1
Zabúr 40:1-2
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Maiṉ ne sabr ke sáth Yahowáh kí intizárí kí, aur us ne apná kán merí taraf jhukáyá, aur mérí duháí suní; aur mujhe haulnák gahráo se, aur daldal kí kích se uṭhá liyá, aur mere páṉwoṉ ko chaṭán par qáim kiyá; us ne mere qadamoṉ ko sábit kiyá
Linganisha
Chunguza Zabúr 40:1-2
2
Zabúr 40:3
aur mere muṉh meṉ naí g̣azal ḍálí, yạne, hamáre Ḳhudá kí hamd; bahutere dekhenge aur ḍarenge, aur Yahowáh par tawakkul karenge.
Chunguza Zabúr 40:3
3
Zabúr 40:4
Wuh ádmí kyá hí mubárak hai, jis ne Yahowáh ko apní já i panáh ṭhahráyá hai, aur mag̣rúroṉ kí aur un kí simt, jo jhúṭh kí taraf bahakte haiṉ, mutawajjih nahíṉ húá!
Chunguza Zabúr 40:4
4
Zabúr 40:8
Ai mere Ḳhudá, maiṉ terí marzí bajá láne se ḳhush húá húṉ, aur terí Tauret mere dil ke andar hai.”
Chunguza Zabúr 40:8
5
Zabúr 40:11
Ai Yahowáh, Tú apní rahmateṉ mujh se dareg̣ na rakhegá; terí mihrbání aur terí amánatdárí hamesha merí hifázat karengí.
Chunguza Zabúr 40:11
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video