Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 40

40
CHÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Dáúd Ḳhudá ke naját baḳhshnewále fazl kí tạríf kartá hai, jo us par aur sáre imándároṉ par, un ke ímán kí istiqámat aur kámil ḳhushhálí ke liye baḳhúbi záhir húá (1—5). Is ajíb fazl ke liye wuh sirf zabán hí se nahíṉ, balki ḳhális o kámil farmáṉbardárí ke sáth shukrguzárí kiyá cháhtá hai (6—13); aur duạ́ kartá hai ki Ḳhudá use shukrguzárí ká nayá sabab baḳhshe (14—17).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Maiṉ ne sabr ke sáth Yahowáh kí intizárí kí, aur us ne apná kán merí taraf jhukáyá, aur mérí duháí suní; 2aur mujhe haulnák gahráo se, aur daldal kí kích se uṭhá liyá, aur mere páṉwoṉ ko chaṭán par qáim kiyá; us ne mere qadamoṉ ko sábit kiyá; 3aur mere muṉh meṉ naí g̣azal ḍálí, yạne, hamáre Ḳhudá kí hamd; bahutere dekhenge aur ḍarenge, aur Yahowáh par tawakkul karenge. 4Wuh ádmí kyá hí mubárak hai, jis ne Yahowáh ko apní já i panáh ṭhahráyá hai, aur mag̣rúroṉ kí aur un kí simt, jo jhúṭh kí taraf bahakte haiṉ, mutawajjih nahíṉ húá! 5Ai Yahowáh, mere Ḳhudá, Tú ne bahut se kám kie haiṉ, mumkin nahíṉ ki ham tere ạjáib o g̣aráib aur tere mansúboṉ ko, jo hamárí nisbat haiṉ, tere sámhne tartíb se bayán kar sakeṉ; maiṉ zikr aur bayán kiyá cháhtá húṉ; lekin wuh shumár se báhar haiṉ.
6Zabíh aur hadiya tú ne nahíṉ cháhá; tú ne mere kan chhede haiṉ. Soḳhtaní qurbání aur ḳhatá kí qurbání ko tú ne talab nahíṉ kiyá. 7Tab maiṉ ne kahá, “Dekh, maiṉ átá húṉ, Kitáb kí jild meṉ mere haqq meṉ likhá hai. 8Ai mere Ḳhudá, maiṉ terí marzí bajá láne se ḳhush húá húṉ, aur terí Tauret mere dil ke andar hai.” 9Maiṉ ne baṛí jamáạt meṉ sadáqat kí bashárat dí hai. Dekh, maiṉ apne honṭhoṉ ko na rokúṉgá; Ai Yahowáh, Tú jántá hai. 10Maiṉ ne terí sadáqat ko apne dil ke andar nahíṉ chhipáyá; maiṉ ne terí amánatdárí aur terí naját ko bayán kiyá hai; main ne terí mihrbání aur terí sacháí ko baṛí jamáạt se poshída nahíṉ rakhá. 11Ai Yahowáh, Tú apní rahmateṉ mujh se dareg̣ na rakhegá; terí mihrbání aur terí amánatdárí hamesha merí hifázat karengí. 12Kyúṉki beshumár buráíoṉ ne mujh par hujúm kiyá hai; mere gunáhoṉ ne mujhe pakaṛ liya hai, aur maiṉ dekh nahíṉ saktá; wuh mere sir ke báloṉ se ziyáda haiṉ, aur mere dil ne mujhe chhoṛ diyá hai. 13Ai Yahowáh, mujhe riháí baḳhshne par rází ho; Ai Yahowáh, merí madad ke liye jaldí kar!
14 Wuh jo merí ján ke tálib haiṉ ki use halák kareṉ, báham sharminda aur ḳhajil honge; merí musíbat ke ḳhwáháṉ píchhe haṭáe aur ruswá kie jáenge. 15Jo mujh par “Ahá, ahá,” kahte haiṉ, wuh apni sharmindagí ke sabab se wírán ho jáenge. 16Tere sáre tálib tujh se shádmán aur ḳhush honge; terí naját ke áshiq hamesha kahá karenge, ki “Yahowáh ạzím ho”! 17Aur Maiṉ musíbatzada aur kangál húṉ; Ḳhudáwand mera ḳhiyál karegá. Mera madadgár aur merá chhuṛánewálá Tú hí hai. Ai mere Ḳhudá, der na kar!

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 40: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia