Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 31

31
EKTÍSWÍṈ ZABÚR.
Dáúd duạ́ kartá hai ki Ḳhudá is liye musíbatoṉ aur dushmanoṉ se bacháe, ki us ká bharosá Ḳhudá par hai, aur us ne guzre wagtoṉ meṉ us kí mihrbání kásil kí hai (1—8). Aur apne kál ke ḳhatre ká bayán karke us se riháí pane ke liye ḳháss duạ́ kartá hai (9—13). Phir, duạ́ ke bạd riháí ká yaqín hásil karke hamd o shukrguzárí kartá hai (14-22), aur apne tajribe se Ḳhudá ke sáre logoṉ ke fáide ke liye hásil i kalam nikáltá hai (23, 24).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, maiṉ ne tujh par bharosá rakhá hai. Mujhe abad tak sharminda na hone de. Apní sadáqat se mujhe chhuṛá. 2Apná kan merí taraf jhuká; jald merí riháí kar; mere liye qalạ kí chaṭán aur ḳhána i hisár ho, táki mujhe bacháe; 3kyúṉki Tú hí merí chaṭán aur mera hisár hai, aur tú apne nám ke waste merí rahbarí aur merí rahnumáí karegá. 4Tú mujhe us jal se jo unhoṉ ne mere liye chhipáyá hai nikálegá, kyúṉki Tú hí mera qalạ hai. 5Maiṉ apní rúh ko tere háth meṉ saumptá húṉ;#Lúká 23:46. Ai Yahowáh, amánatdárí ke Qádir i Mutlaq, tú ne mujhe maḳhlasí dí hai. 6Maiṉ ne jhúṭh kí bátil chízon#31:6 Yạne, butoṉ. ke muháfizoṉ se ghin kiyá hai, aur Maiṉ ne Yahowáh par tawakkul kiyá hai. 7Maiṉ terí mihrbání meṉ shádmání o ḳhushí karúngá; tú, jis ne merí musibat ko dekhá, merí ján kí tangíoṉ se wáqif húá hai; 8aur mujhe dushman ke háth meṉ band nahíṉ kiyá, balki mere páṉwoṉ ko kushádagí meṉ khaṛá kiyá hai.
9Ai Yahowáh, mujh par rahm kar kyúṉki mujh par tangí hai; merí ánkh khijáhaṭ se zaị́f ho gaí, merí ján aur mera peṭ bhí. 10Kyúṉki merí hayát g̣am meṉ, aur mere baras karáhne meṉ faná ho gae; merí badí ke sabab se merí qúwat ne lag̣zish kháí hai, aur merí haddíán ḳhushk ho gaíṉ. 11Maiṉ apne sáre dushmanoṉ ke sabab se ruswá húá, aur apne paṛosíoṉ ke nazdík bahut, aur apne ján-pahchánoṉ ke nazdík ḳhauf; mujhe báhar dekhte hí wuh mujh se bháge. 12Maiṉ murde ke mánind dil se bhulá diyá gayá; maiṉ ṭúṭe húe bartan ke mánind húá. 13Kyúṉki maiṉ ne bahutoṉ se badgoí suní; ḳhauf chároṉ taraf thá; jab ki unhoṉ ne báham merí muḳhálafat par mashwarat kí, tab unhoṉ ne merí ján lene ká mansúba bándhá.
14Aur, Ai Yahowáh, Maiṉ ne tujh par tawakkul kiyá; maiṉ ne kahá, ki Tú hí mera Ḳhudá hai. 15Meṛí auqát tere háth meṉ hai; mere dushmanoṉ ke háth se aur mere píchhá karnewáloṉ se merí riháí kar. 16Apná chihra apne bande par jalwagar farmá; apní mihrbání se mujhe bachá. 17Ai Yahowáh, mujhe sharminda na hone de, kyúṉki maiṉ ne tujhe pukárá hai. Sharír sharminda hoṉ, qabr meṉ chupke paṛe raheṉ. 18Jhúṭhe lab, jo sádiq ke barḳhiláf ghamanḍ aur hiqárat karte húe gustáḳhí se bolte haiṉ, gúnge kie jáeṉ. 19Kyá hí baṛí terí ḳhúbí hai, jo tú ne apne ḍarnewáloṉ ke liye chhipá rakhí hai, aur apne bharosa rakhnewáloṉ par baní Ádam ke sámhne záhir kí hai! 20Tú insán ke mansúboṉ se apní huzúrí ke parde meṉ unheṉ poshída karegá; zabánoṉ ke jhagṛe se unheṉ áṛ meṉ chhipá legá. 21Yahowáh mubárak ho, kyúṉki us ne mujhe shahr i mahsúr meṉ láke apní mihrbání mere liye ạjíb kí hai. 22Aur Maiṉ ne apní ghabráhaṭ meṉ kahá ki “Maiṉ terí ánkhoṉ ke sámhne se munqatạ húá.” Lekin jab maiṉ ne terí duháí dí, tab tú ne merí munájátoṉ kí áwáz suní.
23Yahowáh se mahabbat rakho, Ai us ke sáre muqaddaso; Yahowáh amánatdár hai, aur g̣urúr karnewále ko kasrat se badla detá hai. 24Ai tum sab ki Yahowáh ke muntazir ho, mazbút ho, aur wuh tumháre dil ko taqwiyat de!

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 31: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia