ki Ḳhudá ne mujhe merí musíbat ke mulk meṉ phaldár kiyá. 53Aur arzání ke wuh sát baras jo mulk i Misr meṉ húe tamám ho gaye, aur Yúsuf ke kahne ke mutábiq kál ke sát baras shurú‘ húe. 54Aur âur sab mulkoṉ meṉ to kál thá, par mulk i Misr meṉ har jagah ḳhurish maujúd thí. 55Aur jab mulk i Misr meṉ log bhúkoṉ marne lage, to roṭí ke liye Fir‘aun ke áge chilláe. Fir‘aun ne Misríoṉ se kahá, ki Yúsuf ke pás jáo; jo kuchh wuh tum se kahe, so karo. 56Aur tamám rú e zamín par kál thá, aur Yúsuf anáj ke khattoṉ ko khulwákar Misríoṉ ke háth bechne lagá; aur mulk i Misr meṉ saḳht kál ho gayá. 57Aur sab mulkoṉ ke log anáj mol lene ke liye Yúsuf ke pás Misr meṉ áne lage, kyúṉki sárí zamín par saḳht kál paṛá thá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 41: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia