Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 59

59
UNSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ do hisse haiṉ (1—11, 12—17), aur donoṉ ke mazmúnoṉ kí tartíb aksar báham miltí hai. Pahle meṉ Dáúd apne dag̣ábáz aur zálim dushmanoṉ par faryád karte húe (1—4) duạ́ mángtá hai ki wuh un se riháípae (5), aur use yaqín hai ki wuh tabáh ho jáenge (6—11). Aur dúsre meṉ phir apní faryád (12), aur duạ́ (13), aur un kí tabáhí ke tayaqqun ká zikr kartá hai (14—17).
Sardár Mug̣anní ke liye; Halák na kar; Dáúd ká Ráz, jab Sáúl ne bhejá, aur unhoṉ ne ghar kí hifázat kí, táki use ján se máreṉ.#1 Sam. 19:11ko dekho.
1Ai mere Ḳhudá, mujhe mere dushmanoṉ se riháí de; tú mujhe mere muḳhálifon se baland karegá. 2Mujhe badkároṉ se riháí de, aur ḳhúní ádmíoṉ se mujhe bachá. 3Kyúṉki dekh, wuh merí ján ke liye ghát meṉ lage haiṉ; zabardast merí muḳhálafat par jamạ hote haiṉ; 4Ai Yahowáh, na merí taqsír hai aur na merí ḳhatá. Merí badí ke bag̣air wuh dauṛte haiṉ aur apne taíṉ mustaịdd karte haiṉ; mujh se milne ke liye jág aur dekh. 5Aur Tú, Ai Yahowáh, Ḳhudá, Lashkaroṉ ke Málik, Isráíl ke Ḳhudá, sárí qaumoṉ par tawajjuh karne ke liye jág; kisí bad dag̣ábáz par rahm na kar. Siláh. 6Wuh sham ko phireṉ, kutte ke mánind g̣ul-shor kareṉ, aur shahr meṉ ghúmte phireṉ. 7Dekh, wuh apne muṉh se nikálte haiṉ; talwáreṉ un ke laboṉ par haiṉ, kyúṉki kaun suntá hai? 8Aur Tú, Ai Yahowáh, un par haṉsegá; tú sárí qaumoṉ ko ṭhaṭṭhe meṉ uṛáegá. 9Maiṉ tere liye us kí qúwat kí nigahbání karúṉgá, kyúṉki Ḳhudá merí já i panáh hai. 10Mera Ḳhudá apní mihrbání se mere áge áegá; Ḳhudá mere dushmanoṉ par mujhe fathyáb kar dikhláegá. 11Unheṉ ján se na már, mabádá merí ummat bhul jáe; Ai Ḳhudáwand, hamárí sipar, apní qudrat se unheṉ áwára kar aur unheṉ girá de.
12Un ke laboṉ ká kalam un ke muṉh kí ḳhatá hai; aur wuh apne g̣urúr meṉ, aur apní qasam se aur us jhúṭh se jo wuh bolenge, pakṛe jáenge. 13G̣azab se unhen nest kar, nest kar, aur wuh nest o nábúd ho jáeṉ; aur ádmí zamín kí sarhaddoṉ tak jáneṉ ki Ḳhudá Yạqúb meṉ hukúmat kartá hai. Siláh. 14Aur wuh sham ko phireṉ, kutte ke mánind g̣ul-shor kareṉ, aur shahr meṉ ghúmte phireṉ. 15Wuh kháne ke liye bhaṭakte phirenge; agar ásúda na hoṉ, to rát bhar dauṛte rahenge. 16Aur maiṉ terí qúwat kí g̣azal gáúṉgá, aur subh ko terí mihrbání ká tarannum karúṉgá; kyúṉki tú mere liye únchí jagah húá, aur merí tangí ke din meṉ merí jái panáh. 17Ai merí qúwat, maiṉ tere liye nag̣ma-saráí karúṉgá; kyúṉki Ḳhudá merí já i panáh aur mera mihrbán Ḳhudá hai.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 59: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia