Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 66

66
CHHASAṬHWÍṈ ZABÚR
Is zabúr meṉ Ḳhudá kí kalísyá riháí ke liye shukrguzúrí kartí hai. Pahle Ḳhudá kí hamd ụmúman un sáre ạjáib kámoṉ ke liye kí játí hai jo wuh har zamáne meṉ apne logoṉ kí naját ke liye zahir kiyá kartá hai (1—7), aur us ke bạd ḳhusúsan, us kám ke liye jo us ne apne logoṉ kí riháí ke waste bilfịl záhir kiyá hai (8—12), aur ákhir ko kalísyá shukrguzárí ká wạda kartí hai (13—20). Ag̣lab hai ki yih zabúr, chiyálíswíṉ zabúr ke mutábiq, us májare se taạlluq rakhtí ho, jab Hizqiyáh ke waqt meṉ kalísyá kí riháí ke liye Sháh i Asúr ká lashkar ek hi rát meṉ halák húá.
Sardár Mug̣anní ke liye; Sarod o Zabúr.
1Ai sárí zamín, Ḳhudá kí taraf lalkáro! 2Us ke nám ke jalál meṉ nag̣ma-saráí karo, us kí tạríf meṉ use jalál do. 3Ḳhudá se kaho, ki “Tere kám kyá hí haibatnák haiṉ! Terí qúwat kí ziyádatí se tere dushman tujh se dab jáenge.”#66:3 Ibrí meṉ tujh se jhúṭh, bolenge (Zabúr 18:44). 4Sárí zamín ke báshinde tujhe sijda karange, aur terí hamd meṉ nag̣ma-saráí karenge; wuh tere nám ke liye nag̣ma-saráí karenge. Siláh. 5Áo, aur Ḳhudá ke kámoṉ ko dekho, jo apne kám meṉ baní Ádam par haibatnák hai. 6Us ne samundar ko ḳhushkí se badal ḍálá, wuh naddí se piyáda-pá guzar jáenge; wahán ham us se ḳhush honge; 7jo apní qúwat se abad tak hukúmat kartá hai; us kí ánkheṉ qaumoṉ ko dekhtí haiṉ; sarkash apne taíṉ sar-baland na karen. Siláh.
8Ai ummato, hamáre Ḳhudá ko mubárak kaho, aur us kí tạríf kí áwáz sunáo; 9jo hamárí ján ko hayát meṉ rakhtá hai, aur jis ne hamáre páṉw ko ṭálne nahíṉ diyá hai. 10Kyúṉki, Ai Ḳhudá, tú ne hameṉ ázmáyá, tú ne hameṉ aisá táyá hai jaisá rúpá táyá jáe. 11Tú ne hameṉ dám meṉ phaṉsáyá; hamárí kamaroṉ par dabáo ḍálá hai. 12Tú ne insán i fání ko hamáre sir par chaṛháyá hai; ham ág aur pání meṉ áe; aur ab tú ne hameṉ ḳhushí kí labrezí meṉ pahuncháyá hai.
13Maiṉ qurbáníoṉ ke sáth tere ghar meṉ áúṉgá; apní nazreṉ tujhe adá karúṉgá; 14jinheṉ mere laboṉ ne kahá, aur merí tangí meṉ merá muṉh bolá. 15Maiṉ farbih baroṉ kí qurbáníáṉ, meṉḍhoṉ kí charbí#66:15 Ịbrí meṉ ḳhushbúí. samet, tujhe guzránúṉgá; bail, bakroṉ samet, qurbání karúṉgá. Siláh. 16Ai sáre ḳhudátarso, áo, suno, aur maiṉ bayán karúṉgá jo us ne merí ján ke liye kiyá hai. 17Maiṉ ne apne muṉh se us ko pukárá, aur baṛí tạríf merí zabán ke tale thí. 18Agar maiṉ apne dil meṉ badí par nigah rakhta, to Khudáwand na suntá. 19Lekin Ḳhuda ne suná hai, us ne merí duá kí áwáz par kan dhará hai. 20Ḳhudá mubárak ho, jis ne na merí duạ́ pherí hai; aur na merí taraf se apní mihrbání.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 66: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia