1
Paidáish 42:21
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur wuh ápas meṉ kahne lage, ki Ham dar asl apne bháí ke sabab se mujrim ṭhahre haiṉ; kyúṉki jab us ne ham se minnat kí, to ham ne yih dekhkar bhí, ki us kí ján kaisí musíbat meṉ hai, us kí na suní; isí liye yih musíbat ham par á paṛí hai.
Linganisha
Chunguza Paidáish 42:21
2
Paidáish 42:6
Aur Yúsuf mulk i Misr ká hákim thá, aur wuhí mulk ke sab logoṉ ke háth g̣alla bechtá thá. So Yúsuf ke bháí áe, aur apne sir zamín par ṭekkar us ke huzúr ádáb bajá láe.
Chunguza Paidáish 42:6
3
Paidáish 42:7
Yúsuf apne bháiyoṉ ko dekhkar un ko pahchán gayá; par us ne un ke sámne apne áp ko anján baná liyá, aur un se saḳht lahje meṉ púchhá, Tum kaháṉ se áe ho? Unhoṉ ne kahá, Kan‘án ke mulk se anáj mol lene ko.
Chunguza Paidáish 42:7
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video