Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 42

42
1Aur Ya‘qúb ko ma‘lúm húá ki Misr meṉ g̣alla hai: tab us ne apne beṭoṉ se kahá, ki Tum kyúṉ ek dúsre ká muṉh tákte ho? 2Dekho, maiṉ ne suná hai, ki Misr meṉ g̣alla hai; tum waháṉ jáo, aur waháṉ se hamáre liye anáj mol le áo, táki ham zinda raheṉ aur halák na hoṉ. 3So Yúsuf ke das bháí g̣alla mol lene ko Misr meṉ áe. 4Par Ya‘qúb ne Yúsuf ke bháí Binyamín ko us ke bháiyoṉ ke sáth na bhejá, kyúṉki us ne kahá, ki Kahíṉ us par koí áfat na á jáe. 5So jo log g̣alla ḳharídne áe, un ke sáth Isráíl ke beṭe bhí áe, kyúṉki Kan‘án ke mulk meṉ kál thá. 6Aur Yúsuf mulk i Misr ká hákim thá, aur wuhí mulk ke sab logoṉ ke háth g̣alla bechtá thá. So Yúsuf ke bháí áe, aur apne sir zamín par ṭekkar us ke huzúr ádáb bajá láe. 7Yúsuf apne bháiyoṉ ko dekhkar un ko pahchán gayá; par us ne un ke sámne apne áp ko anján baná liyá, aur un se saḳht lahje meṉ púchhá, Tum kaháṉ se áe ho? Unhoṉ ne kahá, Kan‘án ke mulk se anáj mol lene ko. 8Yúsuf ne to apne bháiyoṉ ko pahchán liyá thá, par unhoṉ ne use na pahcháná. 9Aur Yúsuf un ḳhwáboṉ ko, jo us ne un kí bábat dekhe the, yád karke un se kahne lagá, ki Tum jásús ho: tum áe ho ki is mulk kí burí hálat daryáft karo. 10Unhoṉ ne us se kahá, Nahíṉ, ḳhudáwand; tere g̣ulám anáj mol lene áe haiṉ. 11Ham sab ek hí shaḳhs ke beṭe haiṉ; ham sachche haiṉ, tere g̣ulám jásús nahíṉ haiṉ. 12Us ne kahá, Nahíṉ, balki tum is mulk kí burí hálat daryáft karne ko áe ho. 13Tab unhoṉ ne kahá, Tere g̣ulám bárah bháí, ek hí shaḳhs ke beṭe haiṉ, jo mulk i Kan‘án meṉ hai: sab se chhoṭá is waqt hamáre báp ke pás hai, aur ek ká kuchh patá nahíṉ. 14Tab Yúsuf ne un se kahá, Maiṉ to tum se kah chuká, ki tum jásús ho; 15so tumhárí ázmáish is tarah kí jáegí, ki Fir‘aun kí hayát kí qasam, ki tum yaháṉ se jáne na páoge, jab tak tumhárá sab se chhoṭá bháí yaháṉ na á jáe. 16So apne meṉ se kisí ek ko bhejo, ki wuh tumháre bháí ko le áe: aur tum qaid raho, táki tumhárí bátoṉ kí tasdíq ho, ki tum sachche ho yá nahíṉ; warna Fir‘aun kí hayát kí qasam, tum zarúr hí jásús ho. 17Aur us ne un sab ko tín din tak ikaṭṭhe nazarband rakkhá. 18Aur tísre din Yúsuf ne un se kahá, Ek kám karo to zinda rahoge, kyúṉki mujhe Ḳhudá ká ḳhauf hai. 19Agar tum sachche ho, to apne bháiyoṉ meṉ se ek ko qaidḳháne meṉ band rahne do: aur tum apne gharwáloṉ ke kháne ke liye anáj le jáo. 20Aur apne sab se chhoṭe bháí ko mere pás le áo; yúṉ tumhárí bátoṉ kí tasdíq ho jáegí, aur tum halák na hoge. So unhoṉ ne aisá hí kiyá. 21Aur wuh ápas meṉ kahne lage, ki Ham dar asl apne bháí ke sabab se mujrim ṭhahre haiṉ; kyúṉki jab us ne ham se minnat kí, to ham ne yih dekhkar bhí, ki us kí ján kaisí musíbat meṉ hai, us kí na suní; isí liye yih musíbat ham par á paṛí hai. 22Tab Rúbin bol uṭhá, Kyá maiṉ ne tum se na kahá thá, ki Is bachche par zulm na karo; aur tum ne na suná. So dekh lo, ab us ke ḳhún ká badla liyá játá hai. 23Aur un ko ma‘lúm na thá, ki Yúsuf un kí báteṉ samajhtá hai, is liye ki un ke darmiyán ek tarjamán thá. 24Tab wuh un ke pás se haṭ gayá, aur royá; aur phir un ke pás ákar un se báteṉ kíṉ, aur un meṉ se Shama‘úṉ ko lekar un kí áṉkhoṉ ke sámne use bandhwá diyá. 25Phir Yúsuf ne hukm kiyá, ki un ke boroṉ meṉ anáj bhareṉ, aur har shaḳhs kí naqdí usí ke bore meṉ rakh deṉ, aur un ko zád i ráh bhí de deṉ. Chunáṉchi un ke liye aisá hí kiyá gayá. 26Aur unhoṉ ne apne gadhoṉ par g̣alla lád liyá, aur waháṉ se rawána húe. 27Jab un meṉ se ek ne manzil par apne gadhe ko chára dene ke liye apná borá kholá, to apní naqdí bore ke muṉh meṉ rakkhí dekhí. 28Tab us ne apne bháiyoṉ se kahá, ki Merí naqdí pher dí gayí hai, wuh mere bore meṉ hai. Dekh lo! Phir to wuh hawásbáḳhta ho gaye, aur hakká bakká hokar ek dúsre ko dekhne aur kahne lage, Ḳhudá ne ham se yih kyá kiyá? 29Aur wuh mulk i Kan‘án meṉ apne báp Ya‘qúb ke pás áe, aur sárí wáridát use batáí; aur kahne lage, 30ki Us shaḳhs ne, jo us mulk ká málik hai, ham se saḳht lahje meṉ báteṉ kíṉ, aur ham ko us mulk ke jásús samjhá. 31Ham ne us se kahá, ki Ham sachche ádmí haiṉ; ham jásús nahíṉ. 32Ham bárah bháí ek hí báp ke beṭe haiṉ; ham meṉ se ek ká kuchh patá nahíṉ, aur sab se chhoṭá is waqt hamáre báp ke pás mulk i Kan‘án meṉ hai. 33Tab us shaḳhs ne, jo mulk ká málik hai, ham se kahá, Maiṉ isí se ján lúṉgá ki tum sachche ho, ki apne bháiyoṉ meṉ se kisí ko mere pás chhoṛ do, aur apne gharwáloṉ ke kháne ke liye anáj lekar chale jáo, 34aur apne sab se chhoṭe bháí ko mere pás le áo: tab maiṉ ján lúṉgá, ki tum jásús nahíṉ, balki sachche ádmí ho; aur maiṉ tumháre bháí ko tumháre hawále kar dúṉgá; phir tum mulk meṉ saudágarí karná. 35Aur yúṉ húá, ki jab unhoṉ ne apne apne bore ḳhálí kiye, to har shaḳhs kí naqdí kí thailí usí ke bore meṉ rakkhí dekhí; aur wuh aur un ká báp naqdí kí thailiyáṉ dekhkar ḍar gaye. 36Aur un ke báp Ya‘qúb ne un se kahá, Tum ne mujhe beaulád kar diyá. Yúsuf nahíṉ rahá, aur Shama‘ún bhí nahíṉ hai, aur ab Binyamín ko bhí le jáná cháhte ho. Yih sab báteṉ mere ḳhiláf haiṉ. 37Tab Rúbin ne apne báp se kahá, Agar maiṉ use tere pás na le áúṉ, to mere donoṉ beṭoṉ ko qatl kar ḍálná. Use mere háth meṉ sauṉp de, aur maiṉ use phir tere pás pahuṉchá dúṉgá. 38Us ne kahá, Merá beṭá tumháre sáth nahíṉ jáegá; kyúṉki us ká bháí mar gayá, aur wuh akelá rah gayá hai; agar ráste meṉ játe játe us par koí áfat á paṛe, to tum mere safed báloṉ ko g̣am ke sáth gor meṉ utároge.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 42: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia